Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
Main nay gheron ko na dukh mein pukara hota
Jitni shidat say wabasta tha mein tuj say
Kis tarha mera tere bagair guzara hota
Mujh ko yeh soch he kafi hay "Jalane k Liye"
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum baith k khamoshi say roye jatay Saqi
Shaam hoti sharab hoti or kisi darya ka kinara hota
Wafa ki Aarzoo karna!
Safar ki justujoo karna!
Jo tum mayoos ho jaao!
Tou mujh se guftugoo karna!
Ye aksar ho bhi jaata hay!
K koi kho bhi jaata hay!
Muqaddar ko sataao gay!
Tou phir ye so bhi jata hay!
Agar tum hosla rakho!
Wafa ka silsila rakho!
Jisey tum apna kehtay ho!
Tou us se raabta rakho!
Main ye daavy se kehta hon!
Kabhi naakam na hogy!
Mohabhat ko samajh jaao!
Kabhi badnaam na hogay
Zindagi bewafa kyun hoti hay?
Wafa karne ki saza kyun hoti hay?
*
Choti si baat pe baha dete hain khon
Insaan mein itni anna kyun hoti hay?
*
Karta hun mein jis se baar baar tauba
Elaahi mujh se wohi khata kyun hoti hay?
*
banate to hain hum apne haathon se masjid
Namaz apni hi phir qaza kyun hoti hay?
"Meri taqdeer se pooch Meri qismat ka faisla"
"Meri muskurahat pe na ja Mere dard ko talaash kar"
"Meri aankhon se pooch Mere intezaar ki inteha"
"Mere itminaan pe na ja Mere sabar ko talaash kar"
"Mere pyaar se pooch Mere pyaar ka aalam"
"Meri soorat pe na ja Meri seeratko talaash kar"
Reza-e-kaanch ki soorat mein bikhar jata hoon
Main teri yaad mein jab had se guzar jata hoon
Ab gurezaan hay wo milne se jo kehta tha kabhi
Tum se milte hi main kuch aur nikhar jata hoon
Roz khata hoon tujhe yaad na karne ki qasam
Roz wado se main apne hi mukar jata hoon
Mujhko tamasha bana diya hay muhabbat ne teri
Log kaste hain aawazein Main jidhar jata hoon
Har gaam pe khaya hay mohabbat ka dhoka
Ab koi piyaar se bulata hay tou dar jata hoon
Wo ik shakhs jo hamain zindagi sy peyara hay
Baghair us k viraan ye jahan sara hay
Wo nahi janta k us ki zaat kiya hay
Wohi tou hay jo muhabbat ka ik sitara hay
Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hay
K is mein mera nahi dil ka kasoor sara hay
Wo apni sub baton ko chup chup k beyan karta hay
Yehi tou ada hay jis ny hamain mara hay
Wo kya tha, kya hay, kya hoga, kya khabar?
Yehi pata hay k wo jesa bhi hay bus hamara hay
Apni yaadein, apni baatein le kar jana bhool gaya
Jaane wala jaldi mein tha, mill kar jana bhool gaya
Mur mur kar dekha tha usne jaate raste mein
Jese usne kehna tha kuch, jo wo kehna bhool gaya
Waqt-e-rukhsat meri aankhein ponch raha tha aanchal se
usko ghum tha itna ziyada, khud wo rona bhool gaya
Kuch is tarha se usay pyar karna parhta hay
K apne pyar se inkaar karna parhta hay
Kabhi kabhi tou wo itna qareeb hota hay
K apne aap ko deewar karna parhta hay
KHUDA ne usko atta ki hay wo maseehai
K khud ko jaan k beemar karna parhta hay
Wafa ki raah mein dushwariyan tou aati hain
Wafa ki raah ko humwaar karna parhta hay
Wo haath rakh k mere dil pe jab pochta hay
Tou mujh ko dard se inkaar karna parhta hay
Nighahon k samandar ka thikana chahte hain hum
Hamey tum se mohabbat hai batana chahte hain hum
Humey achi nahi lagti kisi mosum ki shadabi
Tumhein bas apni saanson mein basana chahte hain hum
Hamara ghar tau roshan hai hamarey naam se lekin
Tumhare naam se jivan sajana chahte hain hum
Humein har haal mein tum se aqidat or mohabbat hai
Tumhare paas aane ka bahana chahte hain hum.
"=Purani Basti="
Ao udas raton mein
Dil ki basti mein Aa k dekho
Hr ek rasta, hr ek daricha
Tumhari chahat ka muntazir ha
Falak se takta ha chand tum ko
Sitarey tum ko bula rahe hain
Tumhari amad k muntazir hain
Mujhe yaqin ha Tumharey dil mein
Gaye dino k khayal hain kuch
Naye safar k malal hain kuch
Nai ruton k sawal hain kuch
AGAR
Ye such ha tou meri mano
Puranay raston pe loat ao
Purani basti mein koi ab tak
Tumhari amad ka muntazir hai
Main wohi hon jisay tum dost kaha karte thay
Din mein so baar mera naam liya karte thay
Aaj kiya baat hay kyun mujh se khafa bethay ho?
