Apne College Mein Bahut Magroor Jo Mashoor Hai,
Dil Mera Kahta Hai Us Ladki Mein Hai Chahat Bahut,
Unke Chehre Chand Taaron Ki Tarah Roshan Huye,
Jin Garibon Ke Yahan Husn E Kifayat Hai Bahut,
Hum Se Ho Sakti Nahin Duniya Ki Duniya Dariyan,
Ishq Ki Deewar Ke Shaaye Mein Rahat Hai Bahut,
Dhoop Ki Chadar Mere Suraj Se Kahna Bhej De,
Gurbaton Ka Dour Hai Jaadon Ki Musibat Hai Bahut,
Un Andheron Mein Jahan Sahmi Huyi Thi Yeh Jamin,
Raat Se Tanha Lada Jugnu Mein Himmat Hai Bahut…
Mili Na Tanhai Shirkat Me Aap Ki
Mili Na Judai Nafrat Me Aap Ki
Huye Begaane Is Azl Se Tamaam Umr Aur
Na Hi Mili Wafai Mohabbat Me Aap Ki
Hame To Mila Wafaa-E-Gham Mohabbat Me Aap Ki
Na Jane Hue Kitne Gunaah Ibadat Mein Aap Ki
Kya Hua Jab Hue Na Shaamil Zindagi Me Aap Ki
Kar Lenge Basar Bas Khwaboan Me Aap Ki
Na Rahi Tamanna Hame Apno Ki
Khatm Hui Zindagi Jab Ghamgeen Sapno Ki
Na Ho Khush Itna Aye “Tanveer”
Zindagi To Hai Sirf Chand Lamho Ki…
Shaam Hoti Hai Toh, Palkon Pe Sajaata Hai Mujhe,
Wo Chiragon Ki Tarah Roz, Jalaata Hai Mujhe,
Main Hoon Yeh Kam Toh Nahi Hai, Tere Hone Ki Daleel,
Mera Hona Tera Ehsaas Dilaata Hai Mujhe,
Ab Kisi Shakhs Mein, Sach Sunne Ki Himmat Hai Kahaan,
Mushkilon Se Hi Koi, Paas Bitthata Hai Mujhe,
Kaise Mehfooz Rakhun Khud Ko Ajaayab Ghar Main,
Jo Bhi Aata Hai Yahaa Haath Lagata Hai Mujhe,
Jaane Kya Ban Na Hai Tujhko, Meri Gili Mitti,
Kuzaagar Roz, Banata Hai, Mitaata Hai, Mujhe,
Aab O Daana Kisi Bigde Huve Bachche Ki Tarah,
Main Jahaan Shaakh Par Baitthun, Udaata Hai Mujhe
Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,
Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,
U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi Hai
Ghajab Ye Hai Ki ’Sehra’ Bhi Khilne Laga Hai
Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar
Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai
Kahne Ko Sab Kuch Wahi Ka Wahi Hai
Par Mujhe Har Ik Zarra Naya Lagne Hai
Mehfil Me Jab Ham, Kuch Gumsum Se Baithe
Dosto Ne Bhi Poocha Ki Tujhe Kya Hua Hai
Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki Sunta
Kaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai
Sukhi Tehni Tanha Chidiya Feeka Chand
Aakhon Ka Sehra Mein Ek Nami Ka Chand
Us Maathe Ko Chume Kitne Din Beete
Jis Maathe Ki Khatir Tha Ik Teeka Chanda
Pehle Tu Lagti Thi Kitni Begana
Kitna Dhundhla Hota Hai Pehli Ka Chand
Kam Ho Kaise In Khushiyon Se Tera Gham
Lehron Mein Kab Behta Hai Nadi Ka Chand
Aao Ab Hum Iske Bhi Tukde Kar Lein
Dhaka, Rawalpindi Aur Dilli Ka Chand…
Fitraton Ke Dor Se Dil Bhar Gaya,
Chada Dariya Bin Baat Utar Gaya,
Ek Nanhe Fool Sa Aaya Chaman Mein,
Aadmi Ho Baad Mein Pathar Gaya,
Dekhne Layak Bahut Kuchh Tha Jahan Mein,
Dekhte Hi Dekhte Woh Mar Gaya,
Apni Apni Najar Ka Toh Najara Hai,
Dara Sahma Vakt Aaj Gujar Gaya,
Aajkal Kuchh Alag Duniya Ke Tarike,
Judte Judte Duniya Ka Honsala Hi Bikhar Gaya…
Mohabbat Main Khata Huyi,
Jakhmi Dil Ki Duhaayi Hai,
Mere Jakhmi Dil Mein Unhe,
Apni Chahat Najar Aayi Hai,
Hamein Sudharne Ki Unki,
Koshise Nakaam Ho Gayi Hain,
Aaj Dekho Meri Chahat Nilam Ho Gayi Hai,
Kali Dil Ki Khili Thi Tere Paigam Ke Sath,
Dor Sans Ki Tuti Thi Bewafayi Ke Jam Ke Saath…
Afsos Tumne Mujhko Acchhe Se Nahi Jana,
Barbad Mohabbat Ka Yeh Barbaad Jamana,
Upar Se Kon Padhta Andar Ki Ibadat Ko,
Honi Ko Yeh Likhavat Doshman Se Kya Padhana,
Kuchhh Samay Theek Na Tha Kuchh Log The Paraye,
Us Or Thi Nigahen Is Or Tha Nishana,
Kuchh Jakham Aur Hote Kuchh Dard Aur Hota,
Ujda Hi Raha Aata Dil Ka Garib Khana,
Auron Ki Aur Jaane Hum Apni Jaante Hain,
Ghayak Udas Yeh Dil Jal Marne Ko Parwana…
Ab Toh Angaro Ke Lab Choom Kar So Jaayenge
Hum Woh Pyase Hain Jo Dariyaon Ko Tarsayenge,
Khwab Aaine Hain Aankhon Mein Liye Firte Ho
Dhoop Mein Chamkenge Tootenge Toh Chubh Jaayenge,
Neend Ki Fakta Sahami Huyi Hai Aankhon Mein
Teer Yadon Ki Kamigahon(Sikari) Se Fir Aayenge,
Subah Tak Dil Ki Khidkiyon Ko Khula Rahne Do
Dard Gumraah Fariste Hain Kahan Jaayenge…
Aaya Hi Nahi Humko Aahista Guzrana
Sishe Ka Mukkadar Hai Takra Ke Gujar Jana,
Taron Ki Tarah Shab Ke Seene Mein Utar Jana
Aahat Na Ho Kadmon Ki Is Tarah Gujar Jana,
Nashe Mein Sambhlane Ki Ada Yun Hi Nahi Aaya
In Julfo Se Sikha Hai Lahra Ke Sanvar Jana,
Bhar Jayenge Aankho Mein Aanchal Se Bhare Badal
Yaad Aayega Jab Gul Par Shabnam Ka Bikhar Jana,
Har Mod Par Do Aankhe Humse Yahi Kahti Hain
Jisa Taraf Bhi Mumkin Ho Tum Lout Kar Ghar Jana…
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein
Ki Meri Najar Ko Khabar Na Ho,
Mujhe Ek Raat Navaj De
Magar Uske Baad Subah Na Ho,
Woh Bada Raham O Karam Hai
Mujhe Yeh Asar Bhi Daan Karein,
Tujhe Bhulane Ki Dua Karun
Toh Meri Dua Mein Asar Na Ho,
Mere Baajuon Mein Thaki Thaki
Abhi Khwab Dekh Rahi Hai Chandani,
Na Uthe Sitaron Ki Palki
Abhi Aahton Ka Gujar Na Ho…
Dekhne Se Hi Aa Jata Hai Nasha,
Toh Pine Ki Kya Jarurat Hai,
Hoton Se Mat Laga Sanam,
Baasi Bhi Ho Sakti Hai Jhuti Bhi,
Nashe Se Bhari Botal,
Khud Nahin Naachati Sanam ,
Use Kamar Mein Haath Dalne,
Wale Ka Intezaar Jo Rahta Hai,
Sirf Chhuna Hai Agar Tujhko,
Toh Tasveer Se Chhu Lu,
Chhune Ke Baad Ki Tamannao Ka Kya Hoga,
Aapki Adalat Mein,
Meri Kitab Ki Pesi Hai,
Faisla Aap Ke Haath Mein Hai,
Meri Takdeer Kaisi Hai….
Khushiyon Se Naraz Hai Meri Zindagi
Pyar Ki Mohtaj Hai Meri Zindagi
Has Leta Hoon Logo Ko Dikhane Ke Liye
Varna Dard Ki Kitab Hai Meri Zindagi
Har Koi Kisi Ki Majboori Nahi Samajhta
Dil Se Dil Ki Doori Nahi Samajhta
Koi To Kisi Ke Bina Mar Mar Ke Jeeta Hai
Aur Koi Kisi Ko Yaad Karna Bhi Jaroori Nahi Samajhta
Na Jaane Kyon Abhi Ek Aansoo Aankh Se Chhalka
Dil Ko Shayad Uski Yaad Aayi
Chaahat Hai Itni Hume Us Se Milne Ki
Hanste Huye Bhi Aankhe Bhar Aayi
Sahte Sahte Gham Se Yaari Hi Gayi,
Saari Duniya Hi Hamari Ho Gayi,
Jab Se Dil Toota Samajh Paaye Yahi,
Zindagi Ki Sah Sawari Ho Gayi,
Mithi Baaton Ke Jamane Lad Gaye,
Jubaane Saari Dudhari Ho Gayi,
Ein Bachpan Se Shuru Hokar Abhi Tak,
Har Fajihat Baari Baari Ho Gayi,
Duniyadari Bhanvar Kaisa Bhayanak,
Umar Bhar Ki Giraftari Ho Gayi…
Do Bhatkati Huyi Roohein Jaise Mili,
Yun Mili Woh Nigahein Magar Khouf Hai,
Jist Hai Raat Mein Jangalon Ka Safar,
Is Janam Mein Bhi Hum Kho Na Jaayein Kahin,
Roshni Ke Naseeb Mein Neendein Kahan,
Chaand Mein Taak Par Woh Sajayein Kahan,
Hum Chirag E Wafa Jalna Hai Raat Bhar,
Aasman Doudbhag Mein Woh Jalayein Kahin,
Minar Ke Jaise Shohratein Hamein,
Aasmaa Ki Taraf Le Chali Hain Magar,
Ji Mein Hai Sabj Paigambron Ki Tarah,
Seena E Sang Se Sar Uthayen Kahin…
Kayi Darkhaton Ne Aisa Jamee Ko Chhod Diya
Ki Jaise Vakayi Unko Liye Firegi Hawa,
Kabhi Jo Doosri Jhilon Ki Samt Pyas Badhi
Hamare Seene Mein Koi Parinda Cheekh Pada,
Fir Uske Baad Mujhe Abhi Tak Jamin Na Mili
Jara Si Umar Thi Jab Tanha Pahli Baar Uda,
Badan Dikhayi Na De Kaisi Khud Libasi Hai
Yeh Kya Diya Ke Garibi Ka Bankpan Bhi Gaya,
Machine Chal Rahi Hain Coat Pant Pahne Huye
Kisi Ka Naam Mohabbat Kisi Ka Naam Wafa…
Raat Ke Samander Mein Doob Gayi Sham
Mere Bhi Seene Mein Aaye Meri Sham,
Badal The Kamre Mein Bikhte Pade
Bistar Par Leti Thi Thaki Huyi Sham,
Band Kiye Baithe The Yaadon Ka Ghar Hum
Darwaja Kholkar Chali Gayi Sham,
Saare Badan Ka Tanav Faja Mein
Kase Kase Kapdo Mein Fasi Fasi Sham,
Thake Thake Paidal Ke Beech Chale Sooraj
Ghar Ki Taraf Louti Daftar Ki Sham,
Rang, Duniya Ne Dikhaya Hai Nirala Dekhu,
Hai Andhere Mein Ujala Toh Ujala, Dekhu,
Aaina Rakh De Mere Saamne, Aakhir Main Bhi,
Kaisa Lagta Hai Tera Chahne Wala, Dekhu,
Kal Talak Woh Jo Mere Sar Ki Kasam Khata Tha,
Aaj Sar Mera Usne Kaise Uchhala, Dekhu,
Mujhse Majhi Mera, Kal Raat, Saham Kar Bola,
Kis Tarah Maine Yahan Khud Ko Sambhala, Dekhu,
Jiske Aangan Se Khule The Mere Saare Raste,
Us Hawali Par Bata Main Kaise Tala Dekhu..
Jab Milungi Tumse Khwabo Mein
Mann Me Base Sawalo K Jawab Dhundungi
Phir Se Us Pehli Mulakat Ki Mithas Dhundungi
Tumhe Dekh K Aane Wali Muskan Dhundungi
Dhundungi Fir Tumme Nischal Pehla Pyar
Karte The Jab Tum Har Pal Mera Intezar
Dhundungi Fir Tumme Muje Pyar Se Dekhne Wali Wo Nazar
Goom Rehte The Jisme Duniya Se Bekhabar
Dhundungi Tumme Fir Wahi Jazbato Ka Kona
Muje Dekh Udas Jab, Aa Jata Tha Tumhe Rona
Milungi Jb Tumse Khwabo Me
Puchungi K Kyu Badal Gae Tum
Kyu Mujhe Itna Akela Kar Chhor Gaye Tum
Kyu Na Socha Tumne K Kya Hoga Is Dil Ka
Kyu Kho Gae Tum Jese Koi Jhonka Hawa Ka
Zindagi Meri Badal Kyu Chale Gae Tum
Puchungi Jab Milungi Tumse Khwabo Mein…