Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Beh Gaye,
Insaano Ki Bheed Mein Bhi Dekho Ham Tanha Reh Gaye,
Karte The Jo Kabhi Khul Kar Apni Wafa Ki Baatein,
Aaj Wohi Sanam Mehfil Mein Mujhe Bewafa Keh Gaye.
Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai.
Chaha tha humne jise use bhulaya na gaya.
Jakham dil ka logon se chupaaya na gaya.
Bewafai ke baad bhi itna pyar kiya hai ki.
Bewafa ka iljaam bhi us par lagaya na gaya...
Zindagi qed-e-musalsal ke siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi
Jeene ki aarzoo me roz mar rahey hain
Daawa teri muhabbat ke siwa kuch bhi nahi
Jab Kuch Sapne Adhure Reh Jaate Hai,
Tab Dil Ke Dard Aansu Ban Ke Beh Jaate Hai,
Jo Kehte Hein Ke Hum Sirf Aap Ke Hai,
Pata Nahi Kaise Alvida Keh Jaate Hein.
Mohabbat Mein Kya Mila Mujhe Dil Laga Kar,
Pachta Raha Hoon Main Dil Par Chot Kha Kar,
Apni Zindagi Hi Bojh Lagne Lagi Hai Ab Mujhe,
Uss Bewafa Ke Diye Ghamon Ko Dil Mein Basa Kar.