Pathron Ke Shahar Mein Aaina Talash Na Kar
Tu Kisi Ki Bewafai Ka Ehsas Na Kar
Dushmano Ki Aankhon Mein Ek Kask To Milegi
Tu Doston Ki Aankhon Mein Wafa Talash Na Kar.
Kabhi Socha Nahi Tha Ke, Hum Par Aise Bhi Din Aanyege,
Apana Banana Chahenge, Par Kisi Ko Bana Nahi Panyege.
Suna Tha Gair To Namak Chhidka Hi Karte Hain Zakhamon Par,
Par Pata Nahi Tha Ke Kabhi Apne Bhi Tadpanyege.
Har Roj Sham Ko Hum Tere Naam Ka Jaam Utha Lete Hain
Teri Yaadon Se Khud Apna Dil Behla Lete Hain
Jab Kabhi Hasrat Huyi Tujhe Chhune Ki
Teri Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain.
Mujhe Jaankar Koi Ajnabi, Voh Dikha Rahe Hai Gali Gali
Isi Shahar Mein Mera Ghar Bhi Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Voh Samajh Ke Dhoop Ke Devta Mujhe Aaj Poojate Aayeinge
Main Chirag Hoon Teri Sham Ka, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho.
Safina Dooba To Tab Na Khuda Yaad Aaya
Zikre Wafa Hua To Veh Bewafa Yaad Aaya
Vo Jiske Ishq Mein Bhool Gaya Tha Main Doonia
Voh Kaafir Juda Hua To Khuda Yaad Aaya.
aur wo khud hi ajaye unhai mere tadapne ki to khabar ho jaye aur mere shero khata me bhi jo thoda to asar hojaye me ujalo se to bheek maguga nahi chahai zindagi andhere me hi kiyu na basar ho jaye
Humko To Tere Pyar Mein Barbaad Hona Tha,
Chashm Nam Honi Thi Dil Nashad Hona Tha.
Jaroori To Nahi Har Khwab Poora Ho Jaye,
Meri Tammanao Ko Mazloom Ki Fariyad Hona Tha.
Oh Bewafa Mera Dil Todkar Mujhe Chhodkar,
Jahan Bhi Tum Jaoge Tumhe Na Khushi Milegi.
Tere Bhi Honth Tarsenge Muskurane Ke Liye,
Tu Zinda Rahega Magar Tujhe Zindagi Nahi Milegi.