Unko yaad karke gam chhupaa lete hain
Unko yaad karke thodaa muskuraa lete hain
Unko Bichhde huye kyi saal ho gaye
Fir bhi unki yaadon ko dil se lagaa lete hain.
Aap Kya Jaano Kya Hota Hai Dard Judai Ka,
Humse Yeh Puchho Kaisa Haal Hota Hai Tanhai Ka,
Mout Ko Laga Lete Hain Majboor Hokar Gale Yaaro,
Aisa Hota Hai Jab Bhi Hota Hai Hashar Rushwai Ka…
Dil Mein Unki Yaado Ki Ek Jhalak Si Rehti Hai
In Hawao Mein Harpal Unki Mehak Si Rehti Hai
Dil Ko Intzar Hai Humesha Bas Unke Aane Ka
Hume Unse Milne Ki Ab Ek Kasak Si Rehti Hai.
Jitne Bhi Dena Chaho Gham De Do Mujhko Yaaro,
Ab Toh Do Char Lamhon Ka Bas Mehman Hun Main,
Main Apne Kiye Waade Nibha Paya Na Kabhi,
Bas Ek Isi Baat Se Ab Tak Pareshan Hun Main…
Woh Aur Honge Log,
Zindagi Jinhe Raas Aayi,
Apna To Woh Haal Hai Gaalib,
Har Aas Tooti,
Har Ummeed Charmarayi,
Hum Pe Aake Sab Haari,
Kya Neki, Kya Badi Aur Kya Khudayi…
Kabhi hum tooty to kabhi khawb tooty.
na jany kitny tukron main armaan tooty.
her tukra aayina hai zindagi ka.
her aayine ke saath laakhon jazbaat tooty
Rulane Ke Baad Kyu Hasati Hai Duniya,
Jane Ke Baad Kyu Bulati Hai Duniya,
Zindgi Me Kya Kasar Baki Rah Jati Hai,
Jo Marne Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya.
Sath to ek pal ka tha phir kiun mujhy yaad aaty ho tum,
Aks ki tarha mery dil pr kiun chaa jaty ho tum,
Dilbar bhi nhi ho mery hamdum bhi nhi ho tum,
Ye rasty pyaar K mujhy phr kiun dikha jaty ho tum,
Hum kabhi mily thy to ek ajnabi ki tarhan,
Meri raton ki neend phr kiun ura jaty ho tum,
Hawaon se hum tumhara pata poochty rhe,
Kuch is tarhan se apna dewana bana jaty ho tum,
Sath to ek pal ka tha phr kiun mujhy yaad aaty ho tum...
Sajaya Tha Tere Pyar Say Humney Apni Zindagi Ko,
Mehkaya Tha Tere Pyar Say Humney Apna Gulistan,
Lekin Jaane Kya Khuda Ko Tha Manzur,
Ke Paane Ke Baad Apko Kho Diya Humne,
Ab Raat Sochne May Guzar Jati Hai,
Kyu Khusiyon Ko Nazar Lag Jati Hai,
Tere Sparsh Ko Odh Ker So Jati Hu,
Her Kerwat Per Tujhi Ko Sapno May Dhund Lati Hu…