Ye Sach Hai Ki Aa Jata Hai Sohrat Ka Asar,
Insaan To Kya Faristhe Bhi Badal Jate Hai,
Aur Bewafa Badle Ya Na Badle,
Waqt Aane Par Wafadar Bhi Badal Jate Hai.
Bohat Udhas Hai Koi Shaqs Tere Jaane Se,
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se,
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ek Baar To Dekh,
Koi Toot Sa Gaya Hai Tere Rooth Jaane Se.
Mujhe Chal Diye Maut Ke Bhawar Mein Chodkar,
Dekhe Jaa Rahe Hai Dil Ko Todkar,
Sangdil Sanam Hume Mila Kaha Se Kya Gila,
Lo Hum Chal Diye Tumhari Duniya Chodkar.
Humara Dil Bas Aapka Talabgaar Raha,
Har Waqt Hume Sanam Aapse Hi Pyar Raha,
Zindagi Yu N Ghabra Ja, Iss Khija Ke Mausam Se,
Jab Tak Wo Tha, Mere Sath Bhi Bahar Raha,
“Ye sharab Shoq Hy Meri Adat
Nahi”
“Ye Jazbaat Jagati Hy Tabhi Peeta
Hun”
“Aadhi Raat K Waqt Me Pagal To
Nahi”
“Us ki Yaad Satati Hy Tabhi Peeta
Hun”
“Is sharab Me Fazeelat To Koi Nahi”
“Ye Fikar Mitati Hy Tabhi Peeta
Hun”
“Me Janta Hun Mujhe Kuch Nahi
Milna Is se”
Wo Royi To Bahot Par Mujh Se Muh Mod Ke Royi,
Hogi Koi Majboori Joh Dil Tod Ke Royi,
Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer Ke Tukde,
Pata Laga Mere Peeche Wo Unhein Jod Ke Royi.
Aye Maut Tujhe Gale Lagana Chata Hu,
Kitni Wafa Hai Tujh Me Aazmana Chata Hu,
Logo Ne Bohot Rulaya Hai Mujhe,
Tera Sath Mile To Logo Ko Rulana Chata Hu.
Ek dard thi unki aankhon me mere bagair,
ek aah thi unki jubaan me mere bagair.
Ro rahe the mere intezaar me wo is kadar,
k ek khoyi si junoon thi unki awaaj me mere bagair…
Dil Ke Kareeb Aake Jab Wo Door Ho Gaye,
Saare Haseen Khwab Choor-Choor Ho Gaye,
Humne Wafa Nibhai To Badnami Mili,
Aur Woh Bewafai Karke Bhi Mashur Ho Gaye.
Ek Toote Dil K Piche Ek Bewafa Chehra Hota Hai
Koi Bhar Na Sake Wo Zakhm Itna Gehra Hota Hai
Ro Ro Kar Sath Chod Deti Hain Saansain Par
Aakhri Saans Tak Intzaar Us Bewafa Ka Hota Hai
Wo saath saath rehtay thay or kehte thay,
Hum mein kahin judai na par jaye,
Ab wo pass se aise guzrte hain,
.
K kahin un par hamari parchayi na par jaye.
Mohabbat Ka Ajeeb Karobaar Hum Ne Kiya,
Woh Bewafa Sahi Magar Pyaar Hum Ne Kiya,
Agar Woh Chod Gaya Toh Mat Kaho Bura Unko,
Qasoor Unka Nhi Humaha H “Aitebaar” Hum Ne Kiya.
Meri Wafa’o Ne Tujhe Bewafa Bana Diya,
Na-Jaane Kyu Tumne Mujhe Bhula Diya,
Wafa Na Ki Hoti To Iss Saja Ke Haqdar Na Hote,
Kal Raat Teri Yaado Ne Mujhe Fir Se Rula Diya.
aankh padati hai kaheen paon kaheen padta hai
sab ke hai un ko khabar apani khabar kuch bhi nahi
shama hai gul bhi hai bul-bul bhihai paravana bhi
raat ke raat ye sab kuch hai sahar kuch bhi nahi
hashr ke dhum hai sab kahate hain yun hai yun hai
fitana hai ek teri thokar ka magar kuch bhi nahi
nesti ke hai mujhe kucha-e-hasti mein talash
sair karta hun udhar ke ke jidhar kuch bhi nahi
ek aansu bhi asar jab na kare ae “tashna”
fayeda rone se ae dida-e-tar kuch bhi nahi