Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
E Mere Humsafar, Tumse Itna Pyar Karne Lagi Hu,
Har Pal Me Tera Saath Chahne Lagi Hu,
E Dost Tumse Itne Sapne Sajaye Baithi Hu,
In Sapno Ko Tum Tutne Mat Dena,
Har Kadam Par Tum Mere Sath Nibhana,
Galti Hone Par Tum Muje Daant Lena,
Par Tanha Hume Na Tum Chhod Jana,
E Mere Humsafar, Tumse Itna Pyar Karne Lagi Hu,
Mere Is Pyar Ko Kbhi Tum Kum Mat Hone Dena,
Gam Me Sahi Par Khushi Me Rone Mat Dena,
Kaunsa Dard Liye Baithi Hu Kisise Na Kehna,
Kyoki Khud Se Bhi Jyada Tumhe Pyar Krne Lagi Hu….
Har Chamakti Kurbat Mein Ek Faasla Dekhu
Kaun Aane Wala Hai, Kiska Raasta Dekhu
Sham Ki Dhundh Hai Ya Udas Mamta Hai
Bhooli Bisri Yaadon Se Foot-Ti Dua Dekhu
Lehar-Lehar Pani Mein Doobta Hua Suraj
Kaun Mujhme Dar Aaya Uth Ke Aaina Dekhu
Lehlhate Mausam Mein Tera Zikr Bahar Jaisa
Shakh-Shakh Per Tere Naam Ko Hra Dekhu
Main Tumhe Dhundhne Savar Ke Dawar Tak,
Roj Jata Raha Roj Aata Raha,
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha…
Zindagi Ke Sabhi Raste Ek The,
Sabki Manjil Tumhaare Chayan Tak Nahi,
Aparkaasit Rahe Peer Ke Upnishad,
Man Ki Gopan Kathayein Nayan Tak Rahi,
Pran Ke Pej Par Priti Ki Alpana,
Tum Mitaati Rahi Main Banata Raha,
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha…
A Day Will Come When We Will Be Together
How Long It Takes Doesn’t Matter
We Will Go To A Place Which Is Beautiful And Quite
Enjoying Food In Candle Light
Silent Music Will Increase The Grace
And Moon Light Will Add Beauty To Her Face
Together We Will Look At Stars For Long
And Then We Will Dance On Her Favourite Song
Whole Night We Will Spend Looking At Moon
Having Her Hand In Mine I’ll Make It Clear Soon
No One Can Take Your Place In My Life
Can We Be Husband And Wife?
If She Agrees Then It’s Time For Us To Fly
And If She Says No Then Its Better For Me To Die
Khuda Ki Rehmat Hai Humpar Jo Unka Pyaar Mila,
Janaat Se Haseen Kai Yaadon Ka Uphaar Mila,
Kyun Karen Hum Us Khuda Se Ab Koi Shikwa Koi Gila,
Jisne Humko Maa Ka Pyar Dilaya Jisko Paakar Mei Aur Tu Khila….
Kyun Bhool Jaate Hain Hum Us Maa Ko Waqt Ke Saath-Saath,
Nahin Rehta Humko Unka Koi Khayaal,
Kya Hota Hoga Us Maa Ke Dil Ka Haal,
Jisne Hamare Liye Bhula Diya Apna Har Ek Khwaab….
Kyun Khayaal Nahin Rehta Humko Unka,
Wo To Bas Har Pal Hamari Yaad Karti Hai,
Jab Bhi Jaati Hai Kisi Mandir Ya Masjid Mein,
Sabse Pehle Hamari Salamati Ki Dua Karti Hai….
Kya Wajood Hoga Hamara Jo Hum Unko Bhool Jaayen,
Phir Kabhi Tanhai Mei Hum Khud Ko Hi Tadpaayen,
Roye Hum Behisaab Koi Aanshu Pauchene Na Aaye,
Khud Ko Yuhin Koste Rahe Aur Bas Pachtaayen….
Isliye Chaahe Kuch Bhi Ho Aage,
Us Maa Ko Tum Bhool Na Jana,
Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe,
Us Maa Ko Khushi Diye Jana,
Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal,
Sada Khush Rehna Aur Muskurana….
Kabhi Palat Kar Dekho Duniya,
Kya Lamba Choda Afsana,
Najron Mein Aa Jaye Mohabbat,
Chal Nikalega Gham Begana,
Dil Ke Hathon Dard Uthakar,
Bhatak Raha Ab Tak Diwana,
Vaise Toh Anmol Zindagi,
Kyu Kodi Ke Bhav Lutana,
Desh Ki Mitti Chandan Jaisi,
Are Doodh Ki Laaj Nibhana…
Wo Mujhe Mehndi Lage Hath Dikha Kr Royi,
Main Kisi Aur Ki Hun Bas Etna Bataa Kar Royi,
Shaayad Umar Bhar Ki Judai Ka Khayaal Aaya Tha Use,
Wo Mijhe Pass Apne Bitha Kar Royi,
Dukh Ka Ehasaas Dila Kar Royi,
Kbi Kahati Thi Ki Main Nan Jee Paungi Bina Tumhare,
Aur Aaj Ye Baat Dohra Kar Royi,
Mujhse Jyada Bichdane Ka Gum Tha Use,
Waqt-A-Rukshat Wo Mujhe Seene Se Lagaa Kar Royi,
Main Bekasoor Hun Kudrat Ka Faisla Hai Yeh,
Lipat Kr Mujhse Bas Woh Itna Bataa Kar Royi,
Mujh Par Dukh Ka Pahaad Aik Aur Tutta,
Jab Woh Mere Saamne Mere Khat Jala Kar Royi,
Meri Nafrat Aur Adawat Pighal Gayi Ek Pal Mein,
Woh Bewafa Hai To Kyun Mujhe Rula Ke Royi,
Sab Gile-Shikwe Mere Ek Pal Mein Badal Gaye
Zheel Si Aakhon Mein Jab Aansu Sazaa Kar Royi,
Kaise Uski Mohabbat Par Shak Karein Hum,
Bhari Mahfil Mein Woh Mujhe Gale Lagaa Kar Royi…
Ek Din Jab Beet Jayega Yeh Pal,
Ek Din Jab Yaad Karoge Yeh Pal,
Ek Din Hum Bhi Honge,Shayed Ek Yaad Ka Hissa,
Shochenge Jab Bethkar,Jaane Kon Pagal Si Ladki Thi,
Ek Jhalli Si Ladki Thi,Jane Kya Kya Wo Kehti Thi,
Kabhi Chup Na Rahti Thi,Mohabbat Humse Krti Thi,
Aur Ye Kehti Bhi Rehti Thi,
Hamein Tumse Mohobbat Nahin,
Kahi Tum Door Na Hona,Ki Hum Fir Jee Na Payenge,
Ek Pal Bhi Jo Roothe Tu Hum Toh Mar Hi Jayenge,
Fir Khatam Huyi Sab Baatein,Nikal Aaye Hum Aage,
Chhudakar Daaman Hum Unse,Chale Aaye Hum Aage…
Kya Khoob Yeh Safar Chalta Jo Tu Humsafar Milta
Manzil Tou Hum Se Chin He Gayi Ab Tou Raasta Bhi Nahi Milta
Kaash Hota Mumkin Muqqaddar Badal Paana
Par Afsos Ki Taqqdeer Ka Likha Yun Nahi Mit Paata
Pata Tha Tut Jaana Hai Ek Din Fir Bhi Na Jaane Kyun
Har Raat Har Din Naye Khwab Tha Boonta
Tujhe Paane Ki Zid Thi Har Lamha Har Pal
Na Kisi Zulm O Sitam Na Anjaam Ka Darr Tha
Kya Karoon Ki Zor Chalta Nahi Khud Pe
Tujhe Dekh K Bhi Ishq Na Karta Tou Kya Karta
Tu Tha To Tha Yakeen Ki Khuda Bhi Hai Yaheen
Har Sakhsh K Chehre Mein Khuda Nahi Milta
Ab Kya Ibaadat Kya Dua, Kiske Aage Karun Sajda
Kis Kaam Ke Maszid Jab Khuda Hi Na Mil Sakka
Tujhey Ek Baar Dekhtey He Dil Mei Teri Tasvir Chhap Gayi
Mujhey Kya Pata Tha Wo Teri Haseen Muskan Meri Taqdir Ban Gayi
Doondh Rahey They Jisko Barso Se Wo Jagir Mil Gayi
Tuney To Pehchana Nahi Pagal Par Hamey Hamari Tabir Mil Gayi
Jhooth Kehtey Hai Log Kwaab Hakikat Mei Nahi Miltey
Tujhey Chaha Tha Kwabo Me Aur Tu Hakikat Me Mil Gayi
Suna Tha Pyar Pakar Badal Jati Hai Jindganiya
Tujhey Pakar Hi Ye Jana Ki Anjaney Mei Hi Sahi Par Meri Jindgani Badal Gayi
Mei Nahi Janta Ke Tuney Kya Kiya
Par Terey Yu He Mill Janey Se Meri Duniya Badal Gayi
Iss Viraney Mei Hum To Gumnam They
Terey Aaney Se Ek Pehchan Mil Gayi
Kab Se Door Ja Raha Tha Is Zalim Duniya Se
Par Terey Pehloo Mei Aakey Chain Ki Saans Mil Gayi
