Dil Tujhe Dekhkar Deewana Hua Jata Hai
Tumhari Husn E Shama Ka Parwana Hua Jata Hai
Jaane Kya Baat Hai Ki Jabse Tum Mile Ho
Jaan Ka Dushman Meri Jamaana Hua Jata Hai.
Sochoge Jab Bhi Tum Chaahne Waalon Ki Tarah,
Yaad Aa Jayenge Hum Toote Huye Pyaalon Ki Tarah.
Jab Bhi Tannhashab Mein Andheron Se Dar Jaaoge Tum,
Meri Yaadein Fael Jaayengi Ujaalon Ki Tarah.
Dil Chupke Chupke Siskata Hai Chhup Chhup Ke Hum Rote Hain,
Unko Chhanv Sitaron Ki Hume Ashko Ki Barsaat Mili.
Pyar Ke Muzrim Voh Bhi Hain Hum Hi To Nahi Hai Tanha,
Unko Baharein Savan Ki Hume Patjhad Ki Khairat Mili.
Jeene Ki Tammana Mein Yaaro Jeene Ke Tareeke Bhool Gaye,
Unko Saari Duniya Humko Siskati Huyi Hayaat Mili.
Naddan Hai Voh, Hairan Hai Voh
Khud Apne Hi Sawalon Se, Pareshaan Hai Voh
Kya Bataun Unhe, Ki Pyar Kya Hota Hai
Abhi Sacchi Mohabbat Se, Anjaan Hai Voh.
Ab Koi Khwab Sunehra Nahi Dekha Jata,
Tumhare Siva Koi Aur Chehra Nahi Dekha Jata,
Mere Mehboob Mujhe Teri Aankhon Ki Kasam,
Mujhse Siskata Hua Ye Savera Nahi Dekha Jata.
Tanhayian, Roosvayian, Thokrein Aur Udaasian,
Itni Aaftein Lekar Meri Doonia Mein Pyar Aaya,
Mujhe Gham Nahi Ki Tum Juda Ho Gaye,
Magar Teri Bebasi Per Rona Bar Bar Aaya.
Mujhe Jaankar Koi Ajnabi, Voh Dikha Rahe Hai Gali Gali
Isi Shahar Mein Mera Ghar Bhi Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Voh Samajh Ke Dhoop Ke Devta Mujhe Aaj Poojate Aayeinge
Main Chirag Hoon Teri Sham Ka, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho.
Maine Teri Mohabbat Mein Sabse Nata Tod Liya,
Aur Fir Tune Hi Mujhse Moonh Mod Liya,
Ab Kaya Teri Vafaon Ka Jikar Karoon Main,
Maine Toh Ab Gham Se Rista Jod Liya.
Teri Aankhon Se Kaash Koi Ishara To Hota,
Kuch To Meri Jaan Jeene Ka Sahara To Hota,
Tod Dete Hum Har Ek Rasam Zamane Ki,
Tune Ek Baar Mohabbat Se Pukara To Hota!!!!!!
Kaha Na Kisi Se Kabhi Tere Afsaane Ko,
Na Jaane Kaise Khaber Ho Gayi Zamane Ko.
Ab To Mumkin Hai K Tera Naam Bhi Aayega,
Hukam Ho Tera To Yahin Shod Doon Afsaane Ko.
Dafnaa K Sab Chal Diye Mujhko Na Dua Na Salaam Koi,
Yeh Ek Pal Mein Kya Ho Gaya Zamane Ko.
Jeena Chaha Magar Jee Na Sake Tumhare Bina,
Chaak Daaman Hum See Na Sake Tumhare Bina.
Tumne Hume Bhoola Kar, Nayi Doonia Basa Lee,
Hum To Muskura Bhi Na Sake Tumhare Bina.
Umar Ki Rah Me Raste Badal Jate Hain, Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hain,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare,
Lekin Aankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hain.