Jee bhar ke roye tho karar paya,
iss daur me kisne sacha pyar paya?
Zindagi guzar rahi hai imtihano ke daur se,
ek zakham bhara nahi ke dusra tayyar paya
yaad teri hume itni aayi,
ke teri yaado ke saaye me jine laga,
dost to dost meri halat ko dekh,
khud khuda bhi rone lagaaaa,
plze come back in my life swee2
chaand hansta raha raat gaati rahi,
yad mujhko tmhari satati rahi..
tmko aana na tha tum na aye sajan,
dekhte hi rahe raah mere nayan..
aas deepak jalati bujhati rahi,
yaad mujhko tumhari satati rahi..!!
Aaj fir wo izhar-e-ishq karke inkar kar gaye
Phir khamosh nazron se waar kar gaye,
Jab puchi mehfil mein dil todne ki wajah,
Majburi ka aasra dekar sharmsar kar gaye
Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban
Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon
Mein
Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon
Mein…!!ii
Dil Hai Toh Dard Hoga,
Tejab Sard Hoga,
Halat Ka Sataya,
Bebas Sa Mard Hoga,
Riston Ki Aandhiya Hain,
Maathe Pe Gard Hoga,
Kuchh Bookh Kuchh Jalalat,
Har Sakhs Jard Hoga,
Pustak Badi Purani,
Ukhda Sa Fard Hoga…
Aap Kya Jaano Kya Hota Hai Dard Judai Ka,
Humse Yeh Puchho Kaisa Haal Hota Hai Tanhai Ka,
Mout Ko Laga Lete Hain Majboor Hokar Gale Yaaro,
Aisa Hota Hai Jab Bhi Hota Hai Hashar Rushwai Ka…
Dil ko unse rusva hone ki kya wajah du
Saanso ko unse doori ki kya saja du
Gun ka samandar hai aage ya hai kaali raat
Aapse pyar main mili hai dil ko kuch aisi saugaat.
Benaam musafir hoon benaam safar mera
kis rah nikal jaun kuch kah nahi sakta
Mil jayegi tahbeer mere khawaboon ki ek din
Ya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta.
Uske intezar ke maare hain hum
Bus uski yaadon ke sahaare hain hum
Duniya jeet kar kya karna hai ab
Jise duniya se jeeta tha,
Aaj usi se haare hain hum