Tum Raho Hum Se Door To Ik Kaam Kar Jana,
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana,
Agar Aa Jaye Maut Hamein Tere Aane Se Pehle,
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehteraam Kar Jana,
Na Rona Iss Qadar Ke Takleef Ho Hamein,
Maut Ko Bhi Mazak Samajh Kar Anjaan Ban Jana,
Main Ek Din Soo Jaunga Sada Ke Liye,
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnaam Kar Jana.
Arz kiya hai.
"Ek bewafa ko na aye hamari wafa ka yakeen"
"Ek bewafa ko na aye hamari wafa ka yakeen"
hamne kaha hum mar jayenge.
Aur usne kaha....
"Ameen"
Yeh Zakham Mere Paas Tere Pyar Ki Nishani Hai,
Bhool Kar Bhi In Par Na Marham Lagana Tum,
Jab Kabhi Tum Tanha Ho Aur Meri Yaad Satati Ho,
Bewafa Hoon Main Yahi Apne Dil Ko Samjhana Tum.
Khud Ki Mohabbat Fanah Kon Karega,
Sabhi Nek Banenge To Gunah Kon Karega,
Aye Khuda Sanam Bewafa Ko Bachaye Rakhna,
Warna Hamari Maut Ki Dua Ab Kon Karega.
Bewafa Se Hum Wafa Ki Arzoo Karte Rahe,
Dasht Me Pani Ki Jaise Justujoo Karte Rahe,
Gair To Daman Par Uske Padh Chuke Apni Namaz,
Aur Hum Apne Hi Ashko Se Wuzoo Karte Rahe…
Us Bewafa Ne Dil Todkr Hasaya Hai
Jane Kaisa Rasmo Rivaj Nibhaya Hai
Jab Rooh Nikli Is Dil-e-Nadan Ko Chodkr
Farmaya Ne Kaha Bewafa Ka Aashique Aaya Hai
Kisi ke pyaar me nahi, kisi ke gum me peeta hu main...
Jab jab usse bhulana chahu, tab tab kuch likhta hu main...
uski khushi se badkar kuch bhi nahi hai mere liye...
aur bas ussi ke liye jeeta hu main...
Kisi ka aashiq nahi yaaron, bas 1 diljala hu main...
Tujhe Chaha To Kya Khata Ki Hamne,
Ek Tere Liye Duniya Bhula Di Hamne,
Tu Phir Bhi Rakhti Hai Shikayat Ham Se,
Sajdon Main Tujhe Pane Ki Duaa Ki Hamne,
Jab Se Mila Tumhara Sath Hame,
Tabse Har Tamanna Mita Di Hamne,
Ek Aadat Ho Gai Tumhe Yaad Karne Ki,
Tere Liye To Apni Hasti Tak Ganwa Di Ham Ne..!!
Teri Chahat Ne Dekho Mujhe Kya-Kya Bana Diya,
Pagal Zamane Ne Deewana Bana Diya,
Jal Jane Ko Betab H Jo Teri Aashiqi Mein,
Janam Isne Mujhko Wo Parwana Bana Diya.
Kash Tum Bhi Koi Aisa Kaam Kar Do,
Meri Har Hasrat Har Arzoo Ko Faana Kar Do,
Ya To Tum Bhi Seekh Lo Wafao Ko,
Ya To Mujhe Bhi Apni Tarah Bewafa Kar Do.
Unke Bewafai Pe Wafa Ab Hum Karenge,
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Ab Hum Karenge.
Itna Chaha Fir Bhi Yakeen Nahi Usko,
Aisi Zindagi Jee Kar Ab Hum Kya Karenge.
Jeewan Ik Bagiya Hai Kanton Pe Phool Bane,
Sang Mar-Mar Pathar Raahon Ki Dhool Bane,
Ik Patjhad Ka Mosam Aata Hai Baharon Mein,..
Kuch Sajar Bhi Baagon Ke Vaadon Ki Bhul Bane,