Jab Pyar kiya ab phir koi doori nahin,
Ishq mein dil diya yeh koi majboori nahin!
Tumse hi mera jahan bana, tho phir gila kya,
Tum mein hi sukun paya tho phir yeh duniya kya!
Aaj khul kar hum aap se yeh kehte hain
Aapse hi humare duniya, dil main aap rehte hain!
Abi Is Taraf Na Nigah Kar,
Main GhazaL Ki PaLkein Sanwaar Loon,
Mera Lafz Lafz Ho Aaina,
Tujhe Aainey Me Utaar Loon!
Main Tamam din Ki Thaki Hui,
...Tu Tamam Shab Ka Jaga Hua,
Zara Theher Ja Isi Mor Par,
Tere Sath Shaam Guzaar Loon!
Agar Aasman Ki Numaishon Me
Mujhe b Izn-e-Qayam Ho,
To Main Motiyon Ki Dukaan Se,
Tera Chehra Or Nikhaar Loon!
Kuch Ajnabi Tere Sheher k,
Mere Paas Se u Guzar Gaye,
Unhe Dekh Kr Ye Tarap Hui,
Tera Naam Le k Pukaar Loon...
Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata.
Tuta hua phool khusbu de jata hai,
Bita hua pal yaaden de jata hai,
Har shakhs ka apna andaz hota hai,
Koi zindgi me Pyar,
To, Koi Pyar Me zindgi de jata hai…
Gulab Ki Mahak Ko Churaya Nahi Jata,
Suraj Ki Rosni Ko Chhupaya Nahi Jata
.
Duriya Chahe Kitni Bhi Ho Dosto Me.
Lekin Chahkar Bhi Dosto Ko Bhulaya Nahi Jata.
Meri Maut Per Aansu Bhane Ki Bjaye Khushiyan Mana Rahe Hain Vo
Meri Kabar Tak Jane Ki Bjaye Aaj Geet Ga Rahe Hain Vo
Gam Ye Nahi Ke Vo Mayeeat Mein Nahi Aaye Meri
Gam To Ye Hai Ke Is Badnaseeb Aashiq Ki Kismat Par Hans Rahe Hai Vo.
Kabhi jo waqt par jaye,
Tumhein mujh se bicharna ho,
Tumhein waday se phirna ho,
To beshak dair mat karna,
Mujay naraaz kar dena,
Tum apna rukh badal lena,
Tum apni simt chal dena,
Magar jab lot k ana,
Tumhein mitti k teelay par,
Main shayad na dikhai dun,
Magar heran mat hona,
Wahin do char qadmon par,
Mazaar-e-bekaraan hoga,
Wahan ik phool rakh dena,
Aur ik shama jala dena,
Aur apna rukh badal lena,
Aur apni simt chal dena…
Unke Aagan Me Sahnai Aur Geeton Ka Mahol Tha,
Humare Ghar Per Bhi Jam Aur Dosto Ka Shor The.
Fark Bus Itna Tha Wo Wahan Dulhan Ke Roop Me
Thi
Aur Hum Yahan Gum Ke Dhoop Me The.