Apni Wafa Ka Yakin Tumko Dilaa Na Sake,
Us Pyari Si Muskan Ko Apna Banana Na Sake,
Is Kadar Toot Gaye Tuze Chahte Chahte,
Ke Hum Un Toote Hue Tukdon Ko Phir Mila Na Sake.
Mera har saam tere jajbaat se accha hoga,
Mera har din tere suhagraat se accha hoga,
Tu jite ji dekh lena ye jaalim,
Mera nikla janaja tere baraat se accha hoga.
In Alfazon Se Hum,
Tujhe Ruswa Na Karenge,
Tujhe Ruswa Na Karenge,
Teri Bewafayi Ka Zikr,
Hum Markar Bhi Na Karenge,
Hum Markar Bhi Na Karenge,
Apni Raza Se Hum Gair Bankar,
Chhup Chhup Kar Aahein Bharenge…
Chhup Chhup Kar Aahein Bharenge…
Kaise Kahoon Main K Apna Bana Lo Mujhe,
BaahOn Me Apni Tum Saama Lo Mujhe,
Bin Tumhare Ek Pal Bhi Ab Kat-ta Nahi Mera,
Bas Tum Aa Ker Mujh Hi Se Chura Lo Mujhe,
Zindagi To Wo Hai Sang Tumhare Jo Guzre,
Duniya K GhamOn Se Ab To Chhura lo Mujhe,
Meri Sab Se Gehri Khuwahish Ho Jaye Puri,
Tum Agar Pass Apnay Bula Lo Mujhe,
Ye Kesa Nasha Hai jo Behka Raha Hai Mujhe,
Agar Tumhara Hoon Main To Sambhalo Mujhe,
Najanay Phir kaise GuzreGi Zindagani
Agar Apne Dil Se Kabhi Tum Jo Nikalo Mujhe..!
Dard Hua Hai Humein
Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage,
Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage,
Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke,
Har dil mein thoda sa to dard jage….....
Avtar rathore
Salook Usne Mujhse Kisi Cigarette Jaisa Kiya,
Pehle Jalaya Phir Piya,
Paaun Rakha Bujha Diya
Bas Talab Thi Usko Meri Kuch Waqt Ke Liye,
Pehle Lagaya Honton Se Or Fir Dhuye Me Uda Diya,
Apni Saase Khich K Meri Khushbu Khud Me Basa Li
Or Meri Jalti Huyi Raakh Ko Apni ungliyo Se Gira Diya
मुझे को अब तुझ से भी मोहब्बत नहीं रही,
आई ज़िंदगी तेरी भी मुझे ज़रूरत नहीं रही,
बुझ गये अब उस के इंतेज़ार के वो जलते दिए,
कहीं भी आस-पास उस की आहट नहीं रही|
Tum ne kaha tha,
Pehli barish ke parte hi,
Laut aao ge..!!
Hum aur tum mil kar bheegain ge,
Dekho jana..!!
Kitni phua’rain beet chuki hain,
Saawan phir se laut ke aaya hai,
Barson pehle kiya tha tum ne,
Mujh se ehad,
Nibhaa jao na,
Janaan! Laut ke aajao naa,
Ab to laut ke aajao naa..!!
Mataa-E- Qalbo Jigar Hai, Hame Kaheen Se Mile
Magar Woh Zakhm Jo Us Daste Shabnamee Se
Mile
Na Shaam Hai, Na Ghanee Raat Hai, Na Pichhla
Paher
Ajeeb Rang Teree Chaashm Surmageen Se Mile
Main Us Wisaal Ke Lamhe Ka Naam Kiya Rakhoon
Tere Libaas Ki Shikne Teree Jabeen Se Mile
Shataae-Shain Mere Ahbaab Ki Nawaazish Hain
Magar Sile To Mujhe Apne Nukta Cheen Se Mile