Doob rahi hein saansen magar ye guman baaqi hay,
Aane ka kisi shakhs k abhi imkaan baaqi hay
Muddat hui ek shakhs ko bichre huye lekin,
Aaj tak mere dil pe ek nishaan baaqi hay
Kashti zara kinare k qareeb hi rakhna,
Bikhri hui lehron mein abhi tufan baqi hay
Tumhare hi ashkon ne lab si diye warna,
Abhi to mere dukhon ki bohut dastaan baaqi hay
Ghamo se keh do k abhi na rakh-e-safar bandhen,
Kay abhi to mere jism mein kuch or jaan baaqi hay
Hum tou saaya tera ban jayen agar tu chahe
Ya kabhi bhi na nazar aayen agar tu chahe
Tu jo chahe tou sare-e-aam karen ehd-e-wafa
Yunhi dunia se guzar jayen agar tu chahe
Tujh se milne mein tou jaana teri ruswai hay
Hum teri yaad se mil ayen agar tu chahe
Tu jo keh de tou pukaaren sar-e-bazaar tujhe
Ajnabi ban k guzar jayen agar tu chahe
Zindagi kaat lein agar teri ijazat mil jaye
Teri chuakhat pe hi mar jayen agar tu chahe
Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi
Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi
Nahi tha waqt pas us k sunta dastaan meri
Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi
Bari mudat ki khuwahish thi magar piasi rahi yaro
Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi
Nahi thehra wo ik lamha, jo raatein thehr jata tha
Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi
Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne
Usey har haal jana tha, Usey jane ki jaldi thi
Ek jurm hua hai hum say, ek dost bana baithay hain,
Kuch apna sa uss ko samaj kar, Sab raaz bata baithay hain
Phir uss kay pyar ki raah mein, Dil-o-jaan ganwa baithay hain
Wo yaad buhot hiaatay hain jo hum ko bhula bathay hain,
Iss jurm ki mili hai saza aisi,
Hum un sey juda ho baithay hain.
Koi aatA HaE yad Bahut sone se pehle
Jo cheen leta hai aansoo mery ronay se pehlay
Ab neend bhi aaye tou mein sona nahi chahta
Kisi qeemat pe bhi mein us ko khona nahi chahta
Ho jaye wo kaash mera mujhy khony se pehle
Jo aaA haE yad bahut sone se pehle
Bhulanay se jo bhuley na wo kahani chor jaongi
Zamanay mein teri aankhon mein paani chor jaonga
Lipat kar dair tak dar-o-dewaar se log royenge
Main aisi sog mein lipti jawani chor jaongi
Mitao ge kahan tak tum meri yaadein meri baatein
Main har ek mor par apni nishani chor jaongi
Mery ye lafz mar k bhi mujhy merne nahi denge
Main chup ho k bhi lehjy ki rawani chor jaongi
Kuch is tarha se niklon gi teri duya ko thukra kar
Main dushman k bhi chehray par herani chor jaongi
*(SIRF TUM)* Ye to dil tha dewana k tum per aa gaya
Warna hum qeemti pathron ko b uthaya nahi karte
Ye mana k tum haseen ho magar he bhi sun lo
Hum haseen logon se dil lagaya nahi karte
Jis se karte hain piyaar bus ek hi baar karte hain
Baar baar hum bhi kisi ko sataya nahi karte
Tum to apne ho tum se kia parda
Warna hum raaz-e-dil kisi ko btaya nahi karte
Tum keh do to tumhare liye jaan bhi hazir
Warna hum zindagi dao per lgaya nahi karte
Mohabbaton Ne Kaisa Kamaal Kar Dala
Humain Tou Udaasiyon Ki Misaal Kar Dala
Kabhi Milein Tou Pouchain Gay Ik Doojay Se
K Kis Ko Kis K Ghum Ne Nidhaal Kar Dala
Tu Bata Us Se Kya Kahon Gi Main
Meri Udaasi Pe Jo Kisi Ne Sawal Kar Dala
Suna Tha Zindagi Ka Safar Bohut Mushkil Hay
Aur Hum Ne Kar K Mohabbat Isay Or Bhi Muhaal Kar Dala
Kuch Hum Bhi Maum K Thay Or Kuch Tum Ne Bhi
Zindagi Ko Shoulon Ki Shaal Kar Dala
Mitt gaya hon mujh ko tou mitta rehne do
Mere jazbaat k sholon ko bujha rehne do
Dard sehne ki hay bachpan hi se aadat mujh ko
Mere riste hoye zakhmon ko hara rehne do
Ab tou tabeer ki hasrat hi nahi hay mujh ko
Meri aankhon mein mera khuwab chupa rehne do
Muskurahat pe mera haq hi nahi hay yaaro
Mere honton se tabasam ko khafa rehne do
Dil jo toota hay tou aankhein na chalak jaen Wasi
Aj aankhon ko in ashkon se bhara rehne do
Yaadein hain kuch aisi us k naam se wabasta,
Har subha hai jese har shaam se wabasta
Bas us k tasawur se fursat hi nahi milti
Rehti hain us ki yaadein har saans se wabasta
Laakhon hain tamanain par ye dua hai
Bas naam rahe mera us k naam se wabasta
