Dil Ke Hathon Duniya Hai Majboor,
Pass Rahkar Bhi Kinare Door,
Laakhon Saalon Se Timkate Taare,
Chandani Hai Abhi Tak Mashoor,
Ped Ki Woh Ghani Chaya Ab Nahin,
Kaat Dete Daaliyan Majdoor,
Dawaon Par Chal Rahi Beemar Duniya,
Sabhyatayein Huyi Thak Kar Choor,
Chaand Sooraj Tak Jaane Ki Tamanna,
Aadmi Hone Ke Laakh Fitoor…
Sunte Sunte Kaan Bahre Kuchh Nayi Baaten Bata,
Aman Pyar Mile Jahan Par Aise Ahate Bata,
Shatiri Se Badal Daale Tumne Mere Mayne Tak,
Bachi Kuchi Sarartein Bhi Yaar Ke Nate Bata,
Nahi Unchayi Pe Chadta Aisa Paani Ka Shagal,
Har Taraf Jo Fail Jaayen Aisi Mulakaten Bata,
Wahi Duniya Aur Uske Raaste Bhi Hain Wohi,
Jhoot Sach Ke Paar Wali Chand Mulakaatein Bata,
Parindo Ke Liye Jangle Khule Hain Har Taraf Se,
Jaal Bichhaye The Kisne Bhala Kya Khate Bata…
Kisne Jaadu Kar Diya Jangle Mein Sab Hairan Hain,
Sukhe Patton Ka Hawa Ki Chaal Udd Nikalna,
Ghatiyon Ke Paar Rahti Hai Woh Vandevi Abhi,
Dekha Hai Purkhon Ne Ghane Van Uska Tahlana,
Darkhaton Ke Ghane Saaye Or Sard Pahad Uff,
Ik Nadi Ka Banana Chotiyan Barf Ki Galna,
Dhundh Mein Doobe Najare Aur Sar Par Chand Bhi,
Hai Sab Ki Khatir Jangalon Ka Falna Fulna,
Karishme Kudrat Ke Charon Aur Bikhre Hain Tamam,
Kaise Rokega Musafir Dil Ka Yun Machlana…
Sukhi Tehni Tanha Chidiya Feeka Chand
Aakhon Ka Sehra Mein Ek Nami Ka Chand
Us Maathe Ko Chume Kitne Din Beete
Jis Maathe Ki Khatir Tha Ik Teeka Chanda
Pehle Tu Lagti Thi Kitni Begana
Kitna Dhundhla Hota Hai Pehli Ka Chand
Kam Ho Kaise In Khushiyon Se Tera Gham
Lehron Mein Kab Behta Hai Nadi Ka Chand
Aao Ab Hum Iske Bhi Tukde Kar Lein
Dhaka, Rawalpindi Aur Dilli Ka Chand…
Humne Tere Pyar Ki Khatir, Duniya Ko Thukraya Tha,
Saare Jag Ko Chhod Ke Humne Tumko Meet Banaya Tha,
Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha, Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune, Gair Ka Saath Nibhaya Tha,
Tujh Se Hai Na Shikwa, Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se…
Tera Who Pyar Mujhe, Raaton Ko Jagayega,
Tone Mujhe Thukraya Toh, Chain Nahi Aayega,
Hoga Na Ilaaj Mera, Kabhi Bhi Tabijon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se-2…..
Ab Hai Kiska Intezaar ,
Dil Dukhega Baar Baar,
Raat Til Til Sarkati Hai,
Chhed Dardile Sitar,
Sans Sans Pahad Jaisi,
Sadiyo Lamba Hai Udhar,
Koisko Aana Hai Yahan Ab,
Nahi Jinda Koi Yaar,
Chhdkar Doli Nadi Par,
Chhip Gaye Charon Kahar,
Dil Ki Baaten Dil Mein Rakhna,
Karen Kis Ka Aitbaar…
Mili Na Tanhai Shirkat Me Aap Ki
Mili Na Judai Nafrat Me Aap Ki
Huye Begaane Is Azl Se Tamaam Umr Aur
Na Hi Mili Wafai Mohabbat Me Aap Ki
Hame To Mila Wafaa-E-Gham Mohabbat Me Aap Ki
Na Jane Hue Kitne Gunaah Ibadat Mein Aap Ki
Kya Hua Jab Hue Na Shaamil Zindagi Me Aap Ki
Kar Lenge Basar Bas Khwaboan Me Aap Ki
Na Rahi Tamanna Hame Apno Ki
Khatm Hui Zindagi Jab Ghamgeen Sapno Ki
Na Ho Khush Itna Aye “Tanveer”
Zindagi To Hai Sirf Chand Lamho Ki…
Sayad Tab Ehsas Karogi
Mere Pyar Ki Chaanv Tale,
Jab Gujre Din Yaad Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Aaj Tumhare Man Mein Sansay
Beej Kisi Ne Bhar Dala Hai Ya Mere Hi Kuch Labjo Ne
Dil Ko Gayal Kar Dala Hai
Jis Din Tum Apna Samjhogi
Tab Milne Ki Chah Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Yun To Jeewan Ki Raaho Mein
Kitne Sathi Mile Bichude Hain
Aur Chahe Bhale Hi Kitne
Tere Mere Beech Khade Hain
Antarman Se Main Hu Tera
Ek Din Ye Aabhaas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Man Ki Baat Nahi Samjhogi
Mrigtrasna Ban Kar Bhatkogi
Mai Baadal Bankar Barsunga
To Bhi Tum Pyasi Tadpogi
Mere Dil Mein Base Prem Ka Jis Din Vishwas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
!Dardnaq Kissa..
