Kya Khoob Yeh Safar Chalta Jo Tu Humsafar Milta
Manzil Tou Hum Se Chin He Gayi Ab Tou Raasta Bhi Nahi Milta
Kaash Hota Mumkin Muqqaddar Badal Paana
Par Afsos Ki Taqqdeer Ka Likha Yun Nahi Mit Paata
Pata Tha Tut Jaana Hai Ek Din Fir Bhi Na Jaane Kyun
Har Raat Har Din Naye Khwab Tha Boonta
Tujhe Paane Ki Zid Thi Har Lamha Har Pal
Na Kisi Zulm O Sitam Na Anjaam Ka Darr Tha
Kya Karoon Ki Zor Chalta Nahi Khud Pe
Tujhe Dekh K Bhi Ishq Na Karta Tou Kya Karta
Tu Tha To Tha Yakeen Ki Khuda Bhi Hai Yaheen
Har Sakhsh K Chehre Mein Khuda Nahi Milta
Ab Kya Ibaadat Kya Dua, Kiske Aage Karun Sajda
Kis Kaam Ke Maszid Jab Khuda Hi Na Mil Sakka
E Mere Humsafar, Tumse Itna Pyar Karne Lagi Hu,
Har Pal Me Tera Saath Chahne Lagi Hu,
E Dost Tumse Itne Sapne Sajaye Baithi Hu,
In Sapno Ko Tum Tutne Mat Dena,
Har Kadam Par Tum Mere Sath Nibhana,
Galti Hone Par Tum Muje Daant Lena,
Par Tanha Hume Na Tum Chhod Jana,
E Mere Humsafar, Tumse Itna Pyar Karne Lagi Hu,
Mere Is Pyar Ko Kbhi Tum Kum Mat Hone Dena,
Gam Me Sahi Par Khushi Me Rone Mat Dena,
Kaunsa Dard Liye Baithi Hu Kisise Na Kehna,
Kyoki Khud Se Bhi Jyada Tumhe Pyar Krne Lagi Hu….
Sabhi Se In Dino Rutha Hua Sa Lagta Hu
Main Apne Aap Ko Ab Bewafa Sa Lagta Hu,
Tamam Raat Main Girati Huyi Haweli Mein
Dilon Se Nikali Huyi Baddua Sa Lagta Hu,
Mainwoh Khajan Hu Hakdar Jiski Duniya Hai
Hajr Hisso Mein Banta Hua Sa Lagta Hu,
Meri Talash Badstur Abhi Bhi Jaari Hai
Woh Mil Gaya Hai Main Khoya Hua Sa Lagta Hu,
Meri Hansi Se Udasi Se Ke Phool Khilta Hain
Main Sab Ke Saath Hu Lekin Juda Sa Lagta Hu…
Aati Thi Sapano Mein Ek Murat,
Khayalon Se Bhi Jyada Khoobsurat,
Dekhate Hi Use Mere Dil Ki Dhadkan Tham Gayi,
Mujhe Laga Mere Armano Ki Manjil Mil Gayi,
Mere Khayalon Ki Taabir Ho Tum,
Mere Dil Mein Basi Woh Tasveer Ho Tum,
Shamaa Bankar Jisne Andhere Ko Roshan Kiya,
Titaliyon Ki Tarha Mere Jeevan Ko Rangon Se Bhar Diya…
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
Gul Aur Gulzar Ki Mehak Hai Chaaron Taraf,
Hum Toh Ek Kali Ke Khilne Ke Intezaar Mein Hain,
Bijli Aur Aatish Hain Roshan Chaaron Taraf,
Hum Tho Ek Jugnoo Ki Roshni Ke Intezaar Mein Hain,
Kaarvan Sajaye Chale Ja Rahe Hain Har Raah Par,
Hum Tho Ek Anjaan Rahi Ke Intezaar Mein Hain,
Kash Aaj To Aaaye Woh Humaari Chaukhat Pe,
Aankhein Bichaaye Sadiyon Se Unhi Ke Intezaar Mein Hain…
Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,
Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,
Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,
Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi…
Mere Is Dil Ka Karar Wo The,
Meri Hasrat, Mohabbat Aur Pyar Wo The,
Hum Maut Pa Chuke Hain Is Pyaar Mein,
Par Na Galti Hamari Thi Na Gunehgar Wo The….
Friends Pls Tell Me Will I Got My Love Back?
Chahe Jitne Sitsamgar Tum Sitam Kar Ke Dekh Lo,
Pyar Se Ek Baar Toh Mujhko Nazabhar Dekh Lo,
Raste Mein Isqbbazi Ke Gujar Kar Dekh Lo,
Anjaameulfat Ko Jammane Mein Najar Bhar Dekh Lo,
Paas Mein Aao Na Toh Bachkar Nikal Ke Dekh Lo,
Pyar Se Nafrat Hai Agar Mahaboob Jalkar Dekh Lo,
Jo Hasan Hota Hai Jamaane Mein Aasik Ka,
Aur Ko Samjha Rahe Kya Khud Samajh Kar Dekh Lo…
Dekhne Se Hi Aa Jata Hai Nasha,
Toh Pine Ki Kya Jarurat Hai,
Hoton Se Mat Laga Sanam,
Baasi Bhi Ho Sakti Hai Jhuti Bhi,
Nashe Se Bhari Botal,
Khud Nahin Naachati Sanam ,
Use Kamar Mein Haath Dalne,
Wale Ka Intezaar Jo Rahta Hai,
Sirf Chhuna Hai Agar Tujhko,
Toh Tasveer Se Chhu Lu,
Chhune Ke Baad Ki Tamannao Ka Kya Hoga,
Aapki Adalat Mein,
Meri Kitab Ki Pesi Hai,
Faisla Aap Ke Haath Mein Hai,
Meri Takdeer Kaisi Hai….
