Khabi Koi Dil Me Jagah Bana Saka Na Tere Shiva
Es Dil Ne Kisi Or Ko Chaha Hi Nahi Tere Shiva
Hr Pal Tujhko Hi Yaad Karta Hai Ye Dil
Is Dil Ko Or Khuch Yaad Hi Nahi Tere Shiva…
I Miss You
Unko yaad karke gam chhupaa lete hain
Unko yaad karke thodaa muskuraa lete hain
Unko Bichhde huye kyi saal ho gaye
Fir bhi unki yaadon ko dil se lagaa lete hain.
Hum Nay Jo Wada Kya Tha Wo Nibahaee Jaaa
Rahay Hain
Hum Apna Raza Ishq-E-Mohabbat Chupaae Ja
Rahay Hain
Hum To Oon Kay Her Zulmooo Sitaam Bardasht Kr
Gaee
Pir Bi Woo Dard-e-Dil Diya Ja Rahay Hain.
Gai wo bat ki ho guftagu to kyonkar ho
kahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar ho
hamare zahan mein is fikr ka hai naam visal
ki gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar ho
adab hai aur yahi kashamakash to kya kije
haya hai aur yahi gomago to kyonkar ho
tumhin kaho ki guzra sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar ho
uljhate ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahar mein ho ek do to kyonkar ho
Jidhar Dekho Udhar Waar Kaatilana Hai,
Ik Taraf Maasum Dil Dusri Taraf Jamana Hai,
Tu Mera Milna Samajh Lena Ek Sapna Tha,
Tumko Woh Mil Hi Gaya Jo Tera Apna Tha,
Tujhse Door Hoke Jiya Toh Main Marta Chala Gaya,
Ek Baar Jo Pi Toh Main Peeta Hi Chala Gaya,
Bhulakar Tera Pyar Main Jee Lunga Sansar Mein,
Khus Rahe Tu Sada Gham Utha Lunga Sansaar Mein…
Ab Tere Mere Beech Koi Fasla Bhi Ho
Hum Log Jab Milein Toh Koi Doosra Bhi Ho,
Tu Janta Nahin Meri Chahat Ajib Hai
Mujhko Mana Raha Hai Kabhi Khud Khafa Bhi Ho,
Tu Bewafa Nahi Hai Magar Bewafayi Kar
Uski Najar Mein Rahne Ka Koi Silsila Bhi Ho,
Ada Unki thi or diwane hum bane,
Wafa wo na kar sake or bewafa hum bane,
Yu to hazaro they bheed me, Shukria unka,
Jo unki nazron ka nishana hum bane...
Ab Hogaya Jo Hona Tha
Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha
Jis Dil Mein Rahe Ho Tum Salon Se
Wo Tumhare Liye To Ik Khilona Tha
Tumhe Paa Ke Khushi Se Jo Khil Si Gayeen
Un Aankhon Ko To Yunhi Bhigona Tha
Wo Pyar To Nikla Pathar Jaisa
Jo Door Se Lagta Sona Tha
Aisa Pyar Hume Mila Hi Kyu
Jisse Ab Humne Aake Khona Tha
Kitna dur nikal gaya rishta nibhate nibhate,
Khud ko kho diya apno ko pate pate,
Log kahte hai dard hai mere dil me,
Aur mai thak gaya muskurate muskurate.