Kyu Mere Dil Ke Tukde Kar Diye,
Kyu Meri Aansuo Ko Muskaan Se Bhar Diya,
Gunah Kya Tha Mera Bas Chahna Tumhe,
Kyu Meri Zindagi Ko Tumne Dard Se Bhar Diya.
Jinhe Humne Chaha Tha Apni Jaan Ki Tarh,
Apni Zindagi Ki Pehchan Ki Tarah,
Zinhe Manta Raha Ek Kuraan Ki Tarh,
Na Jaane Kyon Hume Bhool Gaye Ek Anjaan Ki Tarh.
Tere Sehar Teri Soch Se Nikal Jaunga,
Kisi Udhas Sham Mein Dhal Jaunga,
Tu Jo Mukhar Gaya Hai Har Baat Se Apni,
Dekh Lena Ek Din Main Bhi Badal Jaunga.
Tum Jao Humse Door To Aik Kaam Kar Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana
Ager Aa Jaye Maut Humein Tere Aane Se Pehle
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehtaram Kar Jana
Na Rona Is Kadar Ke Taklef Ho Humein
Maut Ko Bi Mazak Samjh Kar Anjaan Ban Jana
Main Ek Din So Jaon Ga Sada Ke Liye
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnam Kar Jana
Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazarein Na Pherna
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana
Tera Koi Bhi Waada Aitbar Ke Kabil Nahi,
Mana Tum Haseen Ho Magar Pyar Ke Kabil Nahi,
Kabhi Mohbbat Ki Daud Mein Tu Sabse Aage Tha Yaar,
Lekin Aaj Tu Kisi Raftaar Ke Kabil Nahi.
Zindagi ki shama mein khud kojala jayenge
Ae-bewafa zindagi hum tujhe chhor jayenge
kal rahenge saath kiske ye main nahi jaanta
tamanna na rakhna tu meri mojudagi ki
Apna katra katra hum tujhme bhool jayenge…
Sab Kuch Hai Mere Pas Per Dil ki Dawa Nahi
Door wo Mujhse hai Per Main Khafa Nahi.
Maloom hai Ab bhi Pyar Karta hai Mujhe.
Wo Thora Ziddi Hai Magar Bewafa Nahi.
Dil Ke Kareeb Aa Ke Jab Wo Door Ho Gaye,
Saare Haseen Khawab Mere Chakna Choor Ho Gaye,
Humne Wafa Nibhai To Ruswaiyan Mili,
Jo Log Bewafa The Wo Mashoor Ho Gaye.
Tumhen Kuch Farq Nahi Padta
Main Tum Se Rooth Jaon To! Tumhare Pas Na Aaun To,
Phir Tumse Door Jakar Main Kabhi Wapas Na Aaun To,
Tuhmari Yaad Mein Gum Hum Kabhi Aansun Bahaon To,
Tumhen Farq Nahi Padta
Tumhare Pyar Mein Aksar Khud Ko Bhool Jaun To,
Main Teri Deed Mein Tanha Kabhi Khud Ko Mitao To,
Main Tum Se Door Reh Kar Phir Akele Mar Bhi Jaaon To,
Tumhen Farq Nahi Padta.
Bewafai Uski Mitha Ke
Aaya Hun, Khat Uske Pani
Me Baha Ke Aaya Hun, Koi
Padh Na Le Us Bewafa Ke
Wado Ko, Isliye Pani Me Bhi
Aag Laga Kar Aaya Hun!
Hrt brokr himanshu