Nazar Jb Un Se Milti Hai Main Khud
Ko Bhul Jata Hu, Bus Ek Dhadkan Dhadkati
Hai Main Us Me Sama Jata Hu, Main Aksar
Yahi Kahta Hu, Main Tujse Pyar Karta
Hu, Magar Jab Yeh Baat Woh Khud Kehti
Hai Toh Main Sari Duniya Bhul Jata Hu!
बहुत लड़खड़ाए कदम. मगर हम बहके नही...
फिर भी, लोग हम्हे संभला हुआ कहते नही...
कितनी दफा खिले हम, कितनी दफा मुरझाये;
ऐसे फूल है हम जो किसी को कभी महके नही...'
Apna Humsafar Bana Le Mujhe,
Tera Hi Saya Hu Apna Le Mujhe,
Ye Raat Ka Safar Or Bhi Hasin Ho Jayega,
Tu Aa Ja Mere Sapno Me Ya Bula Le Mujhe…I LOVE YOU SEEMA
Wo jab bhi mujhse milti thi to har bar mujhse pucha karati thi...
"tum mere hi ho na...??"
aur mai uski kasam kha kar usse bola karta tha....
"ha mai tumhara hi hu..."
.
.
.
Par kash... Maine yahi sawal usse bhi ek baar puch liya hota...
Zindagi hamaari yun hi sitam ho gayi,
Khushi na jaane kahan dafan ho gayi,
Likha Khuda ne mohabbat sabki taqdeer mein,
Hamaari baari aayi to pen ki kali hi khatm ho gayi....
Sabhi Insan Hai Magar Farq Sirf Itna Hai
Koi Zakhm Deta Hai To Koi Zakhm Bharta Hai
.
Hamsafar Bahut Hai Magar Farq Sirf Itna Hai
Koi Sath Deta Hai To Koi Sath Chod Deta Hai
.
Mohabbat To Sabhi Karte Hai Magar Farq Sirf Itna Hai
Koi Jaan Deta Hai To Koi Jaan Leta Hai...
Aankho ki gehrai ko samaz nahi sakte,
Honto se kuch keh nahi sakte.
Kaise baya kare hum aapko yeh dil ka haal ki,
Tumhi ho jiske bageir hum reh nahi sakte.
Thoda Socha Hai Humne
Thoda Jana Hai Humne
Mushkil Se Magar Pehchana Hai Humne
Koi Aap Jaisa Na Hoga
Isliye Apni Jaan Apko Mana Hai Humne
Seene Ki Tadap Dikhaya Nahi Karte
Nadaan Dil Ko Samjhaya Nahi Karte
Lakhon Gile Ho Chahe Apno Se Lekin
Sanso Mein Basne Walon Ko Bhulaya Nahi Karte
Baadlon Se Salaam Leta Hoon
Waqt Ka Haath Thaam Deta Hoon
Maut Bhi Ruk Jati Hai Pal Bhar Ke Liye
Jab Main Tera Naam Leta Hoon
Sona chahta hun per neend nahi aati hai,
Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati hai,
Kar bhi pyaar ka izhar ya jaane jigar,
Akhir kyon tu mujhe itna tadpati hai
Ek Ajnabi Se Baat Kya Ki Qayamat Ho Gayi
Sare Shaher Ko Is Chahat Ki Khabar Ho Gayi
Kyun Na Dosh Du Dil-E-Nadan Ko
Dosti Ka Irada Tha Aur Mohabbat Ho Gayi..iio
Kagaz Pe Nahi Likhte Kuchh Raaz
Mohabbat Ke, Pal Bhar Me
Bikhar Jate H Alfaaz Mohabbat
Ke, Use Toot Kar Chaha To Hum
Khud Hi Bikhar Gaye, Aise Bhi
Badalte Hain Andaaz Mohabbat Ke.
Jab Zindagi Samajh Ayi To Zindagi Se Dur He Hum
Marna Chaha Par Jeene Ko Majbur He Hum
Har Saja Kabul Ki Humne Sar Jhuka Kar
Kasur Itna Hai Ki Bekasur Hai Hum