Abhi Jameer Mein Thodi Si Jaan Baki Hai,
Abhi Hamara Ko Imtehaan Baki Hai,
Hamare Ghar Ko Toh Ujde Huye Jamana Hua,
Magar Suna Hai Abhi Woh Makan Baaki Hai,
Hamari Unse Jo Thi Baat Woh Khatam Huyi,
Magar Khamosh Sa Kuchh Darmiyan Baaki Hai,
Hamare Jahan Ki Basti Mein Aag Aisi Lagi,
Ki Jo Tha Khak Hua Ik Dukan Baaki Hai,
Woh Jakham Bhar Gaya Arsa Hua Magar Ab Tak,
Jara Sa Dard Jara Sa Nishaan Baaki Hai,
Jara Si Baat Jo Faili Toh Dastan Ban Gayi,
Woh Baat Khatm Huyi Daastan Baaki Hai….
Most hardest, funniest, unforgetable moments in life
~In exam, when ur pen finishes, and still u want to write blunders
~wen ur task is almost finished on computer, n lite goes out
~In a long que, when ur turn comes, respondent says “Times over, sorry”
~Wen u wake up v.late and u have v.short time to go at school/office. N u just wear that shirt, pant n dress that is in washing machine
~Wen ur friend says b4 test, “yara mujhe kuch nai ata” n he got more marks than u
~Wen u have just few coins in ur pocket, and ur friend says, “kyun jigr! phir aj kia khila raha hai?”
~Wen ur friend says, b4 exam time, jigger ye chapter 1 ghantay se kyun parh raha hai, ye tu sir ne churwa dia tha…..
Teri Najar Ka Jaadu Sar Chadh Ke Bolta Hai,
Din Raat Nashebaaj Aasmaan Dolta Hai,
Yeh Shokh Raat Ke Pal Yeh Timtimate Taare,
Dekho Toh Kaaynaat Ka Ghungat Woh Kholta Hai,
Dilkash Ada Ki Chhuriya Thandi Hawa Ke Jhonke,
Diwanagi Mein Besudh Daaman Tatolta Hai,
Lekar Milan Ki Pyas Bhatkate Huye Musafir,
Jode Ki Chah Kabutar Par Apne Tolta Hai,
Dariya Ke Paar Yaar Ki Basti Mein Jaan Apni,
Par Raah Mein Jawala Mukhi Dokhaj Ka Khoulta Hai…
Tujhe Chaha To Zamane Ne, Dekha Gunahagar Ki Terha,
Khde Hain Mahfil Me Tanha Hum Gunahagar Ki Terha,
Tujhe Chaha To Zamaane Ne,
Gali Koyi Ho Ghar Tera Nazar Aata Hai Us Me,
Flaq Ke Sitaro Me Utaar Basa Hai Chandni Me,
Teri Chahat Me Kuch Yu Pagal Hai Dil Kasam Se,
Tujhe Shiqwaa Nahi Gar Meri Mohabbat Se To,
Zamana Phir Chahe Dekhe Hume Gunahagar Ki Terha,
Tujhe Chaha To Zamane Ne,
Tu Mere Haatho Ki Taqdeer-E-Laqir Hai Sathi,
Jo Tu Nahi To Jindgi Adhuri Phir Guzregi Sathi,
Meri Wafa Par Aaj Jo Shaq Karta Hai Zamana,
Waqt Gujre Dohrayega Mere Pyar Ka Fsana,
“Sagar” Hoga Sir Jhukaye Zamana Gunahagar Ki Terha,
Tujhe Chaha To Zamane Ne…
Tanhaiyan Khamoshiyan Gham Salonsal,
Ab Nahin Uthta Hai Koi Bhi Khyal,
Dard Ko Ab Kuchh Dusra Naam De Do,
Khatm Hi Hota Nahin Iska Kamal,
Haay Bachpan Ki Kahani Narm Najuk,
Laplapata Zindagi Ka Har Sawal,
Nahi Lajjat Ab Tumahare Khwab Mein Bhi,
Sikayat Kaisi Bhala Kaisa Malal,
Door Tak Hai Apni Masti Ka Surur,
Jankar Bhi Kya Karoge Mere Haal…
Mohabbat Main Khata Huyi,
