Har karz pyar ka ada kaun karega
Agar hum hi nahi rahenge to pyar kaun karega
Ya Khuda meri Mohabbat ko salamat rakhna
Warna mere jine ki dua kaun karega.
Mujhey Darya Nahi Likhna,Mujhey Sehra Nahi
Likhna
Tasallsul Se Safar Main Hoon, Mujhey Thehra Nahi
Likhna
Purani Rabton Ki Raakh Ab Tak Dil Main Baqi Hai
Meri Jalti Hatheli Par Naya Wada Nahi Likhna
Ana Se Jeet Kar Usko Agar Jo Mainey Khoya Hai
Mera Noha Nahi Likhna Mera Naghma Nahi Likhna
Bisat-E-Zindagi Ki Aakhiri Sarhad Pe Khara Hoon
Mujhey Fateh Nahi Likhna Mujhey Mohra Nahi
Likhna
unki kami se dil mera udas hai,
par muje to aaj bhi unke milne ki aas hai….
Zakham nai par dard ka ehsas hai,
aisa lagta hai dil ka ek tukd Unke paas hai
वो मोहब्बत भी तेरी थी, वो शरारत भी तेरी थी,
अगर कुछ बेवफाई थी तो वो बेवफाई भी तेरी थी,
तूने छोड़ दिया हमसे बात करना, वो जिद्द भी तेरी थी,
आखिर करते तो किस से करते तेरी शिकायत,
वो शहर भी तेरा था और वो अदालत भी तेरी थी।
Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain…
Haath Par Un Ke Titli Beth Gai
Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain…
Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha
Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain…
Rang Ura Le Gaye We Titli Ka,
Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain
Shaibah Tak Nahi Shararat Ka,
Kesi Soorat Banaye Bethe Hain…
Is Se Barh Kar Bhi Koi Hai Nazuk?
Roshni Se Nahaye Bethe Hain…
Is Liye Paon Mein Dabata Hun
Wo Mera Dil Dabaye Bethe Hain
Aik But Ka Sawal Hai Mola
Man Ka Mandir Sajaye Bethe Hain
Is Liye Mutmaeen Hain Koh-E-Giran
Ham Imanat Uthaye Bethe Hain…
Dosra Moqa ‘Qais’ Kese Mile?
Aik Dil Tha Ganwaye Bethe Hain…
Aaj Humse Woh Door Hain Bahut Yeh Mana,
Magar Yaadon Mein Hum Unko Yaad Karte Hain,
Unse Sapno Mein Hi Mila De Eh Maalik,
Bas Hardam Hum Yahi Fariyaad Karte Hain…
Unse Dur Jaane Ka Kabhi Irada Na Tha
Unse Ruth Jaane Ka Kabhi Irada Na Tha
Ho Gaye Wo Humse Hi Khafa Na Jaane Kyu
Yu Paas Aakar Dur Jaane Ka Vaada Na Tha.
jab hum na honge to humein yaad karoge
ankahi baatein sunane ki fariyad karoge
jab tanhaiyaan yaad dilayegi humari
to khud hi aankho ko ashqon se namm karoge.
Is Duniya Mein Sab Kuch Bikta Hai,
Phir Judai Hi Rishwat Kyon Nahi Leti;
Marta Nahi Hai Koi Kisi Se Juda Hokar,
Bas Yaadein Hi Hain Jo Jeene Nahi Deti!
Ab Kushi Hai Na Koi Dard Roolane Wala
Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala
Usko Rukhsat* To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha
Sara Ghar Le Gaya Ghar Chhor Ke Jaane Wala
Door Ke Chand Koi Dhundho Na Kisi Aanchal Mein
Ye Ujala Nahi Aangan Ke Saamne Wala
Ik Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya
Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala
Har Khushi Se Khobsorat Teri Sham Kar Don
Apna Pyar Aur Dosti Tere Naam Kar Don
Mil Jaye Agar Dubara Yeh Zindagi
Har Bar May Yeh Zindagi Tere Naam Kar Don
k
eh Jo Diye Hain Aapne Jakham Humko,
Yeh Jakham Hamare Kabhi Bhi Sil Na Sakenge,
Yun Bichhude Ho Sagar Se Is Kadar,
Ki Chahkar Bhi Kabhi Hum Mil Na Sakenge…