Toote dil ne bhi uske liye dua mangi
meri saanso ne har pal uski khushi
mangi,
jane kya dillagi thi usse k maine
aakhri khwaish me bhi uski wafa
maangi
Apna Chand Main Dhundhta Raha Hoon Tere Chand Sitaron Mein
Shayad Sacha Moti Bhi Ho Sheeshe Ke In Tukdo Mein
Kamre Veeran, Aankhein Khali Fir Ye Kaisi Aawazein
Shayd Mere Dil Ki Dhadkan Chuni Hai In Deewaro Mein
Taqdeeron Ka Jadu Aksar Jhuth Se Milta-Julta Hai
Isiliye To Baat Kahi Hai Humne Sirf Isharon Mein
ik dil mere dik ko jakham de gaya.....zindagi bhar zeene ka kasam de gaya....lakho phoolo me se ik phool chuna hamne...jo kaanto se bhi gahra chubhan de gaya...s.k
jab mile hi nahin to bichadne ka gum kaisa
do lafz bhi nahin bole to ilzaam-e-sitam
likh ke haal-e-dil sunana hume khoob aata hai
haan, sayahi me lahu na mile to wo kalam kaisa....
umr beet gayi magar fir bhi umr dhali nahin
jo bhool gaya waqt dhale wo sanam kaisa...
apno ko to koi apna thaam hi leta hai gum mein
jo haath na thaame gairo ka to wo karam kaisa
koi khuda nahi basta mandir o masjid mein
jahan insaan nahi rahta wo dair-o-haram kaisa...