Abki Baar Hua Kuchh Aisa,
Kaam Na Aaya Uska Paisa,
Har Hatiyar Chalaya Usne,
Bantadhar Hua Kuchh Aisa,
Julm Ki Kheti Kab Tak Rahegi,
Kab Tak Raaj Karega Bhainsa,
Desh Ki Chadar Tani Usne,
Chhoda Na Jaise Ka Taisa
Sabka Hissa Hajam Kar Gaya,
Chat Gaya Sab Kutto Jaisa…
Agar Talash Karoon Koi Mil Hi Jayega
Magar Tumhari Tarah Mujhko Kaun Chahega
Tumhe Jaroor Koi Chaahton Se Dekhega
Magar Voh Aankhein Humari Kahan Se Layega
Main Apni Raah Mein Deewar Ban Ke Baitha Hoon
Agar Voh Aaya To Kis Raste Se Aayega
Tumhare Hath Ye Mausam Farishton Jaisa Hai
Tumhare Bad Ye Mausam Bahut Satayega
Kaghaj Par Nahi Likhte Kuch Raaz Mohabbat Ke,
Pal Bhar Mein Bikhar Jaate Hain Alfaaz Mohabbat Ke,
Use Toot Kar Chaha Toh Hum Khud Hi Bikhar Gaye,
Aise Badal Jaate Hain Andaaj Mohabbat Ke,
Un Ki Saheliyo Se Zara Kahna, Unhe Sath Hi Laaye,
Mujhe Phir Se Sajaane Hain Kuch Khwab Mohabbat Ke,
Apni To Saase Dost Usi Waqt Mein Thee Shaamil,
Kyun Baithe Huve Chor Gaye Kuch Haath Mohabbat Ke….
Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,
Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,
U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi Hai
Ghajab Ye Hai Ki ’Sehra’ Bhi Khilne Laga Hai
Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar
Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai
Kahne Ko Sab Kuch Wahi Ka Wahi Hai
Par Mujhe Har Ik Zarra Naya Lagne Hai
Mehfil Me Jab Ham, Kuch Gumsum Se Baithe
Dosto Ne Bhi Poocha Ki Tujhe Kya Hua Hai
Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki Sunta
Kaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai
Sayad Tab Ehsas Karogi
Mere Pyar Ki Chaanv Tale,
Jab Gujre Din Yaad Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Aaj Tumhare Man Mein Sansay
Beej Kisi Ne Bhar Dala Hai Ya Mere Hi Kuch Labjo Ne
Dil Ko Gayal Kar Dala Hai
Jis Din Tum Apna Samjhogi
Tab Milne Ki Chah Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Yun To Jeewan Ki Raaho Mein
Kitne Sathi Mile Bichude Hain
Aur Chahe Bhale Hi Kitne
Tere Mere Beech Khade Hain
Antarman Se Main Hu Tera
Ek Din Ye Aabhaas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Man Ki Baat Nahi Samjhogi
Mrigtrasna Ban Kar Bhatkogi
Mai Baadal Bankar Barsunga
To Bhi Tum Pyasi Tadpogi
Mere Dil Mein Base Prem Ka Jis Din Vishwas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Main Khud Bhi Kab Yeh Kahta Hu Ki Sabab Nahi,
Tu Sach Hai Mujhko Chhod Bhi De Toh Ajab Nahi,
Vapas Jo Chaho Jana Toh Ja Sakte Ho Magar,
Ab Itni Door Aa Gaye Hum Dekho Ab Nahi,
Dhan Ka Jaruraton Ka Jamane Ka Dosto,
Karte Toh Hum Bhi Hain Magar Itna Adab Nahi,
Mera Pyar Hai Toh Hamesha Ke Vaste,
Tera Karam Nahi Hai Ki Ab Hai Aur Ab Nahi,
Duniya Se Kya Shikayaten Logon Se Kya Gila,
Humko Hi Zindagi Se Nibhane Ka Dhang Nahi…
Wo Ho Jo
JANUARY: Ki Dhoop Ho
FEB: Ki Sham Ho
MARCH: Ki Khusbo Ho
APR: Ki Hawa Ho
MAY: Ki Subha Ho
JUNE: Ki Chaaown Ho
JULY: Ki Barish Ho
AUG: Ki Taroon Bhari Rat Ho
SEP: Ki Rim Jhim Ho
OCT: Ki Chandni Raat Ho
NOV: Ki Bahar Ho
AUR
DECEMBER:
Ki Sard Shaam Main Hamare Sath Ho.
