Aaj Itna Pila Jaalim Ki Hosh Na Rahe,
Dard Ka Ehsaas Mit Jaye, Koi Gam N Rahe,
Katra-Katra Jism Mein Yu Aag Bhar Jaye,
Jal Jaye Jism Apna Magar Hosh Na Rahe.
Tumhari Har Ek Baat Bewfai Ki Kahani Hai,
Lekin
Teri Har Saans Meri Zindagi Ki Nishani Hai,
Tum Aaj Tak Samajh Nahi Sake Mere Pyar Ko,
Isliye Mere Aansoo Bhi Tere Liye Pani Hai.
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega
Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jaayega
Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagii Ne Keh Diya,
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega
Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto,
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega
Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-O-Aasmaan,
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega
Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega
Sare Armaan Mere Aansuo Mein Beh Gaye,
Dil Ke Armaan Sabhi Iss Dil Mein Reh Gaye,
Kaam Aayi N Mere Wafadariya Bhi.
Jinse Ki Mohabbat Wo Bewafa Ho Gaye.
Usne Mujhe Aazmaya Bohat Hai,
Ja Ja K Maine Use Manaya Bohat Hai,
Sach Pochiye To Bohat Pyara Lagta Hai Dil Ko,
Wo Shakhs Jisne Mujhe Rulaya Bohat Hai.
Is Qadar Chahenge Tumhe Socha Na Tha
Wo Chod Jayenge Hamein Socha Na Tha
Kuch Is Tarah Muskura Kar Baten Karte The Wo Hamse
Bewafai Bhi Wafa Se Kar Jayenge Socha Na Tha
apne khvabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga
aankh khulate hi tujhe dhundhane nikala hoga
zindagi sirf tere naam se mansub rahe
jane kitne hi dimagon ne ye socha hoga
dost hum us ko hi paigam-e-karam samajhenge
teri furqat ka jo jalta hua lamha hoga
daman-e-zist mein ab kuch bhi nahi hai baqi
maut aayi to yaqinan
use dhoka hoga
roshni jis se utar aayi lahu mein mere
ae masiha wo mera zakhm-e-tamanna hoga
Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai
Ab Mera Janaza Es Zamane Se Nikla,
Mere Janaze Ko Dekhne Sara Zamana Nikla,
Magar Mere Janaze Me Woh Na Nikla,
Jiske Liye Mera Janaza Zamane Se Nikla ..!!
Dil Ne Dil Se Is Kadar Rukh Mod Liya,
Jis Kadar Ruh Ne Jism Ka Sath Tod Diya,
Ye Kaisi Khata Hai Meri Bewafai Ki,
Yuh Tera Saya Be Mera Sath Chod Diya.
Mohabbat Bhi Teri Thi Wo Nafrat Bhi Teri Thi,
Wo Apnane Or Thukrane Ki Ada Bhi Teri Thi,
Main Apni Wafa Ka Insaaf Kis Se Mangta,
Wo Shehar Bhi Tera Tha Wo Adalat Bhi Teri Thi.
Badhe Bedard Duniya Hai Ye Sare Jamane Wae,
Ye Hote Hai Bas Iljaam Lagane Wale,
Apni Tokar Mein Rakhe Ha Hamane Ai.
Wafa Ki Raah Mein Sath Nibhane Wal.
Zindagi Mita Kar Hamari Nayi Ek Dunia Saja Rahi Hai Wo,
Kisi Bewafa Ke Liye Hume Bhula Rahi Hai Wo,
Duniya Walo Ki Baato Se Bachne Ke Liye,
Chehra Apna Kisi Ke Peeche Chupa Rahi Hai Wo.
Humara Dil Bas Aapka Talabgaar Raha,
Har Waqt Hume Sanam Aapse Hi Pyar Raha,
Zindagi Yu N Ghabra Ja, Iss Khija Ke Mausam Se,
Jab Tak Wo Tha, Mere Sath Bhi Bahar Raha,
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar K Naam Se,
Bewafai Mili Sirf Wafa K Naam Se,
Zakhm He Zakham Diye Us Ne Dawa K Naam Se,
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat K Anjam Se…
Dil Ke Sehara Me Koi Aas Ka Jugnu Bhi Nahi,
Itna Roya Hu Ki Aankh Mai Aanshu Bhi Nahi,
Usko Pane Ki Inteha To Dekho,
Ab Uske Siwa Meri Koi Chahat Bhi Nahi.
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar Ke Naam Se,
Bewafai Mili Unke Paigam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diya Dua Ke Naam Se,
Dushman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se.
Maine to hamesha apne pyaar ka ikraar kiya...
Bas tune hi aaj tak ijhaar na kiya...
Ye yakeen hain mujhe ki pyaar to tu bhi mujhse karti hai,
Par jaane kyon ijhaar karne se darti hai...
Shayad tujhe mere pyaar par yakeen nahi hai,
Ya phir meri chahat ki kadar nahi hai...
Main nahi kehta ki tu mujhse pyaar kar,
Main nahi kehta ki tu mohabbat ka ijhaar kar...
Bas itna karde ehsaan is gareeb par,
Dede mujhe zehar aur iss dard se riha kar...