Most hardest, funniest, unforgetable moments in life
~In exam, when ur pen finishes, and still u want to write blunders
~wen ur task is almost finished on computer, n lite goes out
~In a long que, when ur turn comes, respondent says “Times over, sorry”
~Wen u wake up v.late and u have v.short time to go at school/office. N u just wear that shirt, pant n dress that is in washing machine
~Wen ur friend says b4 test, “yara mujhe kuch nai ata” n he got more marks than u
~Wen u have just few coins in ur pocket, and ur friend says, “kyun jigr! phir aj kia khila raha hai?”
~Wen ur friend says, b4 exam time, jigger ye chapter 1 ghantay se kyun parh raha hai, ye tu sir ne churwa dia tha…..
Khushiyon Se Naraz Hai Meri Zindagi
Pyar Ki Mohtaj Hai Meri Zindagi
Has Leta Hoon Logo Ko Dikhane Ke Liye
Varna Dard Ki Kitab Hai Meri Zindagi
Har Koi Kisi Ki Majboori Nahi Samajhta
Dil Se Dil Ki Doori Nahi Samajhta
Koi To Kisi Ke Bina Mar Mar Ke Jeeta Hai
Aur Koi Kisi Ko Yaad Karna Bhi Jaroori Nahi Samajhta
Na Jaane Kyon Abhi Ek Aansoo Aankh Se Chhalka
Dil Ko Shayad Uski Yaad Aayi
Chaahat Hai Itni Hume Us Se Milne Ki
Hanste Huye Bhi Aankhe Bhar Aayi
Barbaad Ho Gaye The Hum Duniya Ne Yun Humko Sataya Tha
Har Ek Mod Pe Hum Girte The Kisi Ne Bhi Na Humko Uthaya Tha
Tab Tune Hi Sanam Ek Umeed Ka Diya Jalaya Tha
Apne Har Ek Gam Ko Chupakar Mujhe Jeena Sikhaya Tha…
Safar Mein Dhoop Toh Hogi Jo Chal Sako Toh Chalo,
Sabhi Hain Bheed Mein Tum Nikal Sako Toh Chalo,
Yahan Kisi Ko Koi Rasta Nahin Deta,
Mujhe Gira Ke Tum Sambhal Sako Toh Chalo,
Har Ek Safar Ko Hai Mahfooj Raasto Ki Talash,
Hifajato Ki Ravayaj Badal Sako Toh Chalo,
Yahi Hai Zindagi Kuchh Khwab Chand Ummiden,
Inhi Khilono Se Tum Bhi Bahal Sako Toh Chalo,
Kisi Ke Waste Rahein Kahan Badlati Hain,
Tum Apne Aapko Khud Hi Badal Sako Toh Chalo…
Aakhon Ka Kajal Sayahi Bana,
Dil Ka Bana Hai Kagaj,
Jo Juba Se Na Kaha,
Use Patr Mein Likha Samajhakar,
Khat Aaya Hai Unka,
Ji Chahta Hai Laga Lu Sine Se,
Dar Lagta Hai,
Kahin Bhig Na Jaaye Pasine Se,
Jab Tumhe Bhulna Chaahen,
Tera Khayal Aa Jata Hai,
Tera Patr Padhte Hi,
Hamein Tum Pe Payar Aa Jata Hai…
Jamana Lakh Ho Dusman Chahe Is Mohabbat Ka,
Mohabbat Karne Wale Darte Hain Is Jamane Se,
Dil Ki Baat Juba Tak Aati Kah Nahi Sakte,
Dil Li Hasrat Dil Mein Liye Rah Nahin Sakte,
Na Hi Tum Tadpo Nahi Humko Tadpao,
Do Roohe Milane Do Ek Jaan Ban Jaao,
Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hain So Tadbiren,
Mout Tum Toh Nahin Ho Ke Bula Bhi Na Sakun,
Hume Bhi Neend Na Aayegi Hum Bhi So Na Sakenge,
Abhi Kuchh Bekarari Hai Sitar Tum Bhi So Jaao…
Main Uska Woh Mera Hai,
Janam Janam Ka Fera Hai,
Hai Toh Woh Aajad Pawan,
Par Tufano Ne Ghera Hai,
Hawa Hawa Par Madhur Madhur,
Jiwan Chitar Ukera Hai,
Kaisi Kasi Rachnayein Hain,
Woh Hairatkhej Chitera Hai,
Dil Bahlane Khatir Sabka,
Ugta Naya Savera Hai…
A Little Girl and Her Father were Crossing a Bridge.
The Father was Kind of Scared So He Asked His Little Daughter “Sweetheart, please Hold my Hand So that You Don’t Fall into the River.”
The Little Girl Said, “No, Dad. You Hold my Hand.”
“What’s the Difference? Asked the puzzled Father.
“There’s a Big Difference” replied the Little Girl.