Jakhmi Dil Ki Duhaayi Hai,
Mere Jakhmi Dil Mein Unhe,
Apni Chahat Najar Aayi Hai,
Hamein Sudharne Ki Unki,
Koshise Nakaam Ho Gayi Hain,
Aaj Dekho Meri Chahat Nilam Ho Gayi Hai,
Kali Dil Ki Khili Thi Tere Paigam Ke Sath,
Dor Sans Ki Tuti Thi Bewafayi Ke Jam Ke Saath…
Nigal Gaye Sab Ki Sab Samandar Jami Bachi Ab Kahi Nahi Hai,
Bachaate Hum Apni Jaan Jismein Woh Kasti Bhi Ab Kahi Nahi Hai,
Bahut Dino Baad Paayi Fursat Toh Maine Khud Ko Palatkar Dekha,
Magar Main Pahchanta Tha Jisko Woh Aadmi Ab Kahi Nahi Hai,
Gujar Gaya Vakt Dil Pe Likhkar Na Jaane Kaisi Ajib Baatein,
Panna Paltata Hu Main Jo Dil Ke Toh Saadgi Ab Kahin Nahi Hai,
Woh Aag Barsi Dopahar Mein Ki Saare Manjar Jhulas Gaye Hain,
Yahan Savere Jo Taajgi Thi Woh Taajgi Ab Kahi Nahi Hai,
Tum Apne Kasbon Mein Jaake Dekho Wahan Ab Shahar Base Hain,
Ki Dhundhte Ho Jo Zindagi Tum Woh Woh Zindagi Ab Kahi Nahi Hai…
Fitraton Ke Dor Se Dil Bhar Gaya,
Chada Dariya Bin Baat Utar Gaya,
Ek Nanhe Fool Sa Aaya Chaman Mein,
Aadmi Ho Baad Mein Pathar Gaya,
Dekhne Layak Bahut Kuchh Tha Jahan Mein,
Dekhte Hi Dekhte Woh Mar Gaya,
Apni Apni Najar Ka Toh Najara Hai,
Dara Sahma Vakt Aaj Gujar Gaya,
Aajkal Kuchh Alag Duniya Ke Tarike,
Judte Judte Duniya Ka Honsala Hi Bikhar Gaya…
Jo Ho Ik Baar Voh Har Baar Ho Aisa Nahi Hota
Hamesha Ek Hi Se Pyar Ho Aisa Nahi Hota
Har Ek Kashti Ka Apna Tajurba Hota Hai Dariya Mein
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota
Sikha Deti Hain Chalna Thokrein Bhi Raahgiro Ko
Koi Rasta Sada Dushwar Ho Aisa Nahi Hota
Kahi To Koi Hoga Jiski Apni Bhi Zaroorat
Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho Aisa Nahi Hota
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
Mumkin Hai Safar Ho Aasan Ab Sath Bhi Chalkar Dekhein,
Kuchh Tum Bhi Badalkar Dekho Kuchh Hum Bhi Badalkar Dekhen,
Aankhon Mein Koi Chehra Ho Har Pag Pe Ek Pahra Ho,
Jangle Se Chalein Basti Mein Duniya Ko Sambhalkar Dekho,
Do Char Kadam Har Rasta Pahle Ki Tarah Lagta Hai,
Shayad Koi Manjar Badle Kuchh Dur Oh Chalkar Dekhen,
Ab Vakt Bacha Hai Kitna Jo Aur Ladein Duniya Se,
Duniya Ki Nasihat Par Bhi Thoda Sa Amal Karein…
Do Bhatkati Huyi Roohein Jaise Mili,
Yun Mili Woh Nigahein Magar Khouf Hai,
Jist Hai Raat Mein Jangalon Ka Safar,
Is Janam Mein Bhi Hum Kho Na Jaayein Kahin,
Roshni Ke Naseeb Mein Neendein Kahan,
Chaand Mein Taak Par Woh Sajayein Kahan,
Hum Chirag E Wafa Jalna Hai Raat Bhar,
Aasman Doudbhag Mein Woh Jalayein Kahin,
Minar Ke Jaise Shohratein Hamein,
Aasmaa Ki Taraf Le Chali Hain Magar,
Ji Mein Hai Sabj Paigambron Ki Tarah,
Seena E Sang Se Sar Uthayen Kahin…
Sunte Sunte Kaan Bahre Kuchh Nayi Baaten Bata,
