Har SansMohabbat Pe FidaKrta rahun ga,
Saa’il Hun Tere Dar Pe Sada Krta rahun ga…
Yeh Dard Yeh Aansu Meri Kismat Ki atta Hain,
Han Tere Liye Dil Se Dua Krta rahun ga…
Ta’zeer Lagao Mujhe Sooli Pe Char’ha do,
Mujrim Hun magar Jurm_e_Wafa Krta rahun ga…
Tasleem Kare Ya Na Kare Uski raza Hy,
Main Farz MohabbatKa Ada Krta rahun ga…
Main Farishta To Nahi Usko Khabar Hy,
Aadam Hun Baghawat Ki Khata Krta rahun ga.
Kabhi Gungunaao To Is Terha
Meray Zakhm Phir Se Gulaab Hon
Kabhi Muskuraao To Is Terha
Meri Dharkanein Bhi Laraz Uthein
Kabhi **Tum** Khaao To Is Terha
Jo Nahin To Phir Baray Shoq Se
Sabhi Rabtay Sabhi Zabtay
Kabhi Dhoop Chaaon Mein Tor Do
Na Shikast-E-Dil Ka Sitam Kaho
Na Suno Kisi Ka Azab-E-Jaan
Na Kisi Se Dil Ki Galish Kaho
Yun Hi Khush Raho Yun Hi Khush Phiro
Kabhi Kareeb Toh Kabhi Juda Hai Tu,
Jaane Kis Kis Se Khafa Hai Tu,
Mujhe Toh Tujh Par Khud Se zyaada Yakin Tha,
Par Zamana Sach Hee Kehta Tha Ki Bewfa Hai Tu.
Dard uthta hai magar aah nahi karty
Kon kehta hai ke hum wafa nahi karty
Akhir kyu nahi badalti taqdeer meri
Kya mere dost mere haq mein dua nahi karte.
ma aapki yaad satati he mere pas aa jao
thak gaya hu muje apne aanchal me sulao
ungaliya apni ferkar mere balo me
ek bar fir se bachpan ki loriya sunao
Unke Pyar Ko Bhulana Itna Aasaan Nahi
Aur Phir Hum Aise Bhi Insaan Nahi
Unki Yaadon Ka Saboot Hain Humari Dhadkane
Per Unko Humari Dhadkano Ka Zara Bhi Khyal Nahi
Kuch Bikhre Sapno Se Aankho Me Nami Hai,
Ek Chhota Sa Aasma Aur Umeedo Ki zami Hai,
Yu To Bahut Kuch Hai Zindgi Me,
Sirf Jo Door Hai Bas Unhi Ki Kami Hai.
Mehak kya hai fizaao se pucho
Pyaar kya hai mere dil se pucho
Tadap kya hai mere deewangi se pucho
Hum kitne tanha hai tumhare bina
Ye bhari mehfil se pucho
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte
ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte
ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey
ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte
hokk
Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota
Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota
Chahere Ko Muskrahat Se Mai Sajaye Rakhta Hoon
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota
Duniya Se Qatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham
Ko
Bazm-e-Tarab Sajana Gar Mere Bas Me Hota