Din Bhar Soch Mein Doobo Raaton Ko Chain Nahi,
Kaise Keh Doon Dil Mein Ab Tere Liye Pyaar Nahi,
Door Beshak Ho Aap Par Mohabbat Wahi Hai,
Duniya Kaise Samjhe Bewafa Ho Aap Hum Nahi.
Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai
Jise Maine Mohabbat Ki Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki,
Dhadkan Mere Dil Ki Aur Sansein Kisi Aur Ki,
Badal Gayi Ye Dunia Wo Dunia Hi Kuch Aur Thi,
Wo Bas Ek Sapna Tha Mera Haqiqat Thi Kisi Aur Ki.
Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume is dunia se,
jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila hume is dunia se,
saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me hum,
unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha is dunia se
Khan
Dard ki har ek had se guzar gaya hoonmain,
Fir na kabhi simtunga yun bikhar gayahoon main.
Maut bhi nahi ati ab toh rooh ke nikalne se bhi,
Saans mujh mei baki hai fir bhi mar gaya hoon main...
Log Kahte Hain
Dhokha Dena To Dushmano Ka Kaam Hai
Sirf Dost Hi Asa Hain Jo
Dhokha Nahi Dete
Lekin Main Samajhti Hoon
Dhokha Khana Hamari Niyati Ban Chuki Hai
Chahe Vo Dushmano Ne Diye Ho Ya Dosto Ne
Dhokha Dono Hi Dete Hain
Dosto Aur Dushmano Me Farq Bas Itna Hi Hai
Dushman Har Baat Pe Dohkha Dete Hain
Par Log Kahte Haindost Achche Hote Hain
Isiliye Vo Sirf Vaqt Par Hi Dhokha Dete Hain
Hum To Tere Dil Ki Mehfil Sajane Aaye They,
Teri Kasam Tujhe Apna Ham Banane Aaye They,
Kis Baat Ki Saza Di Tune Ham Ko Aye Sanam,
Bewafa Hum To Tere Dard Ko Apnane Aaye They.
Bevafaa Tere RuuTh Jaane Se
AaNkh Miltii NahiiN Zamaane Se
Aarizaa Ho Gayaa Hai Rone Kaa
Chand GhaRiyoN Ke Muskuraane Se
Kitne TuufaaN UTheNge Saahil Par
Ek Kashtii Ke Duub Jaane Se
DhuuNd Aayaa Tujhe Zamaane MeN
Tum KahaaN Gum Ho Ek Zamaane Se
Ab To Duniyaa Se Jaa Rahaa HuuN MaiN
LauT Aao Isii Bahaane Se
Kis Qadar BaRh Gayii Hai Lazzat-E-Gham
Shiddat-E-Gham MeN Muskuraane Se...
Salook Usne Mujhse Kisi Cigrate Jaisa Kiya,
Pehle Jalaya Phir Piyaa Paon Rakha Aur Bujha Diya,
Bas Talab Thi Meri Kuchh Waqt Ke Liye,
Pehle Lagaya Hothon Se Aor Phir Dhuwen Ko Udda Diya..!!!
Bewafa Hai Dunia Kisi Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo,
Mit Jao Beshaq Tanha Ji Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intzaar Na Karo.
Na-Jaane Kyu Khayal Aata Hai Mujhe,
Jaise Aaj Se Pehle Kahi Dekha Hai Tujhe,
Bus Kuch Palo’n Ki Hi Baat Ho Jaise,
Tanha Chod Ke Chal Diya Tha Tu Mujhe.
Is diL mein Dard, na jane kitna hai
Us bewafa se mujhe pyar, na jane kitna hai
Mar chuke hain, khuli reh gayi ankhen
Humari in ankhon ko, intzaar na jane Kiska hai.
Mohabbat Bhi Teri Thi Wo Nafrat Bhi Teri Thi,
Wo Apnane Or Thukrane Ki Ada Bhi Teri Thi,
Main Apni Wafa Ka Insaaf Kis Se Mangta,
Wo Shehar Bhi Tera Tha Wo Adalat Bhi Teri Thi.