“If i Hold Ur Hand and Something Happens to me, Chances r dat i may Let Ur Hand Go. But if U Hold my Hand, i Know For
Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya,
Aur Fir Main Door Se Dekha Kiya,
Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usul,
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,
Bandh Gayi Thi Dil Mein Kuchh Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Achha Kiya,
Kuchh Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,
Kya Batau Kon Tha Jisne Mujhe,
Is Bhri Duniya Mein Hai Tanha Kiya…
Jakham Dil Mein Jahan Mahkata Hai,
Isi Kyari Mein Tha Gulab Koi,
Rat Bajti Thi Door Sahnayi,
Roya Pikar Bahut Sharab Koi,
Dil Ko Ghere Hain Rojgar Ke Gham,
Raddi Mein Kho Gayi Kitab Koi,
Kon Sa Jakham Kis Ne Diya Hai,
Iska Rakhe Kahan Hisaab Koi,
Fir Main Sunane Laga Hu Is Dil Ki,
Aane Wali Hai Fir Musibat Koi…
Seham Gaya Hu Andhero Se Koi Chiraag To Jalaye
Raste Bhi Veeran Manzil Bhi Nahi Hai Aansan
Koi Ek Ishara To Dikhlaye Toot Ke Bikhara Sa Ja Raha Hu
Koi To Rishto Se Jodkar Jaye
Bhut Dino Se Kismat Banzar Padi Hui Hai
Koi Thodi Reham Ki Barish To Kar Jaye
Log Kehte Hain Badle-Badle Se Lag Rahe Hai Hum
Zara Koi Aaina To Dikhaye
Log Kehte Hai Ki Hum Tanhaiyo Me Jiya Krte Hai
Wo Hai Humare Pas Koi Ye Ehsas To Dilaye
Ye Sunkar Har Zakhm Hara Ho Gaya
Waqt In Par Thodi Marham To Lagaye
Nahi Rok Sakte In Chalkti Aankho Se Aansuo Ka Behna
Koi Inhe Poch Kar To Dikhlaye
Kehte Hai Jeet Lenge Zindagi Jo Unka Sath Hoga
Par Koi Ye Wada Nibha Ke To Batlaye
In The Face Of Madness Armed
I Will Howl Here
As One Who Knows Guns -
Yet Fears Violence,
Age And God’s Grace
Forming A Peculiar Vision.
There Is The Bottom Line
Technology Is Not Neutral
War’s Dead And Suffering Testify
Technology Is Not Neutral.
Hunting Deer
With Ball And Powder
Is Not The Threat.
Technology Is No More Neutral
Than A Bolt Slamming Into Battery,
The Dead Sing This
In Choruses From Their Graves.
If We Can Care -
Understand
What This Means -
We Can Hear Their Song.
Copyright Almost Always Retained Is Released To The Public Domain Out Of The Author’s Grief For The Twenty Children Who Were Killed. Kindly Credit: W.A. Grace
Jab Karna Tha Door Khuda Ne Kyun Wo Mujhe Milayi
Jis Manzil Pe Kabhi Mera Naam Nahi Tha…
Jise Paana Mere Bas Ka Kaam Nahi Tha
Kyun Raah Dikhayi Pehle Fir Baad Me Kyun Chhudwai
Aksar Baaten Karte Hain Mai Aur Meri Tanhai
Main Bhi To Kabhi Khush Rehta Tha
Har Koi Mujhe Zindadil Kehta Tha..
Kyun Chheen Li Saari Khushiyan Meri
Kyun De Di Udaasi Aur Tanhaai..
Aksar Baaten Karte Hain Mai Aur Meri Tanhai
Par Sunle Khuda Ye “RAJAN” Kehta Hai
Kya Dekar Dukh Hi Tu Khush Rehta Hai..
Kya Tujhse Koi Gila Na Karun Main
Aur Dikhaun Na Tujhse Koi Bhi Ruswaai…
Aksar Baaten Karte Hain Mai Aur Meri Tanhai…
Biwi Nahin Saath Mein,
Toh Pardesh Kya Hoga,
Dil Nahin Saath Mein,
Toh Sandesh Kya Hoga,
Shadi Ka Maja Suhag Raat Mein,
Pyar Ka Maja Mulakat Mein,
Husn Ka Garm Bajar Ho Toh,
Baai Ka Maja Baarat Mein….
Jo Ho Ik Baar Voh Har Baar Ho Aisa Nahi Hota
Hamesha Ek Hi Se Pyar Ho Aisa Nahi Hota
Har Ek Kashti Ka Apna Tajurba Hota Hai Dariya Mein
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota
Sikha Deti Hain Chalna Thokrein Bhi Raahgiro Ko
Koi Rasta Sada Dushwar Ho Aisa Nahi Hota
Kahi To Koi Hoga Jiski Apni Bhi Zaroorat
Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho Aisa Nahi Hota
Aadami Hona Hansi Majak Nahin,
Aur Kuchh Is Se Dardnaak Nahin,
Roj Pina Hai Khoon Ke Aansu,
Hai Dikhana Ke Jigar Chaak Nahin,
Ab Nahin Zindagi Se Riste Hain,
Par Abhi Tak Hua Talak Nahin,
Savh Toh Kahna Tha Magar Narmi Se,
Is Kadar Hona Tha Bebak Nahi,
Arse Se Chaha Tha Fanna Hona,
Abhi Talak Toh Hua Khak Nahin…
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Sharmati Nahi,
Palkein Jhukaake Apni, Muskurati Nahi,
Apne Gulaabi Labon Se Kuch Haseen Bol Ke,
Is Dil Ko Kyun Phir Se Dhadkati Nahi.
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Paas Aati Nahi,
Nazron Ke Ishaare Kuch Keh Jaati Nahi,
Sapne Satrangi Se Aankhon Mei Mujhe Dikhake,
Kyun Phir Se Meri Neendein Churati Nahi.
Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Khaylon Mei Aati Nahi,
Seene Se Mujhe Lagake Koi Geet Sunati Nahi,
Lamhe Kuch Khoobsurat Se Mere Saath Bitaake,
Kyun Phir Se Mujhme Kho Jaati Nahi…
Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,
Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,
Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,
Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka…