"Dard me koi mousam pyara nahi hota
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain,
Par koi humara nahi hota."
Khud Ko Dekhne Se Hi Fursat Nahin Hai,
Haseen Chehro Ko,
Ab Kab Woh Tumhe Dekhe Kab Dusro Ko,
Bhini Chadar Mein Lipatkar,
So Rahi Hai Jo,
Jaane Kitno Ke Armaan Uske Seene Se Chipke Hain,
Jitne Bhi Dena Chaho Gham De Do Mujhko Yaaro,
Ab Toh Do Char Lamhon Ka Bas Mehman Hun Main,
Main Apne Kiye Waade Nibha Paya Na Kabhi,
Bas Ek Isi Baat Se Ab Tak Pareshan Hun Main…
Nazren na hoti to nazaara na hota,
Duniya main hasino ka guzara na hota,
Hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de,
Jaake khuda se kaho ke haseeno ko banaana chhod de.
दिल को अब यूँ...
दिल को अब यूँ तेरी हर एक अदा लगती है;
जिस तरह नशे की हालत में हवा लगती है;
रतजगे खवाब परेशाँ से कहीं बेहतर हैं;
लरज़ उठता हूँ अगर आँख ज़रा लगती है;
ऐ, रगे-जाँ के मकीं तू भी कभी गौर से सुन;
दिल की धडकन तेरे कदमों की सदा लगती है;
गो दुखी दिल को हमने बचाया फिर भी;
जिस जगह जखम हो वाँ चोट लगती है;
शाखे-उममीद पे खिलते हैं तलब के गुनचे;
या किसी शोख के हाथों में हिना लगती है;
तेरा कहना कि हमें रौनके महफिल में "फराज़";
गो तसलली है मगर बात खुदा लगती है।
Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya..
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !!
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..
Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !!
Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De..
Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !!
Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum..
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !!
Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko..
Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !!
Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Me,
Tham Lo Mujh Ko Gamon Se Choor
Hoon Me, Teri Doori Ne Kar
Diya Pagal Sa Muje, Or Logon
Ka Kehna He Ke Magroor Hoon Me.
Chand se piyari ho ap mere dil ki dhadakti dhadkan ho ap, bewafa hi sahi par mere zindgi ho ,apne kar di meri zindgi barad eski bajah bhi ho ap, mujhe dard dene bali bhi ho ap ,
Apne Honthon Par Sajana Chahta Hun
Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun
Koi Aansu Tere Daman Par Gira Ke
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun
Thak Gaya Mein Yaad Karte Karte Tujh Ko
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun
Aakhiri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Maut Bhi Mein Shairaana Chahta Hun
Chaa Raha Hai Sari Basti Mein Andhera
Rooshni Ko Ghar Jalana Chahta Hun
----------------------------
Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna?
Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay
Samandar?
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna?
Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein
Sadaa Say?
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna?
Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein?
Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna?
Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein?
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna?
Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye
..Sauda Hamara Kabhi Bazaar Tak Nahi Pohncha
Ishq Tha Jo Kabhi Izhaar Tak Nahi Pohncha
..Yun Tu Guftagoon Bohut Huwe Unse Phir Bhi
Silsila Kabhi Yeh Pyaar Tak Nahi Pohncha..
..Jaane Kaise Ho Gaya Waakif Tamaam Shehar
Daastan-e-Ishq Yun Tu Kabhi Akhbaar Tak Nahi Pohncha..
..Shartein Ek Dusare Ki Manzoor Thi Yun Tu
Par Masauda Hamara Kabhi Qaraar Tak Nahi Pohncha..
..Gahrayi Dosti Main Naapta Bhi Kaise
Rishta Hamara Kabhi Taqraar Tak Nahi Pohncha..
..Ana’a Meri Mujhe Izazat Nahi Deti
Faqat Isliye Zaidi Darbar Tak Nahi Pohncha....!
Ek Tum Hi Se Umeed Ki Hai Mere Khuda,
Der Na Kar Jara Unse Zaldi Mila,
Yeh Rokar Karte Hain Gujaris Upar Wale,
Kahin Ho Na Jaaye Meri Yeh Zindagi Tabaah….