Yeh Vaada Karo Ki Mujhe Na Bhulaoge Kabhi,
Naam Apne Dil Se Mera Na Mitaoge Kabhi,
Khud Tumhi Ne Jo Khwab Basaye Hain Aankhon Mein,
Kasam Meri Tumhein, Na Jalaoge Kabhi.
Umar Ki Rah Me Raste Badal Jate Hain, Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hain,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare,
Lekin Aankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hain.
Ek Din Ek Ashiq Ne "Khuda" Se Kaha....!
E "Khuda" Tu Kabhi Ishq Mat Karna..,
Bemaut Mara Jayega"
Hum To Mar Kar
Bhi Tere Paas Aate He Par Tu Kaha Jayega.
Zindagi Ka Lutf Hai Mit Jaane Mein,
Paane Mein Kahan Maza Lutt Jaane Mein,
Main Sharabi Hoon Mujhe Pyar Maikhane Se,
Maza Peene Mein Nahi, Peeke Bahek Jaane Mein.
Shiddate Gham Se Mehfooz Koi Bashar Nahi,
Fir Bhi Humare Dard Ki Unko Khabar Nahi.
Vo Roz Sare-Sham Nikalate Hain, Shahar Mein,
Bas Meri Raah Hi Unki Raah-Gujar Nahi.
Kabhi Vo Aakhon Mein Bas Kar Dil Mein Utar Jayenge,
Us Din Meri Ummidon Ke Phool Sanvar Jayenge.
Shabe Vasl Jab Ghoonghat Uthaunga To Lazakar Kahenge,
Allah! Yoon Na Dekho Hum Sharm Se Mar Jayenge.
Aur Ab To Raah Teri Takte-Takte,
Dil Bejaan, Rooh Ghaayal, Aur Aankhe Pathra Gayi.
Kuch Itne Dard Tere Intezar Ne Mujhko Diye,
Ki Meri To Maut Bhi Meri Zindagi Se Ghabra Gayi.
Kitna Bebas Hai Insaan Apni Kismat Ke Aage,
Kitna Benoor Hai Sapna Haqeeqat Ke Aage,
Koi Ruki Hui Dhadkan Se Pooche ,
Kitna Tadapta Hai Dil Mohhabbat Ke Aage.
Ae Zindagi Tu Kayon Meri Tamannayi Hai,
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai.
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang,
Mere Paas Bas Ab Zakham aur Roosvai Hai.
Maatam Hai Pyar Ka Roti Hain Hasratein,
Kahan Gayin Zaalim Voh Teri Mohabbatein,
Main Tujhko Bhool Jayoon, Mumkin Nahi Ye,
Mujhe Yaad Aa Rahi Hain Voh Teri Kurbatein.
Main Tere Shahar Se Door Ja Raha Hoon,
Hokar Teri Chupi Se Majboor Ja Raha Hoon,
Chhodkar Apni Jaan Ko Siskata Hua,
Teri Yaadon Ka Lekar Noor Ja Raha Hoon.