Sochoge Jab Bhi Tum Chaahne Waalon Ki Tarah,
Yaad Aa Jayenge Hum Toote Huye Pyaalon Ki Tarah.
Jab Bhi Tannhashab Mein Andheron Se Dar Jaaoge Tum,
Meri Yaadein Fael Jaayengi Ujaalon Ki Tarah.
Usne ek din meri hatheli pe,
Badi masumiyat se apni
Nazuk si ungliyo se likha,
"Muje pyar hai tumse"
Jane kesi syahi thi,
Wo lafz mite b nhi aur
Aajtak dikhe b nahi...
Dekha Hai Jabse Tumko, Mera Dil Nahi Hai Basmein
Jee Chaahe Aaj Tod Doon Dunia Ki Saari Rasmein
Tera Haath Chaahta Hoon, Tera Saath Chaahta Hoon
Baahon Mein Teri Rehna Main Din Raat Chaahta Hoon.
Usne Tarke Wafa Karke Ghar Basa Liya,
Aur Main Kashamkash Mein Ghar Se Beghar Ho Gaya.
Neend Roothi Aakhon Se, Sakoon Dil Se Gaya,
Ae Dil! Yeh Tere Saath Kya Ho Gaya.
Ulat Ke Reh Gayi Sab Tadbeerein Zamane Ki,
Koshish Jab Bhi Humne Ki Kabhi Muskurane Ki.
Aaj Voh Hi Dekhkar, Katrakar Gujar Jaati Hai,
Kasam Jisne Khayi Thi, Umar Bhar Saath Nibhane Ki.
Aap Bewafa Honge Socha Hi Nahi Tha,
Tum Bhi Kabhi Khafa Honge Socha Hi Nahi Tha.
Jo Geet Likhe The Kabhi Pyar Par Tere,
Vahi Geet Rusva Honge Socha Hi Nahi Tha.
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,
Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Maatam Hai Pyar Ka Roti Hain Hasratein,
Kahan Gayin Zaalim Voh Teri Mohabbatein,
Main Tujhko Bhool Jayoon, Mumkin Nahi Ye,
Mujhe Yaad Aa Rahi Hain Voh Teri Kurbatein.
Shiddate Gham Se Mehfooz Koi Bashar Nahi,
Fir Bhi Humare Dard Ki Unko Khabar Nahi.
Vo Roz Sare-Sham Nikalate Hain, Shahar Mein,
Bas Meri Raah Hi Unki Raah-Gujar Nahi.
Hume Pata Hai Ke Apni Manzil Se Door Hai Hum
Dil Se Nikaalne Mein Use Majboor Hain Hum
Saza Mili Hai Lekin Bekasoor Hain Hum
Aur Thokron Ki Zarurat Nahi Pehle Hi Chaknachoor Hain Hum.