Bewafa To Woh Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Hothon Par,
Ab Woh Naam Kisi Aur ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai
Bhula Ke Mujhko Agar Tum Ho Salamat,
To Bhula Ke Tujhko Sambhlna Mujhe Bhi Aata Hai,
Nahi Hai Meri Fitrat Main Ye Aadat,
Warna Teri Tarha Badalna Mujhe Bhi Aata Hai.
Mera Har Gam Tari Har Khushi Se Beather Ho Ga
Mera Har Din Tari Har Raat Se Beather Ho Ga
Yakin Naa Aaye To Aa Kar Dekh Lena
Mera Janaja Tari Doli Se Beather Ho Ga
Zindagi Ab Jo Bhi Ho Anjaam Dekh Lenge,
Khusiya Ki Subh Dekh Li, Ab Sham Dekh Lenge,
Tumse Bahut Nibha Liya Ab Jaa Raha Hu,
Waqt Aayega To Hum Maut Ka Inaam Dekh Lenge.
Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Mohabbat Kisi Se Ye Dil Rota Hai,
Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai,
Jab Kisi Se Mohabbat Ho Aur,
Uske Dil Mein Koi Aur Hota Hai.
Lamha Lamha Saanse Khatm Ho Rahi Hai
Zindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah
Woh To Bus Zamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai
Ek Pal Mai Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhye
Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Poochhye
Bholay Hai Rafta Rafta Unhai Mudato Mai Hum
Qisto Mai Khud Kushi Ka Maza Hum Se Poochhye
Agaz-E-Ashiqui Ka Maza Aap Janiye
Anjam-E-Ashiqui Ka Maza Hum Se Poochhye
Hansne Ka Shauq Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha
Hansiye Magar Hansi Ka Maza Hum Se Poochhye
Woh Jaan He Gaye K Hume Un Se Pyar Hai
Ankho Ki Mukhbari Ka Maza Hum Se Poochhye
Na Doost Banao Huzeifa, Na Qareeb Lao Kisi Ko
Doosto Ki Bewafai Ka Maza Hum Se Poochhye