Aman Pyar Mile Jahan Par Aise Ahate Bata,
Shatiri Se Badal Daale Tumne Mere Mayne Tak,
Bachi Kuchi Sarartein Bhi Yaar Ke Nate Bata,
Nahi Unchayi Pe Chadta Aisa Paani Ka Shagal,
Har Taraf Jo Fail Jaayen Aisi Mulakaten Bata,
Wahi Duniya Aur Uske Raaste Bhi Hain Wohi,
Jhoot Sach Ke Paar Wali Chand Mulakaatein Bata,
Parindo Ke Liye Jangle Khule Hain Har Taraf Se,
Jaal Bichhaye The Kisne Bhala Kya Khate Bata…
Sayad Tab Ehsas Karogi
Mere Pyar Ki Chaanv Tale,
Jab Gujre Din Yaad Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Aaj Tumhare Man Mein Sansay
Beej Kisi Ne Bhar Dala Hai Ya Mere Hi Kuch Labjo Ne
Dil Ko Gayal Kar Dala Hai
Jis Din Tum Apna Samjhogi
Tab Milne Ki Chah Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Yun To Jeewan Ki Raaho Mein
Kitne Sathi Mile Bichude Hain
Aur Chahe Bhale Hi Kitne
Tere Mere Beech Khade Hain
Antarman Se Main Hu Tera
Ek Din Ye Aabhaas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Man Ki Baat Nahi Samjhogi
Mrigtrasna Ban Kar Bhatkogi
Mai Baadal Bankar Barsunga
To Bhi Tum Pyasi Tadpogi
Mere Dil Mein Base Prem Ka Jis Din Vishwas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Phool Ki Har Tasveer Main Jehan Ki Deevaron Se Utar Chuka Hu,
Fir Kyu Dil Mein Kanta Sa Rah Rahkar Chubhta Rahta Hai,
Majburi Thi Sabr Kiya Hai Panv Ko Tod Kar Baith Rahe Hain,
Nagri Nagri Dekh Chuke Hain Davare Davare Jhank Liya Hai,
In Aankho Ka Matwalapan Un Hoton Ko Jumbish Kam Kam,
Nasha Hain Jo Dol Raha Hai Jaadu Hai Jo Bol Raha Hai,
Yaaro Sona Chandi Bokar Sona Chandi Kaato Jaao,
Hamne Aansu Ki Kheti Kar Nain Nagar Aabad Kiya Hai,
Badr Tumhari Fikr E Sukhan Par Ek Allama Hanskar Bole,
Yeh Ladka Noumar Parinda Uncha Udna Seekh Raha Hai…
Dil Ka Phool Khila Do,
Man Ki Galiya Mahka Do,
Aayega Aane Wala Jo,
Kuchh Usko Naya Naya Do,
Fir Aage Pichhe Padhna,
Filhaal Use Rutba Do,
Hai Agar Jitna Usko,
Nolakha Haar Pahna Do,
Pana Ho Agar Mohabbat,
Aansu Ki Nadi Baha Do,
Insano Ki Har Khubi,
Bachhe Bachhe Ko Sikha Di Hai…
Ab Toh Angaro Ke Lab Choom Kar So Jaayenge
Hum Woh Pyase Hain Jo Dariyaon Ko Tarsayenge,
Khwab Aaine Hain Aankhon Mein Liye Firte Ho
Dhoop Mein Chamkenge Tootenge Toh Chubh Jaayenge,
Neend Ki Fakta Sahami Huyi Hai Aankhon Mein
Teer Yadon Ki Kamigahon(Sikari) Se Fir Aayenge,
Subah Tak Dil Ki Khidkiyon Ko Khula Rahne Do
Dard Gumraah Fariste Hain Kahan Jaayenge…
Jakham Dil Mein Jahan Mahkata Hai,
Isi Kyari Mein Tha Gulab Koi,
Rat Bajti Thi Door Sahnayi,
Roya Pikar Bahut Sharab Koi,
Dil Ko Ghere Hain Rojgar Ke Gham,
Raddi Mein Kho Gayi Kitab Koi,
Kon Sa Jakham Kis Ne Diya Hai,
Iska Rakhe Kahan Hisaab Koi,
Fir Main Sunane Laga Hu Is Dil Ki,
Aane Wali Hai Fir Musibat Koi…