Pani Bars Raha Hai, Chidiya Naha Rahi Hai
Barish Ki Dopeher Voh Phir Yaad Aa Rahi Hai
Dekho To Zindagi Bhi Kaisa Fareb Karti Hai
Perchhayian Dikha Kar Jannat Hata Rahi Hai
Sadiyon Se Beh Rahi Hai Budhi Nahi Akeli
Tanhayion Ke Kisse Kisko Suna Rahi Hai
Rehta Hai Dil Me Koi Har Vaqat Saath Apne
Doori Usi Ki Dekho Tanha Rula Rahi Hai
Mitti Ke Gharondo Me Jazbaat Thar-Thraate
Is Door Ke Shehar Tak Awaz Aa Rahi Hai
Ye Zindagi Ke Mele Hardum Laka Karenge
Apno Ko Juda Karne Me Kaisi Khusi Isko
Dekho To, Vo Gaadi Le Usko Ja Rahi Hai
Raat Bhigi Toh Thake Sahar Ko Yaad Aane Lage
Nind Ke Gaanv Jo Aajad Hain Palkon Ke Tale,
Doctor Khwab Ke Naakhun The Halahal Mein Bujhe
Hasb Mamul Badi Jor Se Hum Chikh Pade,
Jaise Sach Much Ho Badi Neend Mein Us Shokh Ki Yaad
Aisa Seene Mein Bani Baithi Hai Aankhe Meeche,
Maine Samjhaya Ke Suraj Bhi Jhukega Dar Par
Varna Taaron Ki Taraf Muh Kiye Darwaje The,
Kal Jise Raat Ki Gadi Pe Hamin Ne Choda
Woh Toh Aankho Mein Fire Hain Magar Hum Hi Na Fire…
Kahin Se Koi Khusi Ki Khabar Nahin Aati,
Abtoh Deedar Ki Surat Najar Nahin Aati,
Pet Mein Hain Samandar Ke Khajane Toh Beshumar,
Mohabbat Ki Doulton Wali Lahar Najar Nahin Aati,
Chand Suraj Aate Jaate Thak Ke Chakna Choor Hain,
Jisko Aan Chahiye Tha Wohi Bhar Nahin Aati,
Bahut Dino Se Neend Bhi Nahin Aati Ab Toh,
Bahut Dino Se Zindagi Idhar Nahin Aati,
Kabhi Aa Jaye Dabe Paanv Koi Bahlane,
Roj De Jati Daga Mout Par Nahin Aati…
In The Face Of Madness Armed
I Will Howl Here
As One Who Knows Guns -
Yet Fears Violence,
Age And God’s Grace
Forming A Peculiar Vision.
There Is The Bottom Line
Technology Is Not Neutral
War’s Dead And Suffering Testify
Technology Is Not Neutral.
Hunting Deer
With Ball And Powder
Is Not The Threat.
Technology Is No More Neutral
Than A Bolt Slamming Into Battery,
The Dead Sing This
In Choruses From Their Graves.
If We Can Care -
Understand
What This Means -
We Can Hear Their Song.
Copyright Almost Always Retained Is Released To The Public Domain Out Of The Author’s Grief For The Twenty Children Who Were Killed. Kindly Credit: W.A. Grace
Mohabbat Se, Inayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai
Bikhrata Phool Hun Mujhko Hawa Se Chot Lagti Hai,
Meri Aankho Mein Aansu Ki Tarah Ek Raat Aa Jao
Taklluf Se Banavat Se Ada Se Chot Lagti Hai,
Main Sabnam Ki Jubaa Se Sabnam Ki Aawaj Sunta Hu
Ajab Ahsas Hai Apna Sada Se Chot Lagti Hai
Tujhe Khud Apni Majboori Ka Andaja Nahin Shayad
Na Kar Ahad E Wafa, Ahad E Wafa Se Chot Lagti Hai…
Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte The,
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte The,
Itni Tehzeib Rah-O-Rasm To Baaki Thi Ke Wo,
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte The,
Usne Poocha Tha Kai Baar Magar Kiya Kahiye,
Hum Mizajann Hi Pareshaan Raha Karte The,
Khatam Tha Hum Pe Mohabbat Ka Tamasha Gaya,
Rooh Or Jism Ko Har Roz Juda Karte The,
Barison Ka Intezaar Tha Dil Milne Ko Bekrar Tha,
Ek Taraf Judai Ek Taraf Unka Pyar Tha,
Kuchh Ankahi Ansuni Baatein Thi Zuban Par,
Dil Mein Kuchh Sarart Bhara Khumar Tha,
Sochha Tha Jab Milenge Khub Saari Baatein Hongi,
Par Baton Ka Kya Dil Toh Pyar Ka Beemar Tha,
Woh Pyar Deta To Shayad Gham Door Ho Jaate,
Dil Chah Kar Bhi Naa Mil Paaya Unse,
Darta Tha Fir Judaa Ho Jayega,
Pal Bhar Ka Jo Deedar Tha…
Mitti Ke Khilone Hain Yeh Tutenge Toh Jarur,
Kudrat Ki Bandishen Hain Nahin Kisi Ka Kasoor,
Is Aasmaan Ke Neeche Kya Kya Bicha Hua Hai,
Kuchh Sajavat Pass Mein Kuchh Basahat Door,
Safar Sadiyo Ke Chalenge Lakh Roke Hastiyaa,
Badi Lambi Rahgujar Hai Vakt Thak Kar Choor,
Aadmi Ki Asliyat Se Khuda Bhi Anjaan Hai,
Kabhi Toh Ahi Buland Maksad Kabhi Hai Majbur,
Aa Ka Sach Dekhna Hai Kal Ki Baatein Chhodiye,
Jaani Dushman Aaj Kal Tak Tha Najar Ka Noor…
Sad Shayari
Main Uska Woh Mera Hai,
Janam Janam Ka Fera Hai,
Hai Toh Woh Aajad Pawan,
Par Tufano Ne Ghera Hai,
Hawa Hawa Par Madhur Madhur,
Jiwan Chitar Ukera Hai,
Kaisi Kasi Rachnayein Hain,
Woh Hairatkhej Chitera Hai,
Dil Bahlane Khatir Sabka,
Ugta Naya Savera Hai…
Pyar Se Badhkar Koi Aur Shksiyat Nahi Hoti,
Kuch Baato Ko Kehne Ki Jarurat Nahi Hoti,
Tanhaiya Khub Samajti Hain, Dilwale Ki Judaiyo Ki Dastaan,
Mohabbat Me Milne Ki Jarurat Nahi Hoti,
Koi Khamoshi Se Pyar Me Jalte Rehte Hai,
Koi Likhkar Apne Dil Ki Baatein Jahir Karte Hai,
Mohabbat Fir Bhi Dono Karte Hain,
Har Kisi Ki Ek Jaisi Aadat Nahi Hoti,
Aise Mein Judai Bhi Ek Hissa Hoti Zindagi Ka,
Hamesha Man Chahi Taaron Ki Kismet Nahi Hoti,
Zindagi Badi Hoti Hai,
Saathi Se Khathi-Meethi Takrare Bhi Hoti Hai,
Har Mausam Me Bearish Nahi Hoti,
Tahe Dil Se Pyar Ho To,
Bichadte Bhi Hain Rishte,
Ek Ek Arsa Gujar Jaata Hai, Duriyo Mein,
Par Dilo Se Humdum Ki Yaadein Kabi Nadarad Nahi Hoti,
Kuch Mushkil Hone Par Saath Debeki Bajaye, Imtehaan Le,
Itni Mamooli Hamari Dosti Nahi Hoti…