Jeena Chaha Magar Jee Na Sake Tumhare Bina,
Chaak Daaman Hum See Na Sake Tumhare Bina.
Tumne Hume Bhoola Kar, Nayi Doonia Basa Lee,
Hum To Muskura Bhi Na Sake Tumhare Bina.
Main Toot Ke Bikhar Gaya Ye Mahaz Itefaaq Tha
Main Bhi Toh Kal Kisi Ki Nargishi Akhon Ka Khawaab Tha
Aaj To Gagan Ke Taare Bhi Meri Haalat Pe Hansaa Karte Hain
Ye Kal Ki Hi Baat Hai Ki Meri Baahon Mein Mehtaab Tha.
Jabse Bewafa Voh Meri Jaan Ho Gayi
Har Dhadkan Mere Dil Ki Preshaan Ho Gayi
Voh Jabse Gaye Mujhse Haath Chhudakar
Meri Hasin Raahein Bhi Veeran Ho Gayi.
Teri Wafa-Zafa Ke Sawalat Ne Sone Na Diya,
Faisala Khauf Roosvai Ke Khyalat Ne Hone Na Diya.
Hum To Ashkon Se Dho Lete Daage Mohabbat Lekin,
Teri Nargisi Aankho Ke Isharaat Ne Rone Na Diya.
Beh Jayenge Ashk, Daaman Tak Na Milega,
Mere Dil Ke Zakhamo Ko Marhum Tak Na Milega.
Tujhe To Reshmi Aanchal Mil Jayenge,
Mumkin Hai Meri Laash Ko Kafan Tak Na Milega.
Ek Din Ek Ashiq Ne "Khuda" Se Kaha....!
E "Khuda" Tu Kabhi Ishq Mat Karna..,
Bemaut Mara Jayega"
Hum To Mar Kar
Bhi Tere Paas Aate He Par Tu Kaha Jayega.
Oh Bewafa Mera Dil Todkar Mujhe Chhodkar,
Jahan Bhi Tum Jaoge Tumhe Na Khushi Milegi.
Tere Bhi Honth Tarsenge Muskurane Ke Liye,
Tu Zinda Rahega Magar Tujhe Zindagi Nahi Milegi.
aur wo khud hi ajaye unhai mere tadapne ki to khabar ho jaye aur mere shero khata me bhi jo thoda to asar hojaye me ujalo se to bheek maguga nahi chahai zindagi andhere me hi kiyu na basar ho jaye
Usne Tarke Wafa Karke Ghar Basa Liya,
Aur Main Kashamkash Mein Ghar Se Beghar Ho Gaya.
Neend Roothi Aakhon Se, Sakoon Dil Se Gaya,
Ae Dil! Yeh Tere Saath Kya Ho Gaya.
Dekha Hai Jabse Tumko, Mera Dil Nahi Hai Basmein
Jee Chaahe Aaj Tod Doon Dunia Ki Saari Rasmein
Tera Haath Chaahta Hoon, Tera Saath Chaahta Hoon
Baahon Mein Teri Rehna Main Din Raat Chaahta Hoon.
Mere Sab Armaano Ke Phool Murjha Gaye,
Khud Ko Tabah Kar, Jahan Se Door Aa Gaye.
Kaun Jaane Kab Aa Jaye Raham Khuda Ko,
Har Dar Per Jaakar Sir Jhuka Gaye.
Sochoge Jab Bhi Tum Chaahne Waalon Ki Tarah,
Yaad Aa Jayenge Hum Toote Huye Pyaalon Ki Tarah.
Jab Bhi Tannhashab Mein Andheron Se Dar Jaaoge Tum,
Meri Yaadein Fael Jaayengi Ujaalon Ki Tarah.
Hum iss qadar tum per mar mittenge,
Tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhenge
Rakhna har pal iss dil mein hamari yaad,
Hmare bad hmare pyar ki dastan duniya vale likhege