Dil Na Milte To Mulakat Aduri Rehti
Baat To Hoti Magar Baat Adhuri Rehti
Shukriya Tera Tere Aanese Ronak To Badhi
Nahi To Yeh Mehfil Ek Jasbat Aduri Rehti
Tune Apne Daman Mein Chupaye Mere Aasu
Nahi To Akho Ki Barsaat Adhuri Rehti
Jeete The Kabhi Hum Bhi Shaan Se,
Mehek Uthi Thi Fiza Kisi Ke Naam Se,
Par Guzre Hain Hum Kuch Aise Mukam Se,
Ki Nafrat Si Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se.
Jaisa Karoge Aap Vaisa Hi Paaoge Sada,
Aaj Sabke Hoton Par Yeh Sachhayi Mili,
Magar Kaise Maan Lun Main Is Baat Ko Sach,
Mujhko Toh Wafa Ke Badle Bewafayi Mili…
Sheeshe ke dil me thi tasveer teri bassi,
Sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki..
Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar,
Jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti...
Waadon par kisi ke ab aitabaar na karenge...
Mar jaayenge par kisi se pyar na karenge...
saari umar chaahe akele kaatni pade...
In raahon par kisi ka ab intezaar na karenge...
Kuch Ajeeb Faaslo Ka Janam Ho Raha Hai
Naseeb Mera Jaagkar Bhi Soo Raha Hai
Kaise Keh Du Tuta Dil Dhadakta Nahi
Jabki Aaj Dil Ka Har Tukda Ro Raha Hai
Dekhte Dekhte Tu Meri Zindagi Ban Gayi
Phir Na Jane Kaise Meri Bandagi Ban Gayi
Ae Humnawa To Mujhe Yuh Majhdhaar Mein Chhodkar
Jane Kyo Is Tarah Bewafa Ban Gayi
Jab Zindagi Samjh Me Aayi To Zindagi Se Dur The Hm,
Marna Chaha To Jine Ko Majbur The Hum,
Har Saza Kabul Kar Li Humne Sar Jhuka Ke,
Kasoor Bas Itna Tha Ki Bekasur The Hum.
Tera Chehre Pe Meri Aankhe Safar Karti Hai,
Chand Ke Pehlu Mein Jese Raatain Safar Karti Hain,
Main Tujhe Or Kia Wafa Ka Sila Doon,
Tere Sene Mein Meri Sanse Safar Krti Kain.
Mujh Ko Rula Kar Vo Bhi Roya To Hoga
Mooh Aansuon Se Usne Bhi Dhoya To Hoga
Agar Na Kiya Hai Hasil Kuch Humne Pyar Mein
Kuch Na Kuch Usne Bhi Khoya To Hoga
टूटे हुए दिल ने भी उसके लिए दुआ मांगी,
मेरी साँसों ने हर पल उसकी ख़ुशी मांगी..
न जाने कैसी दिल्लगी थी उस बेवफा से,
के मैंने आखिरी ख्वाहिश में भी उसकी वफ़ा मांगी….
Kya Gila Tumse Kare, Jo Hi Hua Accha Hua,
Mujhko Gam Tumko Kushi Jo Mil Gayi Accha Hua,
Ab Agar Hum Aur Bhi Jeete To Wo Muqam Aata,
Mar Gaye Hum Akele Ye Bhi Badha Accha Hua.