Tamam Jindagi Hum Jindagi Se Door Rahe,
Teri Khusi Ke Liye Har Khusi Se Dur Rahe,
Is Se Bhi Badakar Kya Wafa Hogi
Ham Tere Hote Huwe Bhi Tumse Door Rahe.
Wo humara imtihan kya lagi.
Milege nazro se nazar to,
Apni nazre jhuka legee,
Use meri kabra par deeya jalane ko mat kahna,
Wo nadan hai dosto apna hath jala legi…
Naa Aayegi meri Yade, Tumhe fir se satane
ko,,
Naa Hogi sada koi, tumhe fir se Manane
ko,,
Mujhe Aawaz jab doge fir khamoshi paoge
Naa hoga kabhi koi, fir Laut Aane ko,,
Kahi jab dur Jaoge, mera saya Na paoge
Koi na pas me hoga,
Naa koi bulane ko.
Dekhoge kiska Chehra, fir Tanhaiyo me
Yuhi
Naa hoga kabhi koi, hasane ko Rulane ko.
Vishwas Ban Ke Log Zindagi Me Aa Jaate Hai,
Khawab Ban Ke Aankho Me Bas Jaate Hai,
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Wo Hamare Hai,
Fir Na Jaane Kyu Bich Zindagi Mein Badal Jaate Hai.
Zindagi qed-e-musalsal ke siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi
Jeene ki aarzoo me roz mar rahey hain
Daawa teri muhabbat ke siwa kuch bhi nahi
Dushman Meri Jaan Ke Aye Gulabi Mausam,
Kyu Yaad Dilate Hai Uss Bewafa Ki,
Dil Humesha Pukarta Raha Janam Janam,
Magar Jalim Ne Phir Bhi Mujhse Daga Ki.
Tumhara Dukh Hum Seh Nahi Sakte,
Bhari Mehfil Mein Kuch Keh Nahi Sakte,
Hamare Girte Hue Aansuo Ko Pad Kar Dekho,
Woh Bhi Kehte Hai Ke Hum Aapke Bin Reh Nahi Sakte.
Jab Bhi Teri Yaad Aati Hai Naam Likhta Hon
Jab Takya Per Ser Hota Hai Mahsoos Karta Hon
Ya Rab De Un Ko Sabre Jameel Or
Humko Chain Woh Juda Huwe Hain Jab Se Na Hai Kisi Ko Sukoon…
Khan
Insaan Ke Kandho Pe Insaan Jaa Raha Tha,
Kafan Mein Lipta Kuch Armaan Ja Raha Tha,
Jisko Mili Bewafai Pyaar Mein,
Wafa Ki Talash Mein Wo Kabristan Ja Raha Tha.
Kya Gila Kare Ham Unse Bewafai Ka,
Ham Khud Hi Laye The Mausam Tanhai Ka,
Wo To Milo Door Chale Gaye The Hamse,
Ham Hi Picha Karte Rahe Unki Parchayi Ka.
Bewafa Hai Dunia Kisi Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo,
Mit Jao Beshaq Tanha Ji Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intzaar Na Karo.
Hum Blaye Liya Kare Unki Aur Hum Par Blaye We Laye,
Hai Yahi Thik To Kahe Kisse Kya Kare Chain Kis Tarah Paye,
Kis Tarah Rang Mein Range Unko, Aah Ko Kon Dang Shiklaye,
Jo Pasija N Aansuo Se Wo, Kya Kaleja Nikal Dhiklyae.