Kisi ki aas ban kar phir usko tanha nahi kartay
Bhala kitni bhi mushkil ho magar aesa nahi kartay
Mohabbat mein shikayat ka kahan dastoor hota hay
Gila kar k mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay
Wafayen dar-haqiqat bari anmol hoti hain
Kabhi apni wafaon ka sila manga nahi kartay
Ye guzarish hai faqat muj pe meharbaan raho.....
Tum kisi aour ko dekho tu bura lagta hai.
Meri chahat ka taqaza hai mere saath raho....
Haath jo gair ka thamo tu bura lagta hai.
Ye tamanna hai tere har roop ko har pal dekhoon....
Tum mere paas se uthu tu bura lagta hai.
Roz-o-shab aaj b parwa hai tumhari muj ko.
,*,PEHLI CHAHAT,*,
Mujh ko tera pyaar teri dosti achi lagi
Teri nisbat se sada ye zindagi achi lagi
Main ne apne RAB se phir manga tujhi ko umar bhar
Teri aankhon ki mujhe dariya dili achil lagi
Bhaa gaee muskan tere honton ki teri kasam
Teri baaton ki Mujhe sanjeedgi achi lagi
Yoon tou ghazlen bhi likhi hain, Geet bhi main ne magar
Jis mein ho bus tum hi tum, wo shayari achi lagi
Hanste hain yunhi hans k rula jate hain log**
Milte hain yunhi mil k juda ho jate hain log**
Pal do pal ko umar bhar ka sath na samjho**
Mohabbat bhi karte hein khafa bhi ho jate hain log**
Qaidi hain jahane kin kin majboriyon k**
Kar k izhar-e-mohabbat be parwa ho jate hain log*
^^ Bichar Jana Mera Yon Bhi Ussy Manzoor Hai Shayad ^^
^^ Kare To Kya Kare Wo Bhi Bohut Majboor Hai Shayad ^^
^^ Main Us Ka Shehar Hi Chor Aaya Hon To Kya Hasil ^^
^^ Meri Manzil Mohabbat Ki Abhi Kuch Door Hain Shayad ^^
^^ Main Us K Pyaar Mein Har Shakhs Se Begana Rehata Hon ^^
^^ Sabhi Mehsoos Karte Hain Bohut Maghroor Hain Shayad ^^
Bol hawa, uss par zamanay kesaiy hain?
Ujray shehar mein yaar puranay kesaiy hain?
Chaand uterta hain ab kis kis aangan mein,
Kirnon se mehroom gharanay kesaiy hain?
Lab basta darwazon par kya beet gayi,
Galiyoon se mansoob afsaanay kesaiy hain?
Jin k jhurmat mein shaamain dam torr gaeen,
Wo pyaaray,pagal parwaanay kesaiy hain?
Mohsin hum tou khair khabar se dar guzray,
Apnay roothay yaar na janay kesaiy hain
Reza-e-kaanch ki soorat mein bikhar jata hoon
Main teri yaad mein jab had se guzar jata hoon
Ab gurezaan hay wo milne se jo kehta tha kabhi
Tum se milte hi main kuch aur nikhar jata hoon
Roz khata hoon tujhe yaad na karne ki qasam
Roz wado se main apne hi mukar jata hoon
Mujhko tamasha bana diya hay muhabbat ne teri
Log kaste hain aawazein Main jidhar jata hoon
Har gaam pe khaya hay mohabbat ka dhoka
Ab koi piyaar se bulata hay tou dar jata hoon
Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se
Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat aik muddat se
Mujhe bhi rok rakha hay meri masroofiyat ne or
Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat aik muddat se
Bohat majboor hoon warna bohat mehssos karta hoon,
Meri jaan tum se milnay ki zarorat aik muddat se
Kisi din aa k mil jao k apnali hay aankhon ne
Tumhari yaad mein ronay ki aadat aik muddat se
Kuch is tarha se usay pyar karna parhta hay
K apne pyar se inkaar karna parhta hay
Kabhi kabhi tou wo itna qareeb hota hay
K apne aap ko deewar karna parhta hay
KHUDA ne usko atta ki hay wo maseehai
K khud ko jaan k beemar karna parhta hay
Wafa ki raah mein dushwariyan tou aati hain
Wafa ki raah ko humwaar karna parhta hay
Wo haath rakh k mere dil pe jab pochta hay
Tou mujh ko dard se inkaar karna parhta hay
Kuch Rah-e-Ishq Ki Masti Thi Kuch Log The Hm Dewane Se
Jb Shehr Tera Chor Diya Dil Khob Laga Veerane Mein
Jo Jaan Se B Pyare The Wo Log Nazr Se Door Hoe
Ek Tees C Dil Mein Uthi Hy Ab Yadon Ko Dohrane Se
Ae Mout Thehr Zara Aakhir Main Unko Dekh Tou Lon
Baat Taqt Ek Pal Ki Hy Inkar Nahi Mr Jane Se
Ab teri har sogaat se dar lagta hy,
Choro pyar ki baaten koi or baat karo,
Ab to pyar ki har baat se dar lagta hy,
Meri khatir wo kahinbadnaam na ho jaye,
Is liye uski har mulaqat se dar lagta hy,
Apnoun mein reh kar kuch aise zakham khaaye,
K humain to ab apni zaat se dar lagta hy.
