Sahara Sharab Ka N Hota To Mar Gaye Hote,
Sharafat Chod Dete To Kuch Kar Gaye Hote,
Dosti Ka Daman Maine Pakad Raha Tha,
Kash Hum Bhi Had Se Gujar Hote,
Un Se Bachte To Hum Bhi Sanwar Jate,
Us Bewafa K Bharose Loot Gye Hum,
Ne Milte Unse To Shayad Nikhar Gye Hote.
Har Pal Gamo Ki Yaad Mein Jalti Hai Zindagi,
Bas Mom Ki Tarah Se Pighalti Hai Zindagi,
Kya Raaz Hai Ye Ishq Hua Hai Jabse,
Barbadiyo Ki Raah Pe Chalti He Zindagi.
Dil Ke Khareed Daar Toh Hazaar Mil Jayenge,
Dhokha Dene Wale Aapko Hazaar Mil Jayenge,
Hum Jaisa Dost Na Mil Payega Aapko,
Bewafa Yaar Toh Beshumaar Mil Jayenge.
Dil ke zakhm itne gehre they,Hum fir bhi jiye jaa rahe they,
Na chahkar bhi uski galiyoon se gujre jaa rahe they,
Magar us bewafa ke Ishq ki intihaan to dekhiye,
Jaan bhoozhkar hamare zakhm ko kurede ja rahe they,
Us seene mein lagi aag ko wo paani se bhuja rahe they,
Hamare pyar ko “time Pass” ka naam dekar hanse ja rahe they,
Aur jab ispar bhi dil na bhara bewafa ka to……
Sareaam kapde utarkar humpar rape ki tohmat laga rahe they….
Ho Sake To Tum Apna Ek Wada Nibhane Aana,
Meri Payasi Ankho Ko Apna Deedar Karwa Ke Jana,
Badi Hasrath Thi Tumhare Bahon Mein Bitau Kuch Pal,
Agar Yeh Saans Tham Gayi To Meri Laash Se Aakar Lipat Jana.
Na-Jaane Kyu Khayal Aata Hai Mujhe,
Jaise Aaj Se Pehle Kahi Dekha Hai Tujhe,
Bus Kuch Palo’n Ki Hi Baat Ho Jaise,
Tanha Chod Ke Chal Diya Tha Tu Mujhe.
Ab Toh Tanha Jeene Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Raat Ko Takiye Ko Baaho Mein Bharne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Tu Bewafa Hai To Bewafa Sahi Par Khel Mere Dil Se Jee Bhar Ke,
Khuda Ko Bhi Meri Kismat Me Gam Likhne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai.
Ek Pal Bhi Dekhna Hame Gawara Nahi Use,
Zara Bhi Ehsaas Hamara Raha Nahi Use,
Wo Sahil Se Dekhta Raha Doobna Mera,
Hum Bhi Doobte Rahe Par Pukaara Nahi Use.
tni bedardi se dil ko mere voh tod degi,
Yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi,
Aey mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le,
Bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi.
Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.