Muddato baad yeh dil patthar se dil huwa hai, ise
dil rahne do.
Dil mein hai jo arman use zaban se kahe lene do,
Pata nahi Zindagi ki Kab shaam Dhal Jaye Agar ajj
Mile hai to Kahe lene Do!!!.
Woh Shayad Isiliye Rahte Hain Door Humse,
Kyunki Unko Apne Husn Par Gurur Hoga,
Magar Yaad Rakhna Eh Dil Todne Waale,
Ki Tumko Iska Ehsaas Jaroor Hoga…
Kya Batayein Aapko Hum Apni Majburiyan,
Ki Kyu Aapko Hum Apna Bana Na Sake,
Bas Samajh Lijiye Sagar Ki Badnaseebi Thi,
Jo Aapke Pyar Ko Bhi Hum Pa Na Sake…
Aadmi Bhool Jata Hai Ehsaan,
Bhulta Nahin Gham Seene Ke,
Mout Ke Andaaj Wohi Rahte Hain,
Badal Jaate Hain Andaaj Jine Ke,
Dil De Toh Is Mijaj Ka Parvar Digar De,
Jo Jang Ki Ghadiya Bhi Khusi Mein Gujar De…
Tanhai Ka Ye Aalam H
Rone Ko Dil Karta H
Ro Kar Thak Jate Hain
To Marne Ko Dil Karta H
Lakin Mare Bhi To Kaise
Koi Hai Jiske Liye
Jeene Ko v Dil Krta Hai.
phir murat se bahar aakar charon or bikhar ja
phir mandir ko koi mira divani de maula
tere hote koi kisi ke jan ka dushman kyon ho
jinevalon ko marane ke aasani de maul
Udhte Badal Bujurgon Ki Sarafat Ban Gaye,
Dhoop Mein Ladkiyan Muskurati Rahin,
Jab Se Jana Ke Ab Koi Manjil Nahin,
Manjilein Raah Mein Aati Jati Rahin,
Saare Din Ki Tapi Sahili Ret Par,
Do Tadpati Huyi Machhliyan So Gayi,
ye duniya wale bhi ajeeb hote hai
kabhi door to kabhi kareeb hote hai
dard naa batao hame kayar kehte hai
or dard batao to hame shayar kehte hai.
=>Date - 10 Apr 2013.
=>Created By - Arun Singh.
Rone Se Palko Par Ashk Reh Jayega,
Na Suljhi Ye Baat To Shak Reh Jayega,
Agar Aap Bas Gye Kisi Or Ke Dil Me,
To Batao Aap Par Hamara Kya Haq Reh Jayega,.
Tumhare Gum Bhi Hum Apne Sine Mein Chhupa Lenge
Tumhare Aansu Bhi Hum Apni Aankho Se Baha Lenge
Bas Ek Baar Tum Humpe Aitbaar Karke Dekh Lo Sanam
Khuda Ki Kasam Tumhe Apne Sine Mein Basa Lenge.
Rulane Se Pehle Hasaya To Hota,
Kasoor Kya Hai Is Dil Ka Bataya
To Hota, Mile Sazaa Us Khata Ke
Jo Na Ke Humane Kbhi.. Kaas Ye
Dil Kbhi Kahin Lagaya Na Hota!
Zindagi Teri Titliyo Ke Jaise, Rango Ki Barasat Jisme,
Tum Kya Jano Ki Kafan Ka Rang Kaise Hota Hai,
Aye Din Ke Ujalo Me Ghum Kar Muskurane Wale,
Tum Kya Jano Raato Ko Aasu Bahana Kaise Hota Hai,
Kehlna To Teri Aadat Me Hai Ye Mai Janta Tha Tabse,
Par Tum Kya Jano Kisi K Pyar Par Bharosa Kaise Hota Hai
Yaadon ko teri hamne khone na diya,
Ghamo ne bhi chup hone na diya,
Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya.
Mana Ke Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi,
Magar Tunhein Meri Mohabbat Ka Ehsaas Nahi,
Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham E Aansu,
Ab Kuchh Aur Peene Ki Pyaas Nahi…
Mil K Bichadna Dastoor Hai Zindagi Ka,
Ek Ye He Kissa Mashur Hai Zindagi Ka,
.
.
.
Beete Hue Pal Laut K Nhi Aate,
Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka.....!