Jo hum se mansub ho chuki hon, Wo daastane sambhal rakhna
Meri amanat samaj kar, Beety dino ki yaaden sambal rakhna
In dino k liye jab me taweel Hijrat se lot aon
Udas shaamo mein sath dengi meri ghazlein sambhal rakhna
Siwaye teri talab k is dil mein koi b Aarzu nahi hai
Har ek jazba har ek dharkan har ek hasrat sambhal rakhna
Is dil ki hai bus yahi tamana tumhi se milna tumhi ko paana
Agar zara si ho dil mein chahat, meri wafain sambhal rakhna
Kuch is tarha se main apni zindagi tamam kardon,
Waqt-e-sehar tum ko dikhaon aur shaam kardon
Khuwab mein bhi koi tere siwa dikhai na de,
Umer bhar k liye aankhon ko tera ghulam kardon
Tere pyaar ki khushbu se mehken meri saasen,
Aur jitni hein meri saansen sub tere naam kardon
Wo Tittli Thi Ose Urr Jana Tha
Us Ne Mere Haath Mein Kab Aana Tha
Main Dhoondta Raha Ose Deewano Ki Tarha
Us Ki Koi Manzil Na Koi Tikhana Tha
Is Gharz Se Us Ne Mera Haath Nahi Thama
Kion K Raaste Mein Us Ne Chor Jana Tha
Us Ne Aansu Bhi Bohat Bahaye Lekin
Baad Mein Pata Chala Ye Sub Bahana Tha
Meri Deewangi Tu Hud Se Guzer Gai Magar
Us K Liye tu Mehz ye Dil Lagana Tha
Qasoor Us Ka Nahi Is Mein Koi Mohsin
Khata Tu Apni Thi Main Hi Zara Deewana Tha
Ab waqt-e-judai hay mujhe ab alvida keh do
Ab phir wo tanhai hay mujhe ab alvida keh do
Main laakh bura tehra hoon doston ki nazar mein
Dil ro tau raha hay magar mujhe ab alvida keh do
Mere aansoun tau mere hain meri khushiyan tumhari hain
Mubbarak tumko ye khushiyan mujhe ab alvida keh do
Mere jaane per na rona mujhe tum yaad na karna
Main tanha tha, main tanha hoon, mujhe ab alvida keh do
Behkay huey sare-aam bari dair ho gai,
Saqi pila de jaam bari dair ho gai
Kabhi hum pe bhi waqt tha pitay pilatay thay,
Ab choray huey ye kaam bari dair ho gai
Kesy bhula don tujh ko saahil ki rait par,
Likhtay huey tera naam bari dair ho gai
Kiya bataen manzar sooraj k doobney ka,
Dekhay hoey koi shaam bari dair ho gai
Ehbaab ne meri minnaten hazaar ki,
Pee lijiye janaab bari dair ho gai
Dekhay mery gunah to farishtay pukaar uthay,
Bohut ho gaya hisaab bari dair ho gai
Chalo SAGAR ajj un k kochay mein chalen,
Un k kiye salaam bari dair ho gai
Udas Mosam mein muskrana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Judai k rog ko chupana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Wo fasl-e-gul to ab dhal chuki hy
Chita Mohabbat ki jal chuki hy
Wafa ki maiyt ko ab uthana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Wo pyar k pal Wo chan raten
Wo dil nashen phool jesi baten
Haseen yaadon ko bhool jana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Nahi mumkin andheron mein chiraghon ka bhuja dena,
Bohat mushkil hay meri jaan tumhein dil sy bhula dena
Tumhein ik din sataen gay meri chahat k sub jazbe,
Meri ghazlein meri nazmein mere khat bhi jala dena
Kabhi jo yaad aaon mein tumhein fursat k lamhon mein
Haseen hathon sy kaghez par mujhe likhna, mita dena
Wafa ki Aarzoo karna!
Safar ki justujoo karna!
Jo tum mayoos ho jaao!
Tou mujh se guftugoo karna!
Ye aksar ho bhi jaata hay!
K koi kho bhi jaata hay!
Muqaddar ko sataao gay!
Tou phir ye so bhi jata hay!
Agar tum hosla rakho!
Wafa ka silsila rakho!
Jisey tum apna kehtay ho!
Tou us se raabta rakho!
Main ye daavy se kehta hon!
Kabhi naakam na hogy!
Mohabhat ko samajh jaao!
Kabhi badnaam na hogay
Jab udas ho to gunguna lena mujhko,
Jab tumhara koi na bane to apna bana lena mujhko
Kabhi agar socho k tum se ziyada tumhen kon chahta hai,
To apne naam k sath phir se dohra lena mujhko
Hansne k liye to mil jayen ge hazaron tum ko,
Jab rone k liye na mile koi kandha to bula lena mujhko.
Samandar pur-sukoon hay per kinaray shor karte hain,
Meray atraaf bas rangeen nazaray shor karte hain
Aur ab tou chandni taatein mujhe achi nahi lagtein,
Sukoon se so nahi sakta k taaray shor karte hain
Main jab khamosh rehta hoon tou sab khamosh rehte hain,
Agar ik lafz bhi boloon tou saray shor karte hain
Bohat muddat hui jab tum meray koochay se guzre thay,
Per qadmon k nishan ab tak tumhare shor karte hain