Ishq Ka Qasoor Nahin, Aashiq Dil Ne Maara Hai..
Ishq To Hai Paas Mere, Dil Mera Aawara Hai..
Ab Judai Sahi Na Jaye, Maut Mujhe Gawaara Hai..
K Ab Aa Bhi Jao, Dil Ne Tumhein Pukaara Hai…
Uljhay To Talkhiyon Ki Bhi Had Se Guzar Gaye
Tootay To Kirchiyon Ki Bhi Had Se Guzar Gaye
Nafrat Hui Kisi Se to Be-Inteha Hui ...
Chaha To Chahaton Ki Bhi Had Se Guzar Gaye
Hum Ne Khuda Se Kuch Bhi Na Manga Magar Usy
Manga To Siskiyon Ki Bhi Had Se Guzar Gaye ..
Khawaish thi meri apna rutha yar manane ki,
Us k AANCHAL mai toot kar bikhar jane ki,
Jab pahunche uske aangan mai to dekha,
Wo dua kar rahe the kisi or ko pane ki..
Ek Ye Hi Aarzu Rahi Dil Me Mud’dato’n Se Koi
Hume’n Bhi Chahe Dil Ki Shid’dato’n Se Bohat
Veeran c Hai Zindagi Apni K Koi awaz Dy Hume’n
Aa Kr Mohabbato’n Se.
Jo Pyar Hamesha Sath Rahe Wo Sacha Hai G
Jo Musibaton Mein Kaam Aaye Wo Acha Hai G
Kabhi Kabhi Humse Bhi Ho Jati Hai Nadaniya
Kyonki Dil To Baccha Hai G. Sorry Yaar!iiii
Bichar Gaya Hai To Uska Sath Kya Mangu,
Zara Si Umar Hai Gam Se Nijaat Kya Mangu
Wo Sath Hota To Hoti Zarurtein Bhi Bahot.
Akeli Jaan Ke Liye Kayinaat Kya Maangu.
unki yaad me hum rote rahe,
webafa wo nikle badnaam hum hote rahe,
pyar me madhosi ka alam to dekhiye,
dhool cehre pe thi or hum aina dhote rahe........sooo saddd
Eitebar Zara Soch Ke Karna
Mumkin Nahin Har Jaga Tumhein Hum Milege
Khusboo Ki Tarah Apke Pass Bikar Jayege
Sukoon Ban Kar Dil Main Utar Jayege
Mehsos Karne Ki Khoshish To Kijiye
Door Hote Hue Bhi Hum Pass Nazar Ayege
Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi
kalafaten
kabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan
kabhi qurbaten
ye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab
varaq teri yaad ke
koi lamha subah-e-visal ka, kai sham-e-hijr ke
qurbaten
jo tumhari man lain nasiha to rahega daman-e-dil
mein kya
na kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke
muravvaten
yahin ke thi mohabbat ke sabaq ke ibtada main ne
yahin ke jurrat-e-izhar-e-harf-e-mudd’a main ne
yahin dekhe the ishv-e-naz-o-andaz-e-haya main ne
yahin pahale suni thi dil dhadakane ke sada main ne
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
dilon mein izdaham-e-arazu lab band rehte the
nazar se guftagu hoti thi dam ulfat ka bharate the
na mathe par shikan hoti, na jab tevar badalate the
khuda bhi muskura deta tha jab hum pyar karte the
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
wo kya aata ke goya daur mein jam-e-sharab aata
wo kya aata rangili ragani rangin rabab aata
mujhe ranginiyon mein rangane wo rangin sahab aata
labon ke mein pilane jhumata mast-e-shabab aata
yahin kheton mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi
haya ke bojh se jab har qadam par lagazishen hotin
fazan mein muntasar rangin badan ke larazishen hotin
rabab-e-dil ke taron mein musalasil jumbishen hotin
khifa-e-raz ke purlutf baham koshishen hotin
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bala-e-fikr-e-farda hum se koson dur hoti thi
surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thi
hamari khilwat-e-masum rashq-e-tur hoti thi
malak jhula jhulate the gazal-khwan hur hoti thi
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
na ab wo khet baqi hain na wo aab-e-rawan baqi
magar us aish-e-rafta ka hai ik dhundala nishan baqi
Kuch nasha aap ke baat ka he kuch nasha dhimi barsat ka hai hame aap youhi sarabe mat kahiye ye dil ko pahle aapse mulakat toh kehne degeye.
By HARERAM