1 Aunty Thi Unki 1 ?eti Thi, Wo Uski ?ohat ?are karti Thi..
?aal ?anwarti Thi, Poniyan ?andhti Thi Ta ka ?achi Achi Dikhay, Par ?achi ki Ankhain Humesha ?ahar Rehti Thein, ?ilqul Aisay
(O_O)
Aunty Ny ?ohat ?y Doctors ko Dikhaya Par Wo ?ahi Nahi Hui..
Phir 1 ?aba ko Dikhaya Unho Ny ?achi ko 1 Mint Ma ?ahi kar Dia..
?ub Hayraan Ho Gae k ?e kaisy Theek Hogai, Tou ?aba G Ny ?ataya..
?us ?aychari Ki Poniyaan Dheeli Kar Dein..
Badi Muskil Se Bana Hu,
Toot Jaane Ke Baad,
Main Aaj Bhi Ro Deta Hu,
Muskurane Ke Baad,
Tujh Se Mohabbat Thi,
Mujhe Beinteha Magar,
Aksar Yeh Ahsaas Huva,
Tere Jaane Ke Baad,
Ab Tak Doond Raha Hun Main,
Apne Andar Ke Us Sakhs Ko,
Jo Najar Se Kho Gaya,
Hai Najar Aane Ke Baad…
Kuchh Kuchh Khara Kuchh Kuchh Mitha,
Phool Aur Pathar Ka Rista,
Ghunghat Se Jhanke Hain Vayakul,
Sasur Se Nahar Ka Rista,
Badal Ne Paani Barsaya,
Sahar, Gaanv, Basti ,Parbat Par,
Baras Rahi Bundo Se Kya Hai,
Is Athah Sagar Ka Rista,
Chalne Wale Ka Ruk Jana,
Mout Nahin Hai Toh Aur Kya Hai,
Kaisa Hua Musafir Se Antim Kisi Safar Ka Rista…
Wo Ho Jo
JANUARY: Ki Dhoop Ho
FEB: Ki Sham Ho
MARCH: Ki Khusbo Ho
APR: Ki Hawa Ho
MAY: Ki Subha Ho
JUNE: Ki Chaaown Ho
JULY: Ki Barish Ho
AUG: Ki Taroon Bhari Rat Ho
SEP: Ki Rim Jhim Ho
OCT: Ki Chandni Raat Ho
NOV: Ki Bahar Ho
AUR
DECEMBER:
Ki Sard Shaam Main Hamare Sath Ho.
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
Har Chamakti Kurbat Mein Ek Faasla Dekhu
Kaun Aane Wala Hai, Kiska Raasta Dekhu
Sham Ki Dhundh Hai Ya Udas Mamta Hai
Bhooli Bisri Yaadon Se Foot-Ti Dua Dekhu
Lehar-Lehar Pani Mein Doobta Hua Suraj
Kaun Mujhme Dar Aaya Uth Ke Aaina Dekhu
Lehlhate Mausam Mein Tera Zikr Bahar Jaisa
Shakh-Shakh Per Tere Naam Ko Hra Dekhu
Jab Milungi Tumse Khwabo Mein
Mann Me Base Sawalo K Jawab Dhundungi
Phir Se Us Pehli Mulakat Ki Mithas Dhundungi
Tumhe Dekh K Aane Wali Muskan Dhundungi
Dhundungi Fir Tumme Nischal Pehla Pyar
Karte The Jab Tum Har Pal Mera Intezar
Dhundungi Fir Tumme Muje Pyar Se Dekhne Wali Wo Nazar
Goom Rehte The Jisme Duniya Se Bekhabar
Dhundungi Tumme Fir Wahi Jazbato Ka Kona
Muje Dekh Udas Jab, Aa Jata Tha Tumhe Rona
Milungi Jb Tumse Khwabo Me
Puchungi K Kyu Badal Gae Tum
Kyu Mujhe Itna Akela Kar Chhor Gaye Tum
Kyu Na Socha Tumne K Kya Hoga Is Dil Ka
Kyu Kho Gae Tum Jese Koi Jhonka Hawa Ka
Zindagi Meri Badal Kyu Chale Gae Tum
Puchungi Jab Milungi Tumse Khwabo Mein…
Sahte Sahte Gham Se Yaari Hi Gayi,
Saari Duniya Hi Hamari Ho Gayi,
Jab Se Dil Toota Samajh Paaye Yahi,
Zindagi Ki Sah Sawari Ho Gayi,
Mithi Baaton Ke Jamane Lad Gaye,
Jubaane Saari Dudhari Ho Gayi,
Ein Bachpan Se Shuru Hokar Abhi Tak,
Har Fajihat Baari Baari Ho Gayi,
Duniyadari Bhanvar Kaisa Bhayanak,
Umar Bhar Ki Giraftari Ho Gayi…