Heart touchng line...
Betaab Se Rehte Hai Uski Yaad
Me Aksar..
Raat Bhar Nahi Sote Hai Uski
Yaad Me Aksar..
Jism Me Dard Ka Bahana Sa
Bana Ke ..
Hum Toot Kar Rote Hai Uski
Yaad me aksar....
चाहत की राह में बिखरे अरमान बहुत है;
हम उसकी याद में परेशान बहुत हैं;
वो हर बार दिल तोड़ता है यह कह कर;
मेरी उम्मीदों के दुनियाँ में अभी मुकाम बहुत हैं।
Mana Ke Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi,
Magar Tunhein Meri Mohabbat Ka Ehsaas Nahi,
Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham E Aansu,
Ab Kuchh Aur Peene Ki Pyaas Nahi…
Saari Raat Aankho Ko Ab Nind Nahi Aati Hai
Unki Yaad Ab Harpal Mujhe Kyu Tadpati Hai
Kaise Bhul Jayein Ab Hum Unki Mithi Yaado Ko
Unki Yaado Se Thodi Si Khushiya Mil Jaati Hai.
Ab Chain Hai Na Karar, Rahta
Hai Dil Bekarar Madhosh Hai
Zindagi, Jabse Hua Unse Pyar
Lagta Hai Unke Bina, Mumkin
Nahi Zindagi, Woh Na Ho Kuch
Bhi Na Ho, Woh Hain Toh Sab Hai.
Dard hai dil mein par iska ehsas nahi hota
rota hai dil jab vo pass nahi hota
barbaad ho gaye hum unki mohabbat mein
aur vo kehte hai is tarah pyaar nahi hota.
Ham behte askon ko kab tak chhupaenge,
1 din gam k sagar mei dub jayenge,
kab tak bhulane ki kosis karoge humei,
hum har baaris ki bundo mei yaad aayenge.
baat kam kiijiye, zahaanat ko chhupaate rahiye
ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye
dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
ye to chehre ka faqat aks hai tasviir nahiiN
is pe kuchh rang abhi aur chaDhaate rahiye
Gham hai aavaaraa akele meN bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaaN milte milaate rahiye
jaane kab chaaNd bikhar jaaye ghane jangal meN
apne ghar ke dar-o-diivaar sajaate rahiye
Ae Rabba Dua Ye Meri Khali Na Jaaye,
Ke Mere Dost Ki Palkon Me Kabhi Aansu Na Aaye,
Aansu Nikle To Khushi Ke Nikle...
Gum Ke Aansu Mere Hisse
Me Aa Jaaye !!
Ek Ajnabi Se Hamein MOHABBAT Hogayi Hai
Ye Zindagi Hamari Mukammal Hogayi Hai
Sochte Hain Wo Chehra Kaisa Hoga
Jis Se Hamein CHAHAT Hogayi Hai
Jab Leti Hoon Naam,Ye Saansein Mehek Uthti Hain
Ab Ye Saansein Bhi Meri Us Ki Hogayi Hain
Us Ka Yun Rooz Meri Neendon Mein Chale Aana
Mere Sapnon Ki Duniya Ab Roshan Hogayi Hai
Dhadak Uthta Hai Dil Jab Mehsoos Karti Hain
Aankhein
Aisa Lagta Hai Ye Dhadkan Bhi Us Ke Naam
Hogayi Hai
Kya Hai Wafa E Mohabbat
Teri Raah Dekhte Hain
Tere Ishq Mein Jeene Ki
Chaah Dekte Hain
Tujhse Hai Pyaar Sanam Dilo Jaan Se
Ab To Bs Teri Mohabbat Ka Paigaam Dekhte Hain
Main Kisi Aur Se Kya Mangu Mere Mola,
Jab Tu Hi Kuchh Dene Ko Taiyar Nahi Hai,
Sab Ko Hi Bantata Hai Khusiyan Sada,
Kyu Sagar Se Fir Tujhe Kyu Pyar Nahi….
Gahraai Ka Shok Kise Hai,
Hum To Kinaare Par Hi Rahte Hain,
Kisi Galti Ka Aham Nahi Mujhe,
Kisi Ke Sahaare Hi Rahte Hain,
Teri Qaaynaat Mein Thodi Jagah De Ah Khuda,
Intezaar, Tere Ishaare Par Hi Rahte Hai….
Mishal Iski Kahan Hai Koi Jamane Mein,
Ki Saaare Khone Ke Gham Paaye Humne Paane Mein,
Woh Shakl Pighli Toh Har Shay Mein Dhal Gayi Jaise,
Ajib Baat Huyi Hai Use Bhulane Mein,
Jo Muntjir Na Mila Woh Toh Hum Hain Sarminda,
Ki Hamne Der Laga Di Paltake Aane Mein,
Koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka
aankh saqi ke uthe, nam ho paimane ka
garmi-e-shama ka afasana sunanevalo
raqs dekha nahi tum ne abhi paravane ka
chashm-e-saqi mujhe har gam pe yad aati hai
rasta bhool na jaun kaheen maikhane ka
ab to har sham guzarati hai isi kuche mein
ye natija hua naseh tere samajhane ka
ab to har manzil se guzarna to hai aasan “kasam”
ishq hai nam khud apne se guzar jane ka
ऐ खूदा,
उस दिल-ए-रूह से बच,
इस दूनिया मे आके ऐसा खेल मेरे मौला तू रच,
मिट जाए सारे झूठ रह जाए बस सच ही सच,
तकदीर तो ऊपर वाले का अनोखा खेल है,
न जाने यहाँ आके किसका किस किस के साथ मेल है,
लगता है अभी मेरे आगे पीछे दायेँ बायेँ कुदरत की बनी अनोखी जेल है,
लेकिन मेरे मौला इसके आगे तेरा ये भेजा वन्दा बिल्कुल फेल है,
बच जाऊ मै,भाग जाऊ मैं क्या तूने इस दूनिया मे बनाई कोई ऐसी रेल है,
या अल्ला…,
थक गया हूँ, डर गया हूँ…,
सच छुपा-छुपा के, ऐसा महसूस होता है के मै अपने अन्दर ही अन्दर घुट-घुट के मर रहा हूँ,
अन्दर ही अन्दर स़ड़ रहा हूँ,पेड़ मे लगे पत्ते जैसा झड़ रहा हूँ,
जलती लौ मे जैसे कड़ रहा हूँ,
ऐ खुदा मेरे जुल्मो को मिटा दे , मुझे सच बस सच की राह मैं बिठा दे |