हमें अपने प्यार पर बहूत गुमाँ था,
जिसे हमने प्यार किया अजब इंसा था.
आया दौर जब बनवाई का हमपर,
जो हमनफ़स था वो भी जुदा जुदा था.
अजनबी हो गया जो आशना था कभी,
ऐ ख़ुदा मेरी तकदीर में ये क्या लिख्खा था.
कब्र भी न सुखी थी अब तलक मेरी,
उसने अपना आशियाना फूलों से सजा रख्खा था.
वो आई थी कब्र पर मेरी, अपनी माँग भरकर,
मगर सिंदूर पर नाम किसी और का लिख्खा था.
teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota
Kabhi Na Dard-e-Bewafai Ka Gila Nhin Krty
Muqdar Me Jo Na Hon Wo Mila Nhi Krty
Mat Dekh Kisi Ko Nigah-e-Hsrat Se
Wafadar Log Kisi Ki Nazron Se Gira Nhi Krte
Aaj Hum Unhe Bewafaa Bata
Kar Aaye Hai, Unke Khato Ko
Pani Mein Baha Kar Aaye Hai
Koi Nikaal Kar Padh Na Le
Unhe, Isliye Pani Mein Bhi
Aag Laga Kar Aaye Hai..!
Tum Raho Hum Se Door To Ik Kaam Kar Jana,
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana,
Agar Aa Jaye Maut Hamein Tere Aane Se Pehle,
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehteraam Kar Jana,
Na Rona Iss Qadar Ke Takleef Ho Hamein,
Maut Ko Bhi Mazak Samajh Kar Anjaan Ban Jana,
Main Ek Din Soo Jaunga Sada Ke Liye,
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnaam Kar Jana.
Wo Jiski Hasi Par Hum Sab Lutate Chale Gaye,
Wo Muskurate Rahe Hum Khud Ko Mitate Chale Gaye,
Jisko Malum Na The Maine Pyar Ke,
Usse Hi Hum Dil Lagate Chale Gaye.
Mujh Ko Rula Kar Vo Bhi Roya To Hoga
Mooh Aansuon Se Usne Bhi Dhoya To Hoga
Agar Na Kiya Hai Hasil Kuch Humne Pyar Mein
Kuch Na Kuch Usne Bhi Khoya To Hoga
Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Koi Tujh Ko Usse Juda Kare
Tere Lub Hansna Bhool Jaen
Or Teri Aankh Purnam Raha Kare
Usse Dekh Ke Tu Ruk Pare
Or Woh Nazar Jhuka Ke Chala Kare
Tujhe Hijr Ki Woh Jhari Lage
Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare
Tere Khuwab Bikhrain Tooot Kar
Use Kirchi Kirchi Chuna Kare
Tu Nagar Nagar Phira Kare
Tu Galli Gallli
Zindagi Guzar Gayi Dil Ko Samjhane Mein,
Pyar Ke Unn Kisse-Kahaniyo Ko Bhulane Mein,
Samjh Baithe The Jise Hum Zindagi Apni,
Wo Bhi The Meri Barbadi Ka Jashn Manane Mein.
Mat Naam Le Mohabbat Ka Yeh Ek Haseen Dhokha Hai,
Pyar Mein Har Ek Ne Dukhaya Dil Jise Mila Mouka Hai,
Jhuth Kehte Hai Log Ishq Samandar Sa Gehra Hota Hai,
Jan Liya Pyar To Bas Aati Jaati Hawa Ka Jhonka Hai,
Main Bhi Aaj Hoti Unki Tarah Aasman Ki Bulandiyon Par,
Is Pyar Ki Bediyon Ne Hee To Meri Saflta Ko Roka Hai,
Apno Se Bichhad Gayi Dunia Se Bhi Ek Dum Kat Gayi,
Pyar Mein Hi Padkar Insan Khud Ki Pehchan Khota Hai,
Khud Ko Jokar Bana Jisko Hansati Rahi Har Dum,
Aaj Usi Ki Wajah Se Yeh Dil Khoon Ke Aansu Rota Hai,
Jan Liya Maine Dukh Dard Judai Yaad Wafa Bewafai,
Yeh Dagabaz Mohabbat Bas Inhi Ka Lekha Jokha Hai.
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar Ke Naam Se,
Bewafai Mili Unke Paigam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diya Dua Ke Naam Se,
Dushman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se.
Dhoka Tum Na Do Ab Yakin Hume Nahi,
Bewafai To De Chuke Ho Ab Wafa Ka Bharosa Nahi,
Dosti Samjh Bhi Sako Wo Akal Tum Mein Nahi,
Karke Mohbabt Saja Tum Saho Utna Sabar Tum Mein Nahi.
Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.
Meri Qabar Par Wo Mujhe Rulane Aaye Hai,
Hum Se Hai Mohabbat Ye Batane Aaye Hai,
Jab Tak Zinda The To Rulaya Bahut Hume,
Ab Jo Chain Se Soye Hai To Wo Jagane Aaye Hai.
Bewafa Nahi Hai Woh Yeh Janta Hu Main,
Woh Bhi Chahte Hai Mujhe Yeh Janta Hu Main,
Magar Itna Bhi Toh Yaaron Nadan Nahi Hu Main,
Unki Badli Hui Najrein Ko Pehchanta Hu Main.