Khabi Mujh Se Juda Na Hona Merey ‘Maazi’ Agar Hoye Juda
To Samaj Lena Terey Iss Deewane Ki Rooh Khuda Se Mill Gayi…
Mujhe Chahna Bhool Jana, Ye Tere Haq Ki Baat Hai
Teri Zustzu Teri Ibaadat, Meri Jindgi Ka Kaam Hai
Jeewan Ke Safar Me Humraah Bnana Chahte Hain
Khuda Ki Kasam Hum Tumhe Bhout Chahte Hain
Tere Naam Ke Aane Se Kyu Mera Naam Badnaam Ho Gaya
Mohabbat To Chupkar Ki Thi Charcha Kyu Ye Aam Ho Gaya
Mera Pyar Koyi Shouq Nhi Dil Lgane Ka
Dekha Jab Husn To Ishq Pharma Diya
Muqabala Hum Se Na Karo Apani Wafa-E-Mohabbat Ka
Janmo-Janm Mohabbat Me Jaan Deneki Kasam Khai Hai…
Kuchh Kuchh Khara Kuchh Kuchh Mitha,
Phool Aur Pathar Ka Rista,
Ghunghat Se Jhanke Hain Vayakul,
Sasur Se Nahar Ka Rista,
Badal Ne Paani Barsaya,
Sahar, Gaanv, Basti ,Parbat Par,
Baras Rahi Bundo Se Kya Hai,
Is Athah Sagar Ka Rista,
Chalne Wale Ka Ruk Jana,
Mout Nahin Hai Toh Aur Kya Hai,
Kaisa Hua Musafir Se Antim Kisi Safar Ka Rista…
Mohabbat Main Khata Huyi,
Jakhmi Dil Ki Duhaayi Hai,
Mere Jakhmi Dil Mein Unhe,
Apni Chahat Najar Aayi Hai,
Hamein Sudharne Ki Unki,
Koshise Nakaam Ho Gayi Hain,
Aaj Dekho Meri Chahat Nilam Ho Gayi Hai,
Kali Dil Ki Khili Thi Tere Paigam Ke Sath,
Dor Sans Ki Tuti Thi Bewafayi Ke Jam Ke Saath…
Mili Na Tanhai Shirkat Me Aap Ki
Mili Na Judai Nafrat Me Aap Ki
Huye Begaane Is Azl Se Tamaam Umr Aur
Na Hi Mili Wafai Mohabbat Me Aap Ki
Hame To Mila Wafaa-E-Gham Mohabbat Me Aap Ki
Na Jane Hue Kitne Gunaah Ibadat Mein Aap Ki
Kya Hua Jab Hue Na Shaamil Zindagi Me Aap Ki
Kar Lenge Basar Bas Khwaboan Me Aap Ki
Na Rahi Tamanna Hame Apno Ki
Khatm Hui Zindagi Jab Ghamgeen Sapno Ki
Na Ho Khush Itna Aye “Tanveer”
Zindagi To Hai Sirf Chand Lamho Ki…
Fitraton Ke Dor Se Dil Bhar Gaya,
Chada Dariya Bin Baat Utar Gaya,
Ek Nanhe Fool Sa Aaya Chaman Mein,
Aadmi Ho Baad Mein Pathar Gaya,
Dekhne Layak Bahut Kuchh Tha Jahan Mein,
Dekhte Hi Dekhte Woh Mar Gaya,
Apni Apni Najar Ka Toh Najara Hai,
Dara Sahma Vakt Aaj Gujar Gaya,
Aajkal Kuchh Alag Duniya Ke Tarike,
Judte Judte Duniya Ka Honsala Hi Bikhar Gaya…
Dil Ka Phool Khila Do,
Man Ki Galiya Mahka Do,
Aayega Aane Wala Jo,
Kuchh Usko Naya Naya Do,
Fir Aage Pichhe Padhna,
Filhaal Use Rutba Do,
Hai Agar Jitna Usko,
Nolakha Haar Pahna Do,
Pana Ho Agar Mohabbat,
Aansu Ki Nadi Baha Do,
Insano Ki Har Khubi,
Bachhe Bachhe Ko Sikha Di Hai…
Woh Keh Ke Chal Diye Ki Itni Mulaqaat Bahut Hai,
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansu Mere Tham Jayein To Phir Shoq Se Jana,
Aise Main Kaun Mujhe Sambhalega Barsaat Bahut Hai,
Wo Kehne Lage Jana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahta Dil Todun Tera Par Majboori Hai,
Gar Huyi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena,
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,
Samajh Gaya Hun Sab Aur Kuch Kehna Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jaun,
Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai,
Phir Kabhi Na Aaunga Tumhari Zindagi Mein,
Lout Ke,
Saari Zindagi Ki Tanhai Ke Liye, Aaj Ki Raat
Bahut Hai…