Sirf Aankho Se Hi Duniya Nahin Dekhi Jaati,
Dil Ki Dhadkan Ko Bhi Aankh Bana Ke Dekho,
Pathron Mein Bhi Jubaa Hoti Hai Dil Hote Hain,
Apne Ghar Ke Dar O Deewar Saja Kar Dekho,
Faasla Najron Ka Dokha Bhi Ho Sakta Hai,
Chand Jab Chamke Jara Haath Badhakar Dekho,
Woh Sitara Hai Chamkane Do Yun Hi Raaton Mein,
Kya Jaruri Hai Use Jism Banakar Dekho…
Apne College Mein Bahut Magroor Jo Mashoor Hai,
Dil Mera Kahta Hai Us Ladki Mein Hai Chahat Bahut,
Unke Chehre Chand Taaron Ki Tarah Roshan Huye,
Jin Garibon Ke Yahan Husn E Kifayat Hai Bahut,
Hum Se Ho Sakti Nahin Duniya Ki Duniya Dariyan,
Ishq Ki Deewar Ke Shaaye Mein Rahat Hai Bahut,
Dhoop Ki Chadar Mere Suraj Se Kahna Bhej De,
Gurbaton Ka Dour Hai Jaadon Ki Musibat Hai Bahut,
Un Andheron Mein Jahan Sahmi Huyi Thi Yeh Jamin,
Raat Se Tanha Lada Jugnu Mein Himmat Hai Bahut…
Ab Hai Kiska Intezaar ,
Dil Dukhega Baar Baar,
Raat Til Til Sarkati Hai,
Chhed Dardile Sitar,
Sans Sans Pahad Jaisi,
Sadiyo Lamba Hai Udhar,
Koisko Aana Hai Yahan Ab,
Nahi Jinda Koi Yaar,
Chhdkar Doli Nadi Par,
Chhip Gaye Charon Kahar,
Dil Ki Baaten Dil Mein Rakhna,
Karen Kis Ka Aitbaar…
Wo Ho Jo
JANUARY: Ki Dhoop Ho
FEB: Ki Sham Ho
MARCH: Ki Khusbo Ho
APR: Ki Hawa Ho
MAY: Ki Subha Ho
JUNE: Ki Chaaown Ho
JULY: Ki Barish Ho
AUG: Ki Taroon Bhari Rat Ho
SEP: Ki Rim Jhim Ho
OCT: Ki Chandni Raat Ho
NOV: Ki Bahar Ho
AUR
DECEMBER:
Ki Sard Shaam Main Hamare Sath Ho.
Jab Milungi Tumse Khwabo Mein
Mann Me Base Sawalo K Jawab Dhundungi
Phir Se Us Pehli Mulakat Ki Mithas Dhundungi
Tumhe Dekh K Aane Wali Muskan Dhundungi
Dhundungi Fir Tumme Nischal Pehla Pyar
Karte The Jab Tum Har Pal Mera Intezar
Dhundungi Fir Tumme Muje Pyar Se Dekhne Wali Wo Nazar
Goom Rehte The Jisme Duniya Se Bekhabar
Dhundungi Tumme Fir Wahi Jazbato Ka Kona
Muje Dekh Udas Jab, Aa Jata Tha Tumhe Rona
Milungi Jb Tumse Khwabo Me
Puchungi K Kyu Badal Gae Tum
Kyu Mujhe Itna Akela Kar Chhor Gaye Tum
Kyu Na Socha Tumne K Kya Hoga Is Dil Ka
Kyu Kho Gae Tum Jese Koi Jhonka Hawa Ka
Zindagi Meri Badal Kyu Chale Gae Tum
Puchungi Jab Milungi Tumse Khwabo Mein…
Pariyo Si Sunder Ek Ladki Hai
Jaane Kya Jadu Karti Hai
Chahe Jitna Gham Ho
Per Dekh Ke Uski Surat Dil Ko Khushi Milati Hai
Chand Sa Roshan Chehara Hai
Aankho Se Masti Jhalkati Hai
Baate Hain Misri Si Meethi Uski
Awaz Se Koi Koyal Bolati Hai
Rup Hai Uska Koi Khilata Hua Kamal
Usko Dekhkar Hi Shayad Gazal Banati Hai
Kisi Pal Bhi Wo Na Dur Rahi Humse
Her Pal Jo Mere Saanso Me Basti Hai
Pariyo Si Sunder Ek Ladki Hai…
A Day Will Come When We Will Be Together
How Long It Takes Doesn’t Matter
We Will Go To A Place Which Is Beautiful And Quite
Enjoying Food In Candle Light
Silent Music Will Increase The Grace
And Moon Light Will Add Beauty To Her Face
Together We Will Look At Stars For Long
And Then We Will Dance On Her Favourite Song
Whole Night We Will Spend Looking At Moon
Having Her Hand In Mine I’ll Make It Clear Soon
No One Can Take Your Place In My Life
Can We Be Husband And Wife?
If She Agrees Then It’s Time For Us To Fly
And If She Says No Then Its Better For Me To Die