Socha Hoga Us Ne Din Mein Kai Bar Mujhe,
Naam Hatheli Pe Bhi Likh Likh Kar Mitaya Hoga,
Jahan Us Ne Mera Zikra Suna Hoga Kisi Se,
Us Ki Aankhon Main Koi Ansoo To Aaya Hoga..!!
Humara Dil Bas Aapka Talabgaar Raha,
Har Waqt Hume Sanam Aapse Hi Pyar Raha,
Zindagi Yu N Ghabra Ja, Iss Khija Ke Mausam Se,
Jab Tak Wo Tha, Mere Sath Bhi Bahar Raha,
Tum Jao Humse Door To Aik Kaam Kar Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana
Ager Aa Jaye Maut Humein Tere Aane Se Pehle
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehtaram Kar Jana
Na Rona Is Kadar Ke Taklef Ho Humein
Maut Ko Bi Mazak Samjh Kar Anjaan Ban Jana
Main Ek Din So Jaon Ga Sada Ke Liye
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnam Kar Jana
Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazarein Na Pherna
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana
Aap Kyu Sarminda Hote Ho Apni Bewafai Par,
Hamein Maalum Tha Ki Gam Ko Hamara Hona Tha,
Bas Aap Muskarate Rahein Yeh Dua Hai ,
Hamari Kismat Mein To Likha Hi Tujhe Khona Tha.
Aye Maut Tujhe Gale Lagana Chata Hu,
Kitni Wafa Hai Tujh Me Aazmana Chata Hu,
Logo Ne Bohot Rulaya Hai Mujhe,
Tera Sath Mile To Logo Ko Rulana Chata Hu.
Kismat Ne Mere Ishq Ko Nakam Kar Diya,
Mujhko Meri Wafao Ne Badnaam Kar Diya,
Khwab Dekhte Rahe Hum Jiske Raat Din,
Usne Hi Mere Khwabo Ko Neelam Kar Diya.
Mohabbat Mein Barbaad Hone Ka Maja Aur H.
Mohabbat Mein Gumnam Hone Ka Maja Aur H,
Wo Kya Samjhenge Dil Ka Gane Ka Maja Kya H,
Mohabbat Mein Shamshan Jane Ka Maja Aur Hi H.
Sahara Sharab Ka N Hota To Mar Gaye Hote,
Sharafat Chod Dete To Kuch Kar Gaye Hote,
Dosti Ka Daman Maine Pakad Raha Tha,
Kash Hum Bhi Had Se Gujar Hote,
Un Se Bachte To Hum Bhi Sanwar Jate,
Us Bewafa K Bharose Loot Gye Hum,
Ne Milte Unse To Shayad Nikhar Gye Hote.
Bewafa Tum Nahi Bewafa Hum Nahi
Bewafa Tou Yeh Zamana Hai
Wafa Ka Daman Na Chorna Tum
Abhi To Zindagi Ne B Azmana Hai
Duniya Ki Bato Nai Na Ana Tum
Is Ka Kam Hi Dil Jalana Hai
Sub Jante Hai Ye Log Ke
Teri Meri Muhabbat Ka Qisa Purana Hai
Jo Khuwab Duniya Cheen Le
In Khawbo Ko Nahi Apna Hai
Jo Hum Tum Ne Wada Tha Kiya
Use Ta_Qiyamat Nibhana Hai
Kitne Nadaan Thy Toufan Ko Kinara Samjha
Kitne Bejan Saharon Ko Sahara Samjha
Kitnay Anjaan Thy Wo Log Jo Sahil Pe Thy
Hamain Doobta Dekha Or Nazara Samjha