सिर्फ देख के किसी को दिल की बात नहीं होती;
मुलाकात हो फिर भी कभी बरसात नहीं होती;
जानते है तुम कभी हमारे ना हो पाओगे;
फिर भी इस दिल में कभी रात नहीं होती।
Rone Se Palko Par Ashk Reh Jayega,
Na Suljhi Ye Baat To Shak Reh Jayega,
Agar Aap Bas Gye Kisi Or Ke Dil Me,
To Batao Aap Par Hamara Kya Haq Reh Jayega,.
दुनियाँ में इतनी रस्में क्यों हैं;
प्यार अगर ज़िंदगी है तो इसमें कसमें क्यों हैं;
हमें बताता क्यों नहीं ये राज़ कोई;
दिल अगर अपना है तो किसी और के बस में क्यों है।
Takdeer bata tune mujhko kis mod pe lake chhod diya,
Ek mod talak to saath diya ek mod pe lake chhod diya,
Khud pyar kiya khud thukraya fir pyar bhara dil tod diya,
Ek mod pe aake mil bhi gaye ek mod pe aake bichhad gaye
Us mod talak to saath diya is mod pe lake chhod diya,
Takdeer bata tune mujhko kis mod pe lake chhod diya.!
Yun Toh Bahut Hain Dost Mere,
Koi Apna Najar Nahi Aata,
Mujhe Is Jeevan Mein Sach Hota,
Koi Sapna Najar Nahi Aata,
Apno Ka Humko Dagaa Dena,
Yeh Toh Bas Ek Bahana Hai,
Sach Toh Yeh Hai Ke Har Gham Ko,
Sagar Ke Paas Hi Aana Hai…
Kya Jawab Doge Sanam,
Khuda Ke Darbaar
Jab Puchhega Woh,
Kya Gull Khilaye Pyar Mein,
Suna Na Sakoge Dastaa,
Apni Bewafayi Ki,
Kiye Hain Tumne Lakho Jakhm,
Dil E Yaar Mein,
Fasla Hi Kam Na Huya Aur,
Apno Se Juda Hote Chale Gaye,
Tumhari Berukhi Ne Yun Hamara Dil Toda,
Usi Dil Ne Tumhe Aawaj Di Hai Fir Chale Aao…
Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna,
Mein Samandar Dekhti Hun, Tum Kinara Dekhna
Yun To Bicharna Bhi Bohat Aasaan Na Tha, Us Se Mager,
Jate Jate Us Ka Wo Mur Kar Dobara Dekhna
Kis Shabahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chand
Aye Shab-e-Hijran Dara Apna Sitara Dekhna
Aaine Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kia Kia Dikhaye Ga Tumhara Dekhna
Ansuo ko bahut samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
iss par ansu tadap kar bole,
itne logo me aapko tanha pate hai,
is liye chale aate hai….
Kisi ko mil jaye wafa naseebon ki baat hai
Koi rota rahe tanha naseebon ki baat hai
kisi ko chahna khud se badh kar
Na ban sake woh apna naseebon ki baat hai
Aap Se Jab Jab Kuch Kehne Ka Khayal Aaya
Pehle Bade Jatan Se Humne Apne Labo Ko Sajaya
Rah Mein Jab Bhi Aap Nazar Aate The
Labo Pe Sajaye Har Bol Bhikhar Jate The
Aaj Tak Aapse Kuch Keh Na Paye
Haar Kar Apne Jazbaat Is Kagaz Par Sajaye
U To Zyada Nahi Bas Itni Si Khawish Hai
Ek Saaf Suthre Pyaar Ki Numaish Hai
Haan Keh Dena Agar Yeh Pyaar Kabul Hai
Ya Na Keh Dena Agar Yeh Mari Bhool Hai…
Ki Yeh Bekarariyan Chukati Udhriyan,
Dil Par Dimag Par Jallad Aariyan,
Nichi Nigaah Lekin Unchi Atariyan,
Baarud Ke Kahar Hain Kesar Ki Katariyan,
Bajar Ke Chalan Mein Bikati Kunwariyan,
Kali Si Hai Hakikat Sone Ki Dhariyan,
Pooja Ki Tokri Mein Nakli Supariyan,
Asbab Bhari Bharkam Khasta Savariyan…