Liptaa Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Meraa Honaa Bhi Nahin Hai
Yeh Ishq Mohabbat Ki Riwaayat Bhi Azab Hai,
Paanaa Bhi Nahin Hai, Use Khonaa Bhi Nahin Hai
Dìl Me Chupi Yadon Se Sawaro
Tujhe. To Dekhe To Sahi Aankho
Me Utaaro Tujhe. Tera Naam
Hamne Apne Lafzo Me Aise
Sajaya Hai.. So B Jauo To
Khuwabo Me Pukaro Tujhe..
Kabhi Jo Toot Ke Barsa December,
Laga Apna, Bohat Apna December,
Guzar Jata Hai Sara Saal Yun To,
Nahin Kat’ta Magar Tanha December,
Bhala Barish Say Kia Sairaab Hoga,
Tumharay Wasl Ka Piyasa December,
Woh Kab Bichra? Nahi Ab Yaad Lekin,
Bus Itna Yaad Hai Ke Tha December,
Jama Poonji Yehi Hai Umar Bhar Ki..
Meri Tanhai Aur Mera December…
Zindagi me herdam haste raho,
Hasna zindagi ki zarorut hai,
Zindagi ko is andaz mei jiyo ki aapko dekh ker log kahen "wo dekho"
zindagi kitni khubsoorut hai..
aankhon mein jee mera hai idhar yar dekhana
aashiq ka apne aakhari didar dekhana
kaisa chaman ke hum se asiron ko mana hai
chak-e-qafas se bag ke divar dekhana
aankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhana
ae ham-safar na aable ko pahunche chashm-e-tar
laga hai mere paon mein aa khar dekhana
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
hoshiyar zinhar khabardar dekhana
sayyad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib ye gulazar dekhana
gar zamzama yahi hai koi din to ham-safir
is fasl hi mein hum ko giriftar dekhana
bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
ho jayega gale ka kaheen har dekhana
shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhana
us khush-nigah ke ishq se parahez kijio ‘meer’
jata hai leke jee hi ye aazar dekhana
सात सुरों का बहता दरिया तेरे नाम ।
हर सुर में है रंग झनकता तेरे नाम ।
जंगल-जंगल उड़ने वाले सब मौसम,
और हवा का सर्द दुपट्टा तेरे नाम ।
तेरे बिना जो उम्र बिताई, बीत गई,
अब इस उम्र का बाक़ी हिस्सा तेरे नाम ।
जितने ख़्वाब ख़ुदा ने मेरे नाम लिखे,
उन ख़्वाबों का रेशा-रेशा तेरे नाम । D
Kisi ek se karo pyaar itna,
Ke kisi aur se pyaar karneki gunjaish na rahe,
Woh muskrade aap ko dekhkar ek bar,
Toh zinadgi se phir koi khwaish na rahe..
Woh zindagi hi kya jisme mohabba hi nhi,
Woh mohabbat hi kiya jisme yaadein hi nhi,
Woh yaadein hi kya jisme tum nhi,
Or wo tum hi kya jiske saath hum nhi
Shayari By Heart -
Mujhe apni mohhabat ka fasana mil gya
Dekha tujhe jo,mujhe ,jeene ka bahana mil gya
Ban ke yaad rehna mere palko mein sada
Ab to tanhaiyan mein bhi mujhko tera nazrana mil gya.....
Hath chhute to rishte nahi chhuta karte.
Waqt ke dahliz se lamhe nahi tuta karte.
Milte hain kuch insan aise zindegi me,
Jinse kabhi naate nahi tuta karte...!!
Wo Koi Parinda Nahin Tha Jo Udd Gaya Samajh
Lon,
Wo Musafir Bhi Nahin Tha Jo Bichhad Gaya Samajh
Lon.
Tere Hanthon Jo Lut Gayi Mere Armanon Ki Duniya
Thi,
Koi Pattharon Ka Shaher Nahin Jo Ujad Gaya
Samajh Lon.ii
Dil Hi Dil Mein Hum Tumhain Pyar Bahot Krtey Hain
Lekin Saach Hai K Bataney Se Bahot Dartey Hain
Khud Pe To Hai Yaqin Saanson Pe Magar Nahi.
Moat Se Nahi Aey “Khushi” Zindagi Se Hum Dartey Hain Tum Bin, ♥
Na ishq
na pyar
na mohobbat yaaro......
Devdas ke mafik
jaan mat do yaro.......
Apna to ek hi usul hai
.
na chandrmukhi
.
.....na paaro
....................jo dokhe.,
bassss usipe line maroo !
Badalte Is Zamane Ne Sab Ko Badal Daala..
Khwaab Aur Khayaalon Ko Bhi Badal Daala..
Par
Us Bewafa Ko Na Badal Saka Mera Pyar Bhi..
Jiske Liye Humne Apne Aap Ko Badal Daala.
Dil Ki Likhi Baat Dil Ko Chhu Jati Hai,
Ye Aksar Ankahi Baat Keh Jati Hai,
Kuchh Log Dosti Ke Mayne Badal Dete Hain,
Aur Kuchh Logon Ki Dosti Se Duniya Badal Jati Hai!