Har Baat Samjhane Ke Liye Nahi Hoti..
Zndgi Hamesha Paane Ke Liye Nahi Hoti..
Yaad Aksar Aati Hai Aapki My Dear..
Par
Har Yaad Jatane Ke Liye Nahi Hoti..!
Ae khuda apne chaand pe itna guroor mat kar,
Ek chaand sa dost ham bhi rakhate hai,
Jab taarif hoti hai tere chaand ki,
Log misaal mere yaar ki dete hai!
Kyu Koi Chaha Kar Dosti Nibha Nahi Pata,
Kyu Koi Chaha Kar Ristha Bana Nahi Pata,
Kyu Leti Hai Zindagi Aisi Karwat Ki,
Koi Chaha Kar Pyar Jata Nahi Pata.
Kaanto Me Rehkar Bhi Hum Zndgi Ji Lete Hain..
Har Zakhm Ko Apne Haatho Se Si Lete Hain..
Jis Haath Ko Keh Diya Dost Ka Haath..
Hum Us Haath Se Zeher Bhi Pi Lete Hain..!
Unki Tasveer ko Seene Se Laga
Late Hai, Is Tarha Judaai Ka
Gam Mita Lete Hai, Kise Tarha
Se Khi Unka Zikar Ho Jaaye, To
Bheege Palko Ko Jhukaa Lete Hai!
Roz Roz Tufan Nhi Aate,
Har Roz Hasin Lamhe Nhi Aate,
Jee Lo Ye Zindgi Jab Humsub Saath Hai,
Qki Har Janam Me Humare Jaise Dost Saath Nibhane Nahi Aate.
Hansi Chupana Kisi Ko Gawara Nahi Hota,
Har Musafir Zindagi Ka Sahara Nahi Hota,
Milte Hai Log Iss Tanha Zindagi Mein Par,
Har Koi Dost Tumsa Payara Nahi Hota.
Dosti Ki Mehak Ishq Se Kam Nahi Hoti,
Ishq Pe Hi Zindagi Khatm Nahi Hoti,
Agar Sath Ho Zindagi Mein Acche Dosto Ka,
To Zindagi Kisi Mehkhane Se Kam Nahi Hoti.
Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.
Kho Gayi Tahazeeb-Insani Insanon Se,
Insaniyat Bhi Insan Khone Lage Hain.
Kal Tak Thi Chhoone Se Nafarat Jinhen,
Wo Bhi Munh Sharab Se Dhone Lage Hain.
Doston Ki Dost…. Bharosa Uth Gaya Insan Ka Insan
Se,
Bete Bhi Zamanat Baap Se Lene Lage Hain.
Farz Bacha Hi Nahin Is Jahan Mein Koi,
Nauker Ke Bhi Malik Pe Ehasan Hone Lage Hain.
Har Khamosh Chehera Sad
Nahin Hota, Har Insaan
Bad Nahin Hota, Kaise Kahu
Par Such Hai Yeh, Har Koi
Aapki Tarah Mad Nahin Hota.!!
M-Mera, A-Aaccha, D-Dost..!!
Ankhen to Dosti me Dil ki zuban hoti hai,
Sachhi Dosti to sada bezubaan hoti hai,
Dosti me judai bhi aae to kya ghabrana…..
suna hai judai se Dosti aur bhi jawan hoti hai…..!
Tassavur Tera Jab Bhi Aata H,
Aankho Me Ashko Ka Sailaab Lata H,
Fir U Gujarta H Waqt Mera,
Na Dil Ko Krar Aata H, Na ‘Kumar’ Ko Aaram Aata
H.
Meri Wafao Me Asar Nhi Tha,
Meri Duao Me Asar Nhi Tha,
Aaya Tha Tufan Fiza Me, Mera Tabaahi-E-Manzar
Dekhne,
Mgar Gyi Nhi Khuda Tak ‘Kumar’ Unki Sadao Me
Asar Nhi Tha.