Naddan Hai Voh, Hairan Hai Voh
Khud Apne Hi Sawalon Se, Pareshaan Hai Voh
Kya Bataun Unhe, Ki Pyar Kya Hota Hai
Abhi Sacchi Mohabbat Se, Anjaan Hai Voh.
Ulat Ke Reh Gayi Sab Tadbeerein Zamane Ki,
Koshish Jab Bhi Humne Ki Kabhi Muskurane Ki.
Aaj Voh Hi Dekhkar, Katrakar Gujar Jaati Hai,
Kasam Jisne Khayi Thi, Umar Bhar Saath Nibhane Ki.
Sukun Milta He Jab Unse Hamari Baat Hoti Hai ,
Hazaar Raato Me Vo 1 Raat Hoti He,
Nigaah Utha K Dekhte He Jab Vo Meri Taraf
Vo 1 Nigaah Hi Meri Kaynaat Hoti He
Hume Pata Hai Ke Apni Manzil Se Door Hai Hum
Dil Se Nikaalne Mein Use Majboor Hain Hum
Saza Mili Hai Lekin Bekasoor Hain Hum
Aur Thokron Ki Zarurat Nahi Pehle Hi Chaknachoor Hain Hum.
Kahin Masjidon Mein Sahadatein, Kahin Mandiron Mein Adalatein
Yahan Kaun Karta Hai Faisla, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Mere Pass Jitni Hai Roshani, Yahi Chirag Ki Zindagi
Main Kahan Jla, Main Kahan Bujha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho.
Beh Jayenge Ashk, Daaman Tak Na Milega,
Mere Dil Ke Zakhamo Ko Marhum Tak Na Milega.
Tujhe To Reshmi Aanchal Mil Jayenge,
Mumkin Hai Meri Laash Ko Kafan Tak Na Milega.
Teri Wafa-Zafa Ke Sawalat Ne Sone Na Diya,
Faisala Khauf Roosvai Ke Khyalat Ne Hone Na Diya.
Hum To Ashkon Se Dho Lete Daage Mohabbat Lekin,
Teri Nargisi Aankho Ke Isharaat Ne Rone Na Diya.
Ek Din Ek Ashiq Ne "Khuda" Se Kaha....!
E "Khuda" Tu Kabhi Ishq Mat Karna..,
Bemaut Mara Jayega"
Hum To Mar Kar
Bhi Tere Paas Aate He Par Tu Kaha Jayega.
Yeh Vaada Karo Ki Mujhe Na Bhulaoge Kabhi,
Naam Apne Dil Se Mera Na Mitaoge Kabhi,
Khud Tumhi Ne Jo Khwab Basaye Hain Aankhon Mein,
Kasam Meri Tumhein, Na Jalaoge Kabhi.
Khwaab Akhon Se Gire Aansuon Mein Dhalkar,
Dum Armaano Ne Toda Dum Machal-Machal Kar,
Mere Muqaddar Mein Tanhayi Likhi Thi,
Varna Har Kadam Rakha Tha Sambhal-Sambhal Kar.
Ae Zindagi Tu Kayon Meri Tamannayi Hai,
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai.
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang,
Mere Paas Bas Ab Zakham aur Roosvai Hai.
Kitne Majburiyo Ko Hum Ankho Me Chupa Lete Hai ,
Hum Kaha Rote Hai Halat Rula Dete Hai,
Hum To Har Lamha Yaad Karte Hai Aapko
Per Aap Yaad Na Karne Ka Iljaam Laga Dete Hai.
Jiski Yaad Mein Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye.
Shiddate Gham Se Mehfooz Koi Bashar Nahi,
Fir Bhi Humare Dard Ki Unko Khabar Nahi.
Vo Roz Sare-Sham Nikalate Hain, Shahar Mein,
Bas Meri Raah Hi Unki Raah-Gujar Nahi.