Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte The,
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte The,
Itni Tehzeib Rah-O-Rasm To Baaki Thi Ke Wo,
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte The,
Usne Poocha Tha Kai Baar Magar Kiya Kahiye,
Hum Mizajann Hi Pareshaan Raha Karte The,
Khatam Tha Hum Pe Mohabbat Ka Tamasha Gaya,
Rooh Or Jism Ko Har Roz Juda Karte The,
Wo Mujhe Mehndi Lage Hath Dikha Kr Royi,
Main Kisi Aur Ki Hun Bas Etna Bataa Kar Royi,
Shaayad Umar Bhar Ki Judai Ka Khayaal Aaya Tha Use,
Wo Mijhe Pass Apne Bitha Kar Royi,
Dukh Ka Ehasaas Dila Kar Royi,
Kbi Kahati Thi Ki Main Nan Jee Paungi Bina Tumhare,
Aur Aaj Ye Baat Dohra Kar Royi,
Mujhse Jyada Bichdane Ka Gum Tha Use,
Waqt-A-Rukshat Wo Mujhe Seene Se Lagaa Kar Royi,
Main Bekasoor Hun Kudrat Ka Faisla Hai Yeh,
Lipat Kr Mujhse Bas Woh Itna Bataa Kar Royi,
Mujh Par Dukh Ka Pahaad Aik Aur Tutta,
Jab Woh Mere Saamne Mere Khat Jala Kar Royi,
Meri Nafrat Aur Adawat Pighal Gayi Ek Pal Mein,
Woh Bewafa Hai To Kyun Mujhe Rula Ke Royi,
Sab Gile-Shikwe Mere Ek Pal Mein Badal Gaye
Zheel Si Aakhon Mein Jab Aansu Sazaa Kar Royi,
Kaise Uski Mohabbat Par Shak Karein Hum,
Bhari Mahfil Mein Woh Mujhe Gale Lagaa Kar Royi…
Teri Najar Ka Jaadu Sar Chadh Ke Bolta Hai,
Din Raat Nashebaaj Aasmaan Dolta Hai,
Yeh Shokh Raat Ke Pal Yeh Timtimate Taare,
Dekho Toh Kaaynaat Ka Ghungat Woh Kholta Hai,
Dilkash Ada Ki Chhuriya Thandi Hawa Ke Jhonke,
Diwanagi Mein Besudh Daaman Tatolta Hai,
Lekar Milan Ki Pyas Bhatkate Huye Musafir,
Jode Ki Chah Kabutar Par Apne Tolta Hai,
Dariya Ke Paar Yaar Ki Basti Mein Jaan Apni,
Par Raah Mein Jawala Mukhi Dokhaj Ka Khoulta Hai…
TUMHE GAYE HUYE BORSO HOGAYE.
TUMHARI TALASH MAIN HUM DUNIYA MAIN KHO GAYE_______
TUM KEHTE THHE AAWOGE____
DEKHO TUMHARE WADE KO BARSO HOGAY....
AB TO AA BHI JAAO KE HAM EK JHALAK KO TARASTE BARSO HOGAYE...
Dekho Aaj Fir Kismat Ka Faisla Mere Hisse Me Aaya He..
Wo Sapno Ka Mehbub Ab Haqiqat Me Utar Aaya He..
Uff Kya Adaaye Uski, Kya Kaatilana Uska Andaaz He..
Jese Chand Khud Aasman Chor Zamee Par Aaya He..
Ab Ki Zid He Samalu Us Chand Ko Khud Me Par Yaaro..
Usne Ab Tak Is Sitaare Ki Mohabbat Ko Na Jana He..
Uske Liye To Me Bhi Ek Aam Sitara Hu Aur Sitaaro Ki Tarah..
He Kitna Aziz Wo Mere Liye Ab Us Chand Ko Ye Batana He..
Roshni Uski To Har Sitaare Par Padti He Par Yahi Tamanna He..
Ek Din Uski Roshni Par Bas Sirf Aur Sirf Mera Haq Jamana He..
Ha Wo Meri Hogi Ab Ki Yakeen Apni Kismat Par Bhi Hone Laga He..
Kyuki Badi Muddato Ke Baad Meri Kismat Ne Muje Pehchana He..
Tamanna To Bahut He Dil Me Par Sabse Aziz Kuch Ye He Yaaro..
Zukkar Uske Kadmo Me Use Apni Mohabbat Ka Khuda Banana He.. Mine..
Main Tumhe Dhundhne Savar Ke Dawar Tak,
Roj Jata Raha Roj Aata Raha,
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha…
Zindagi Ke Sabhi Raste Ek The,
Sabki Manjil Tumhaare Chayan Tak Nahi,
Aparkaasit Rahe Peer Ke Upnishad,
Man Ki Gopan Kathayein Nayan Tak Rahi,
Pran Ke Pej Par Priti Ki Alpana,
Tum Mitaati Rahi Main Banata Raha,
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha…
Apni Udas Dhoop Toh Ghar Ghar Chali Gayi
Yeh Roshni Toh Lakir Ke Bahar Chali Gayi,
Nila Safed Coat Jamee Par Bichha Diya
Fir Mujhko Aasman Par Lekar Chali Gayi,
Kab Taj Jhulsati Ret Par Chalti Tumhare Sath
Dariya Ki Mouj Dariya Ke Andar Chali Gayi,
Hum Log Unche Pul Ke Neeche Khade Rahe
Ulta The Balb Roshni Upar Chali Gayi,
Lahron Ne Gher Rakha Tha Sare Makan Ko
Machhli Kidhar Se Kamre Ke Andar Chali Gayi…
Kya Khoob Yeh Safar Chalta Jo Tu Humsafar Milta
Manzil Tou Hum Se Chin He Gayi Ab Tou Raasta Bhi Nahi Milta
Kaash Hota Mumkin Muqqaddar Badal Paana
Par Afsos Ki Taqqdeer Ka Likha Yun Nahi Mit Paata
Pata Tha Tut Jaana Hai Ek Din Fir Bhi Na Jaane Kyun
Har Raat Har Din Naye Khwab Tha Boonta
Tujhe Paane Ki Zid Thi Har Lamha Har Pal
Na Kisi Zulm O Sitam Na Anjaam Ka Darr Tha
Kya Karoon Ki Zor Chalta Nahi Khud Pe
Tujhe Dekh K Bhi Ishq Na Karta Tou Kya Karta
Tu Tha To Tha Yakeen Ki Khuda Bhi Hai Yaheen
Har Sakhsh K Chehre Mein Khuda Nahi Milta
Ab Kya Ibaadat Kya Dua, Kiske Aage Karun Sajda
Kis Kaam Ke Maszid Jab Khuda Hi Na Mil Sakka
Chhod Aayi Thi Main Tera Voh Shaher,
Soch Ke Yeh Ki Bhul Jaungi Tujhe Main,
Par Itni Door Aakar Bhi Na Bhul Payi Main Tujhe,
Soch Ke Yeh Ki Tadpaungi Tujhe Main…
Par Tadapati Rahi Main Khud Itni,
Jaise Shama Jalti Hai Parvane Ke Liye,
Kash Samja Hota Tune Pyar Ko Mere,
Na Aaj Hum Tum Dono Is Halat Me Hote…
Jeete Hain Na Chain Se Na Mar Sakte Hain,
Kyoki Wada Jo Kiya Hai Maine Tujse,
Na Yaha Voh Pyari Si Bahare Hain,
Na Yaha Voh Pyari Si Chahat Hain…
Na Yaha Voh Bahti Nadiyan Hain,
Na Yaha Voh Nila Aasmaan Hain,
Ye Sab Kuch Bhi Nahi Hai Tumhare Bina,
Tujse Hi To Judi Sari Muskan Meri Hai…
Ab Aakhri Gujarish Hai Meri Tujhse,
Bhul Ja Tu Mujko Ki Mera Bhulna Aasan Ho Jaye…..