Kiya kisi aur ko tum dost bana bethay ho?
Faaslay itne to pehle na huwa karte thay
Main wohi jisay tum dost kaha karte thay
Tum agar bhool gaye ho to koi baat nahi
Zakham to pehle bhi is dil pe laga karte thay
Main wohi hon jisay tum D-O-S-T kaha karte thay.
Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha
Mera wehm tha ya wo mera gumaam tha
De kar zakhm wo marham rakhta tha
Ban raha tha ya wasey he itna nadaan tha
Mujhse bichar gaya tha wo ek roz
Wo shakhs jo meri pehchaan tha
Khuda ko chahte to kuch mil b jata
Hum ne chaha jis ko wo insaan tha
Tanha rehna seekh raha hoon
Mar k jeena seekh raha hoon
Paa k khona seekh raha hoon
Kho k pana seekh raha hoon
Sabr ko apni raah bana kar
Kaanch pe chalna seekh raha hoon
Phirty phirty sehra sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon
Jeeny ko hein ajab taqazy
Zinda rehna seekh raha hoon
Zindagi Mili Zra Si Thi*
Kuch Is Me Kami Zra Si Thi"
Wo Roz Hota Gya Paas Mere*
Lekin Phir Bhi Doori Zra Si Thi"
Chand Jagte Jagte So B Gaya*
Raat Abi Beeti Zra Si Thi"
Qasoor Chashm-e-Awara Ka Zyada Tha*
Meri To Marzi Zra Si Thi"
Mohbat Bant Di Us Ne Zamane Me*
Jo Mere Hisey Me Ayi "ZRA SI THI"
Tum khafa kyun ho?
Tumhen mujh se gila kiya hay
Achanak beRukhi itni
Batao tou howa kiya hay
Manaawon kis tarha tum ko
Mujhe itna tou batla do
Agar ab ho sake tum se
Tou ye ihsaan farma do
Meri manzil mohabbat hay
Mujhe manzil pe pohcha do
Tumhari aankh mein aansu
Mujhey achay nahi lagtay
Tumharey narm honton par
Gilay achay nahi lagtay
Tumhare muskuranay se
Mera dil muskurata hay
Tumharay rooth jane se
Mera dil toot jata hay
"Aakhirat ko bhool betha fikr-e-dunya k evaz"
"Mout ka hamla achanak bekhabar kesa laga?"
"Hanste hanste tou ne dunya mein guzari zindagi"
"Ab naya zair-e-zamin ye tang ghar kesa laga?"
"Dafan kar k qabar mein sub berukhi se chal diye"
"Jis se tu manus tha ab wo bashar kesa laga?"
"Tu hansa karta tha auroon ko preshan dekh kar"
"Chal diya apno ko rota chor kar kesa laga?"
"Ab na wo takya mulayam aur na wo bistar narm"
"Jism pe 2 gaz kafan mitti pe sir kesa laga?"
Teri chahat mein guzarti meri her shaam hai
Mere dil se nikli hui her dua tere naam hai
Ab mujhko ilzaam na do bewafai ka
Mere haathon ki lakeeron mein wafa aam hai
Qadar poucho us se jo karte hein mohabbat ki pooja
Sirf tere shehar mein mohabbat meri badnaam hai
Apni jaan ka nazrana kese karte paish tujhko
Tere ishq mein her saans jo meri neelaam hai
Kese chhor den tanha zindagi k safar mein
Tere bagair tou meri zindagi gumnaam hai
Ajab kurb ka aalam hay meri basti par
Ghata bhi chaai hay barsat bhi nahi hoti
Bohut kuch kehna hay tum se aaj magar
Silay hein hont koi baat bhi nahi hoti
Ajeeb rang badalta hay asar ka soraj
K shaam khafa hay or raat bhi nahi hoti
Main uski zaat ka hisa bhi ban nahi sakti
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti
Nigaah-e-Yaar pe palkon ki gar lagaam na ho
Badan mein dhoor talak zindagi ka naam na ho
Wo be-naqaab jo phirta hai gali koochon mein
To kesey shehar k logon mein qatal-e-aam na ho
Mujhe yaqeen hai k dunia mein dard bhar jaen
Agar ye peenay-pilanay ka ehtemaam na ho
Bitha k samney bas dekhta rahon usey
Us k siwa mujhe dunia ka koi kaam na ho
Jo us ko dekh le ek nazar Faraz
Mere shehar ki galiyon mein kabhi shaam na h
Mujhe or kahin le chalo
Jahan raat kabhi soi na ho
Jahan subha kisi pe roi na ho
Jahan hijr ne wehshat boi na ho
Jahan koi cheez kisi ki koi na ho
Jahan log hon sare begane
Jahan sab k sab hon deewane
Jahan koi jhoot ho na afsane
Jahan koi hum ko na pehchaane
Mujhe aur kahin le chalo
Jahan nafrat dil mein bas na sake
Jahan koi kisi ko dass na sake
Jahan koi kisi pe hans na sake
Mujhe aru kahin le chalo