Tujhe ruswai ka darr hai, na aaya kar
Bicher jana hi behtar hai, na aaya kar
Kisi shaadaab kooche mein basa khud ko
Ye dil ujra hua ghar hai, na aaya kar
Guzar ja aayine jaisa badan le kar
Yahan har aankh pathar hai, na aaya kar
Mera dukh tum ko bhi ik din dabo de ga
Bohat gehra samandar hai, na aaya kar
~Likhi hai ye ghazal sirf tere liye,
~Deewana bna bhi to sirf tere liye
~Kisi ko nahi dekhengi ab ye aankhen,
~Nazren tarsengi bhi to sirf tere liye
~Har saans men yaad karunga tujhe,
~Ye saans niklegi bhi to sirf tere liye
~Har pyaar se pyaare lagte ho tum mujhe,
~Main ne pyaar seekha bhi to sirf tere liye
~Jab bhi barish hue to teri yaad aae,
~Aur barish mein bheega bhi to sirf tere liye
~Hansi to mere labon se rooth gae,
~Magar jis roz bhi hansa to sirf tere liye
Titlee jo ek mujhko mili thi kitaab mein
Wo apna aks chor gai mere khuwaab mein
Ab tak wo mere zehn mein uljha sawal hai
Shaamil rahi jo her ghari mere nisaab mein
Aankhon mein neend hai na koi khuwaab door tak
Rehtay hain hum bhi aaj kal waisay azaab mein
Milta hai gardishon sy galey lag k chaand bhi
Aaye thay simat k faasle kitney saraab mein
Aakhir meri wafa ka mujhe kiya sila mila
Likha na ek harf bhi us ne jawaab mein
Kurb kay shehar mein reh kar nahi dekha tu ne
Kiya guzarti rahi hum par nahi socha tu ne
Ay mujhay sabar kay aadaab sikhanay walay
Jab wo bichra tha wo manzar nahi dekha tu ne
Tu ne dekha hai muqaddar ka sitara shayad
Par sitaray ka muqaddar nahi dekha tu ne
Hone lagi nafraten muhabaton k shehar mein
Hum huey bohat ruswa mohabaton k shehar mein
Kal raat ek darvesh bhoka hi so gaya
Kese rehtay hen log mohabaton k shehar mein
Kisi ne piyar diya na kisi ne ehsaas kiya
Aik majnu mar gaya mohabaton k shehar mein
Gulab hont shagofta chehray gaye kahan
Kyun band pare hein ye makaan mohabaton k shehar mein
Tum ne kyun likh di hay mohabaton pe ghazal
Jise parhta nahi koi mohabaton k shehar mein
*TANHAAI*
Har raat ghum-e-tanhai, Har shaam teri yaad aai
Laakh tujhe bhulana chaha, Us se barh kar teri yaad aai
Tujh se koi umeed bhi wabasta nahi
Iss dukh se meri aankh bhar aai
Logon ne pocha ashkon ka sabab
Bus mujhe kehna para TANHAAI
Kisi ki rah me ankhen bicha kr kuch nhi milta.
Ye Dunya Bewafa Hai Dil Laga Kr kuch nhi milta.
Koi Bhi Lot kr Ata Nhi Aanso Bahany Sy
Kisi ki yaad me dil ko rula kr Kr kuch nhi milta.
Kisi k dil pay kya guzry kisi ko kya khabar is ki
Kisi ko Apna Hal-e-dil suna k kuch nhi milta.
Is shehar k logo ki ya aadat purani lagti hay
Kisi k jazbaton se khelna in ko nadani lagti hay
Jidhar dekho ek gham ka aalam milta hay
Har diwaane ki dastan kuch apni kahani lagti hay
Wo kya jane mohabbat ek nemat hay yaro
Jinko logon ki sirf surat hi suhani lagti hay
Hain tutey kuch jazbaat k mehel aisey
Gulshan ko bhi dekho tou verani lagti hay
karta hay shayad yaad wo ab bhi humein yaro
Ye dil ka dharakna is baat ki nishani lagti hay
"Zameen pe chal na saka aasman se bhi gaya"
"Katwa ke par, wo paroda urraan se bhi gaya"
"Tabah kar gai pakkay makaan ki khuwahish"
"Main apne gaon k kachay makaan se bhi gaya"
"Parai aag mein jal k bhi kya mila mujhko"
"Usay bacha na saka, Apni jaan se bhi gaya"
"Bhulana chaha to uski bhi inteha kar di"
"Wo shakhs ab mere wehm--gumaan se bhi gaya"
"Kisi k hath ka nikla hua wo teer hoon main"
"Hadaf ko to choo na saka par kamaan se bhi gaya"