Teri Aankhein Dekhkar Paimaano Ko Bhool Baitha,
Tere Honthon Ko Choomkar Maikhano Ko Bhool Baitha,
Yoon Tere Ishq Ne Mujhko Deewana Kar Diya,
Main Dunia Ke Tamaam Deewano Ko Bhool Baitha.
Mujhe Jaankar Koi Ajnabi, Voh Dikha Rahe Hai Gali Gali
Isi Shahar Mein Mera Ghar Bhi Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Voh Samajh Ke Dhoop Ke Devta Mujhe Aaj Poojate Aayeinge
Main Chirag Hoon Teri Sham Ka, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho.
Tanhayian, Roosvayian, Thokrein Aur Udaasian,
Itni Aaftein Lekar Meri Doonia Mein Pyar Aaya,
Mujhe Gham Nahi Ki Tum Juda Ho Gaye,
Magar Teri Bebasi Per Rona Bar Bar Aaya.
Jabse Bewafa Voh Meri Jaan Ho Gayi
Har Dhadkan Mere Dil Ki Preshaan Ho Gayi
Voh Jabse Gaye Mujhse Haath Chhudakar
Meri Hasin Raahein Bhi Veeran Ho Gayi.
Yaad Mein Unki Aaj Jal Rahe Hai,
Door Reh Ke Vo Mujhse Ae Dost Kya Kar Rahe Hai,
Jaagi To Kai Khwahishe Aaj Mannmein Meri,
Unhi Khwahisho Ko Zehar Banaake Mar Rahe Hai,
Main Toot Ke Bikhar Gaya Ye Mahaz Itefaaq Tha
Main Bhi Toh Kal Kisi Ki Nargishi Akhon Ka Khawaab Tha
Aaj To Gagan Ke Taare Bhi Meri Haalat Pe Hansaa Karte Hain
Ye Kal Ki Hi Baat Hai Ki Meri Baahon Mein Mehtaab Tha.
Kabhi Socha Nahi Tha Ke, Hum Par Aise Bhi Din Aanyege,
Apana Banana Chahenge, Par Kisi Ko Bana Nahi Panyege.
Suna Tha Gair To Namak Chhidka Hi Karte Hain Zakhamon Par,
Par Pata Nahi Tha Ke Kabhi Apne Bhi Tadpanyege.
Muddat Se Tere Husan Ka Hai Dil Deewana,
Ae Jaane Gazal Tune Aaj Tak Na Pehchana,
Mere Labon Per Har Dum Hai Naam Tera,
Namumkin Hai Jaanam Tere Pyar Ko Bhulana.
Un pyari yado ka ehsash rehne do,
Dil aur juban par bas usi ka ehsash rehne do,
Ye dastur h meri zindgi ka chahe khud raho udash par dusro ko udash na rehne do
Mere Sab Armaano Ke Phool Murjha Gaye,
Khud Ko Tabah Kar, Jahan Se Door Aa Gaye.
Kaun Jaane Kab Aa Jaye Raham Khuda Ko,
Har Dar Per Jaakar Sir Jhuka Gaye.
Tute Hue Phool Khusbu De Jate He,
Bite Hue Pal Yaadein De Jate He,
Har Shakhs Ka Apna-apna Andaz Hota He,
Koi Pyar Me Dosti..
To Koi Dosti Me Pyar De Jata He.
Meri Khushiyon Ko Mitaane Par Tuli Hai Duniya
Dekh Kar Mera Aashiyan Jaane Kyon Jali Hai Duniya
Mere Hontho Par Tabssum Kya Sajne Lage Fir
Purane Dushmano Ki Tarah Mujhse Mili Hai Duniya.