Aadmi Roj Roj Thoda Thoda Marta Hai,
Vakt Ne Tarike Aise Kayi Nikale Hain,
Itne Makkar Log Kaise Ho Gaye Abke,
Dikhne Mein Dekhiye Toh Kitane Bhole Bhale Hain,
Bolna Bhool Gaya Dundhta Hai Totta Ghar,
Kali Billi Ne Uske Bachhe Mar Dale Hain,
Sadak Banate Huye Mar Gaya Budda Koi,
Bookh Se Sukhi Antdiya Badan Pe Chhale Hain…
Ab Hai Kiska Intezaar ,
Dil Dukhega Baar Baar,
Raat Til Til Sarkati Hai,
Chhed Dardile Sitar,
Sans Sans Pahad Jaisi,
Sadiyo Lamba Hai Udhar,
Koisko Aana Hai Yahan Ab,
Nahi Jinda Koi Yaar,
Chhdkar Doli Nadi Par,
Chhip Gaye Charon Kahar,
Dil Ki Baaten Dil Mein Rakhna,
Karen Kis Ka Aitbaar…
Paro Mein Noor Hai Udan Mein Hararat Hai
Lahu Hawa Mein Kisi Subah Ki Sahadat Hai,
Kisi Ka Pyar Mujhe Na Der Tak Rok Saka
Mere Badan Mein Hawa Ki Koi Khayalat Hai,
Fiza Mein Dhuni Huyi Ruyi Ke Jaire Mile
Kahan Kahan Mere Ehsas Ki Komlata Hai,
Safed Barf Ke Khargosh Gud Gudane Lage
Latif Sardiyo Mein Narm Narm Garmi Hai…
Tanhaiyan Khamoshiyan Gham Salonsal,
Ab Nahin Uthta Hai Koi Bhi Khyal,
Dard Ko Ab Kuchh Dusra Naam De Do,
Khatm Hi Hota Nahin Iska Kamal,
Haay Bachpan Ki Kahani Narm Najuk,
Laplapata Zindagi Ka Har Sawal,
Nahi Lajjat Ab Tumahare Khwab Mein Bhi,
Sikayat Kaisi Bhala Kaisa Malal,
Door Tak Hai Apni Masti Ka Surur,
Jankar Bhi Kya Karoge Mere Haal…
Dil Ke Hathon Duniya Hai Majboor,
Pass Rahkar Bhi Kinare Door,
Laakhon Saalon Se Timkate Taare,
Chandani Hai Abhi Tak Mashoor,
Ped Ki Woh Ghani Chaya Ab Nahin,
Kaat Dete Daaliyan Majdoor,
Dawaon Par Chal Rahi Beemar Duniya,
Sabhyatayein Huyi Thak Kar Choor,
Chaand Sooraj Tak Jaane Ki Tamanna,
Aadmi Hone Ke Laakh Fitoor…
Abhi Jameer Mein Thodi Si Jaan Baki Hai,
Abhi Hamara Ko Imtehaan Baki Hai,
Hamare Ghar Ko Toh Ujde Huye Jamana Hua,
Magar Suna Hai Abhi Woh Makan Baaki Hai,
Hamari Unse Jo Thi Baat Woh Khatam Huyi,
Magar Khamosh Sa Kuchh Darmiyan Baaki Hai,
Hamare Jahan Ki Basti Mein Aag Aisi Lagi,
Ki Jo Tha Khak Hua Ik Dukan Baaki Hai,
Woh Jakham Bhar Gaya Arsa Hua Magar Ab Tak,
Jara Sa Dard Jara Sa Nishaan Baaki Hai,
Jara Si Baat Jo Faili Toh Dastan Ban Gayi,
Woh Baat Khatm Huyi Daastan Baaki Hai….
Sadiyon Se Is Jamin Ka Vaaris Tha Aadmi,
Kadmo Mein Kaynat Par Dil Ke Vajood Mein Kami,
Chand Aur Sitaron Ka Mel Tha Aasman Mein,
Us Vakt Se Hi Jaati Nahin Aankho Ki Nami,
Sabke The Nagar Apne Senayen Apni Apni,
Barud Ki Ghatayen Thi Din Rat Maatmi,
Hai Fool Bhi Khusbu Bhi Badal Bhi Hai Hawa Bhi,
Insaniyat Ka Jajba Hai Taksal Damdami,
Hansati Huyi Tamanna Gate Huye Musafir,
Hain Aadmi Ke Jalwe Kis Baat Ki Gami…
Dekh Sunkar Asliyat Dil Fat Gaya,
Paake Uska Likha Khat Dil Phat Gaya,
Bhesh Sadu Ka Banakar Chal Diye,
Aisi Unki Mohabbat Dil Fat Gaya,
Ek Nanhi Jaan Aur Sitam Hazaron,
Karte Karte Ibadat Dil Phat Gaya,
Khun Ke Riste Bhi Bemani Huye Ab,
Samjhate Hi Yeh Sifat Dil Phat Gaya,
Adab Pahle Yahan Ki Pahchan Si Thi,
Beadab Ab Siyasat Dil Fat Gaya…
Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna,
Na Sar Pathar Se Takraye Toh Kahna,
Yeh Gull Kagaj Hain Yeh Jewar Hain Peetal,
Samajh Mein Jab Yeh Aa Jaye Toh Kahna,
Bahut Khus Ho Ke Usne Kuchh Kaha Hai,
Na Kahkar Woh Mukar Jaaye Toh Kahna,
Bahal Jaaoge Tum Gham Sun Kar Mere,
Kabhi Dil Gham Se Ghabraye Toh Kahna,
Dhuan Jo Kuchh Gharo Se Uthh Raha Hai,
Na Poore Sahar Par Chhaye Toh Kahna…