aur wo khud hi ajaye unhai mere tadapne ki to khabar ho jaye aur mere shero khata me bhi jo thoda to asar hojaye me ujalo se to bheek maguga nahi chahai zindagi andhere me hi kiyu na basar ho jaye
Humko To Tere Pyar Mein Barbaad Hona Tha,
Chashm Nam Honi Thi Dil Nashad Hona Tha.
Jaroori To Nahi Har Khwab Poora Ho Jaye,
Meri Tammanao Ko Mazloom Ki Fariyad Hona Tha.
Kabhi Vo Aakhon Mein Bas Kar Dil Mein Utar Jayenge,
Us Din Meri Ummidon Ke Phool Sanvar Jayenge.
Shabe Vasl Jab Ghoonghat Uthaunga To Lazakar Kahenge,
Allah! Yoon Na Dekho Hum Sharm Se Mar Jayenge.
Kitna Bebas Hai Insaan Apni Kismat Ke Aage,
Kitna Benoor Hai Sapna Haqeeqat Ke Aage,
Koi Ruki Hui Dhadkan Se Pooche ,
Kitna Tadapta Hai Dil Mohhabbat Ke Aage.
Mujhe Jaankar Koi Ajnabi, Voh Dikha Rahe Hai Gali Gali
Isi Shahar Mein Mera Ghar Bhi Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Voh Samajh Ke Dhoop Ke Devta Mujhe Aaj Poojate Aayeinge
Main Chirag Hoon Teri Sham Ka, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho.
Kahin Masjidon Mein Sahadatein, Kahin Mandiron Mein Adalatein
Yahan Kaun Karta Hai Faisla, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Mere Pass Jitni Hai Roshani, Yahi Chirag Ki Zindagi
Main Kahan Jla, Main Kahan Bujha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho.