Mujh mein doob jao k meri gehraiyon ka pata chale
Mere dard ki shiddat meri tanhaiyon ka pata chale
Aise to har roz wafa k naam par toote hain dil
Mujh ko bhi chaho k meri bewafaiyon ka pata chale
Ye or baat k lafz mere ho kar nahi rehte
Phir bhi pucho koi sawal k meri sachiyon ka pata chale
=>Wo kehta hai usay barish se mohabbat hai,
=>Magar jab barish hoti hai to chat k neechay aa jata hai
=>Wo kehta hai usay phool se mohabbat hai,
=>Magar jab phool khilta hai to usay torr leta hai
=>Wo kehta hai usay hawa se mohabbat hai,
=>Magar jab hawa chalti hai to khirkiyan band ker deta hai
=>Mujhe to tab tab darr lagta hai,
=>Jab wo mujh say kehta hai k mujhe tum se mohabbat hai
Agar kaho tou haal dil sunaaon tumko
Tamaam umar saamne bithaaon tumko
Mere zakhmon ka haal poocho ager jaan-e-jaan
Tou ek ek zakhm ki tafseel sunaaon tumko
Mout ki neen se bhi gehri ek neend hoti hai
Tere baazoun ka ho takya tou dikhaaon tumko
Yehi dua hai k wo waqt aaye ek baar phir
Tum jo rootho tou haath jor kar manaaon tumko
Har shakhs mein mujhe ek raqeeb nazar aata hai
Bol ae mere hum nawa kis kis ki nazar se bachaaon tumko
Apni dharkanon sekuch aise mera naam lo,
Ye waqt ruk jaye is lamhay ko thaam lo
Teri aankhon mein jhalak hay aisi mere piyaar ki
Saahil pe jese dhalti haseen shaam ho
Lafzon se hota nahi izhaar humse piyaar ka
Bus meri aankhon mein dekh kar khud ko pehcchaan lo
Jese tarasta hay sehra shabnam k choonay ko Wasi
Kabhi wese rab se tum bhi mujhe maang lo
Badnaam zamane mein muhabbat nahi karte
Dil wale tou dushman se bhi nafrat nahi karte
Ek baar jise chaha sada us k rahe phir
Hum log amaanat mein khayaanat nahi karte
Tanhai mein kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ibaadat nahi karte
Waqt aane par maloom ye ho jaaega aapko
Hum sirf dikhawe ki muhabbat nahi karte
Likhte hain faqat faqat ek tumhare liye Ghazal
Har shakhs pe hum aise enaayat nahi karte
Tanha rehna seekh raha hoon
Mar k jeena seekh raha hoon
Paa k khona seekh raha hoon
Kho k pana seekh raha hoon
Sabr ko apni raah bana kar
Kaanch pe chalna seekh raha hoon
Phirty phirty sehra sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon
Jeeny ko hein ajab taqazy
Zinda rehna seekh raha hoon
Bikhri hay kuch is tarah mohabbat usay kehna
Aankhon mein utar ayi hay wehshat usay kehna
Kehna k tere baad se g lagta nahi hay
Be-chain si rehti hay tabiyat usay kehna
Aansoun se wazon kar k ye khamosh aankhein
Karti hein roz teri ibadat usay kehna
Ye soch k badnaam na ho jaon kisi din
Kar li tere shehar se hijrat usay kehna
Mehki hay phir mere aangan mein raat ki raani
Jaagi hay tere qurb ki hasrat usay kehna
Matti se bana tha, Matti hi ban jaun ga
Is se aagay na kuch kar paya, na kar paun ga
Rota hua aaya tha, rulata hua jaun ga
Pairon ki dhool hon hawaon mein bikhar jaun ga
Jab dunia teri chor kar yahan se jaun ga
Dekh lena Dost, tum ko bohut yaad aaun ga.
Aakhri baar muskura k milo
Jitne ghum hein unhein bhula k milo
Main ne phoolon se ghar sajaya hay
Inki khushboo mein khilkhila k milo
Jitne ghum de diye zamana ne
Zakhm un k diye mita k milo
Tum se aakhri guzarish hay
Guzray lamhon ko ab bhula k milo
Dekh k meri hansti aankhon ko
Tum bhi palkon pe ashk saja k milo
Dekho ab yaad kar k rona nahi
Mere sir ki qasam ye kha k milo
Dil ki hasrat rahi k chuloon tujhe
Ab tou mujh ko galay laga k milo
Zakhm-e-tanhai me khushbo-e-hina kis ki thi
Sayaa devaar permera tha, sada kis ki thi
Uski raftar se lipti raheen ankhen meri
Usne murr kar bhi na dekha k wafa kis ki thi
Ansuon se hi bhar gaya daman mera
Haath tu main ne uthaye thy dua kis ki thi
Meri Aahoun ki zuban koisamajhta keise
Zindagi itni dukhi mere sivaa kis ki thi
Aag se dosti uski thi, jala ghar mera
Di gai kis ko saza aur khata kis ki thi
Chalo tum keh rahe ho to
Main wapis lot jata hon
Tumhain manzil mubarik ho
Naya sathi mubarik ho
Magar aye humdum-e-deirina
Mujh ko itna batla do
Ky wapis kis taraf jaon
Kahan se saath laye thay
Mujhe itna to samjha do
Agar aysa nahe mumkin
To mujh ko is tarha toro
Ky main yaksir bikhar jaon
Bhataknay se to behtar hai
Tumhary paas mar jaon
Na me paas usko bula saka~
~Na me dil ki baat bata saka~
~Wo hansi hansi me hi chal diya~
~K me hath tak na mila saka~
~U hi sochta raha door tak~
Magar usko kuch na bata saka~
~Ye maqaam hi tha ajeeb sa~
~K me khud ko b na bcha saka~
~Wo juda hua to kuch is tarah~
~Koi rasam tak na nibha saka~
~Usay jana tha wo chala gaya~
Usay aaj tak na bhula saka.
-Ek Ehsaas
-Ek Pyaas,
Or
-Bas Tum
-Ek Sawaal
-Ek Majaal
-Tumhara Khayaal
Or
-Bas Tum
-Ek Baat
-Ek Raat
Or
-Bas Tum
-Ek Dua
-Ek Faryaad
-Tumhari Yaad
Or
-Bas Tum
-Mera Junoon
-Mera Sukoon
-Bas Tum
Or
-Bas Tum
Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushion Ka Khazana Hota Tha
Chahat Chaand Ko Pane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha
Rone Ki Waja Na Hoti Thi
Hansne Ka Bahana Hota Tha
Khabar Na Thi Kuch Subho Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha
Matti Kay Ghar Bnatey They
Aur Un Ko Girana Hota Tha
Gham Ki Zuban Na Hoti Thi
Na Zakhmon Ka Paymana Hota Tha
Barish Mein Kaghaz Ki Kashti
Har Mosam Suhana Hota Tha
Wo Khel Wo Saathi Hote The
Aur Har Rishta Nibhana Hota Tha
Yehi arzu rhi umer bher k muhbtain mere sath hon!
kbi esa ishq kia nhi k nidamten mere sath hon,
koi esa harf nhi likha k ho shermsar qlam mera!
koi esa jurm nhi kia k wazahaten mere sath hon,
Faqat ek shakhs ki arzu men guzer rahi he ye zindgi!
ye talab nhi k tamam shehr ki chahatn mere sath hon
Raah-e-wafa mein sazaaon ko kon dekhega,
Safar hay dhoop ka chaaon ko kon dekhega
Hum apni zid pe aaye tou cheen lenge usay,
Us k sheher ki lambi diwaaron ko kon dekhega
Uski bazm k hum wo chiraagh hein jana,
K jab jale tou hawaaoon ko kon dekhega
Bicher tou jayen magar phir khayaal aata hay
Uski in dilkash adaaon ko kon dekhega
Masoom Si Mohabbat Ka Bus Itna Sa Fasana Hai
Kagaz Ki Haweli Hai, Baarish Ka Zamaana Hai
Kya Shart-e-Mohabbat Hai, Kya Shart-e-Zamana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Wo Geet Bhi Gana Hai
Uss Paar Utarne Ki Umeed Boht Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai, Toofaan Bhi Aana Hai
Samajhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz-e-Mohabbat Ka
Ek Shaks Ko Aankhon Se Ek...
"=Purani Basti="
Ao udas raton mein
Dil ki basti mein Aa k dekho
Hr ek rasta, hr ek daricha
Tumhari chahat ka muntazir ha
Falak se takta ha chand tum ko
Sitarey tum ko bula rahe hain
Tumhari amad k muntazir hain
Mujhe yaqin ha Tumharey dil mein
Gaye dino k khayal hain kuch
Naye safar k malal hain kuch
Nai ruton k sawal hain kuch
AGAR
Ye such ha tou meri mano
Puranay raston pe loat ao
Purani basti mein koi ab tak
Tumhari amad ka muntazir hai
Sari raat ki jagi hui ankhein
College mein kia parhti hungi
Khul na jaey kahein raz-e-dil
Har Waqt es sy darti hungi
Janay kasay,Kidhar sy aey ga
Unkay Khaboon ka shezada
Chupkay chupkay jis k baray wo sochti hungi
Ansuon k sath janay kia un mein Chupa hey
Jis k khonay k dar sy hamisha wo hansti hungi
WAASI jab sy dikhi hein Sharmeeli si wo ankhein main ny
Tab sy soch raha hoon wo ankhein kis ko doondhti hungi
Jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
Bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta
Bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
Ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta
Ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
Woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta
Shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
Jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta
Mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
Main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta