Saari Raat Aankho Ko Ab Nind Nahi Aati Hai
Unki Yaad Ab Harpal Mujhe Kyu Tadpati Hai
Kaise Bhul Jayein Ab Hum Unki Mithi Yaado Ko
Unki Yaado Se Thodi Si Khushiya Mil Jaati Hai.
Rukh Badalat Hai Zamane Ka ,Har Zamane Mein
Phir Bhi Milta Hai Naame Mohabbat Har Bahane Mein
Shaamil Gar Naa Ho Yeh Duniye Phir Bhi Hum Jiyennge
Dard Woh Pyara Hai, Hota Hai Jo Ishq Chipane Mein
mera jee hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamanna hai teri agar hai tamanna
teri aarzoo hai, agar aarzoo hai
kiya sair hum ne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai
ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi aankh, main hun na tu hai
nazar mere dil ki padi “dard” kis par
jidhar dekhata hun wahi ru-ba-ru hai
Ye Mera Dil Is Dil Ki Haalat Kese Baaun Tumhe,
Ye Dil Ab Dil Na Raha Iski Haalat Kese Bataoon Tumhe,
Kisi Ki Mohabbat Me Thukraye Gaye Hain Ye,
Ye Dil Me Jo dard Hai Kaise Dikhaun Tujhe..
Le gaye aap is school ko us mukaam par,
garv se uthte hai hamare sar,
hum rahe na rahe ab kal,
yaad aayenge aap ke saath bitaye hue pal,
Teacher.. aapki zarurat rahengi hame har pal…
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde
Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe Fanaa Karde
Kismat Do Pal Mein Badal Sakta He INSAN
Per Jo INSAN Ko Badal De Wo Kismat Nahin Hoti
Apni Kismat Pe Rota Wohi Shakhs Hay Jisko
Sajdon Me Rone Ki Adat Nahin Hoti
Aaj Fir Teri Yaad Aayi Barish
Ko Dekh Kar, Dil Pe Zor Na Raha
Apni Bebasi Ko Dekh Kar, Roye Is
Qadar Teri Yaad Me, Ke Barish
Bhi Thum Gayi Meri Barish Dekh Kar!
Mom batti k ander ka dhaga bola,
Main jalta hoon to tu kyon pighalti hai?
Mombati boli,
Jisko dil mein jaga di,
woh bichray to ansu to niklainn gey hi.
Khamosh Fiza Thi Kahin SAYA Bhi Nahi Tha
Es Shehar Mein HUMSA Koi Aaya Bhi Nahi Tha
Kis Jurm Mein CHEENI Gai HUM Se Hansi
Hum Ne To Kisi Ka DIL Dukhaya Bhi Nahi Tha…
karib rehne se dil ko karar aata hai
aur dur rehne se meri jaan jati hai
ye kaisa silsila jari hai pyar ka
jahan gham me bhi in hothon pe muskan aati hai.