Sapne Hai Ankho Me Magar Neend
Kahi Aur Hai, Dil To Hai
Jism Me Magar Dharkan Kahi
Aur Hai, Kaise Bayan Kare Apna
Haal E Dil, Ji To Rahe
Hain Magar Zndgi Kahi Aur Hai..!
Aankho Me Aansu Hatho Me hath
Hai, Khula He Mousam Aur Ho
Rahi Barsath Hai, Dil Me Dard
He Bebasi Ki Raat Hai, Be
Matlab Ki He Duniya Chardin Ki
Jindagi Bus Do Din Ka Sath Hai.
Annkho mein pani aur chehre pe udasi
Meri jaan bolo kyon hai itni mayusi
Jee na paye tujh bin, tujhe hai pata
Khta kya huyee mujhko jara tu bata
Kyon nayano ka kajal hai phaila phaila
Kyon bikhree julphe lage tarsi hai ghata
Baharo ke mausam mein aaya kyon patjhar
Khanakti nahi hai kyon pairo ki jhanjhar
Tumhari udasi tarpa rahi hai humko
Jan niklegi humari tab bataogi kisko
Gussa Bhi Pyar Ki Buniyad Hoti Hai
Mulaqat Se Achhi Kisi ki Yad Hoti Hai
Rishto Me Faslo Ka
Wajud Nahi Hota
Qki Dil Ki Dunia To Khyalo Se Abaad Hoti Hai.
aankhe kholu to tumse nazar miljati hai
sapna dekhu to tumhari surat aa jati hai
kabse kho gaya hu main aapke pyar me nahi pata
par dil se punchu to bas tumharihi sadaa ati hai
Teri Arzoo Main Humne Baharon
Ko Dekha, Teri Justaju Main
Humne Sitaron Ko Dekha, Nahi
Mila Tum Se Badhkar In
Nigahon Ko Koi, Humne
Jiske Liye Hazaron Ko Dekha.
Tajmahal to Hum B Banwa De te,
Magar Na Banwane K Piche ek Raz Hai,
Agar Banwane Lage to Hum barbad Ho Jayenge.
Q ki BIJAPUR ki har ek clg me hamari Mumtaz Hai.
Na Jaane Ye Jindgi Kyun Adhuri Si Lagti Hai,
Khushi Se Ab Naa Jaane Kyun Ye Doori Si Lagti Hai,
Na Jaane Kiski Raah Mein Ye Zindhi Adhuri Si Lagti Hai,
Yun To Ye Kami Aur Tanhayi Ab Majboori Si Lagti Hai,
Socho To Ye Khamoshi Ab Puri Si Lagti Hai,
Na Jaane Ye Jindgi Kyun Adhuri Si Lagti Hai...
Na Jaane Ye Jindgi Kyun Adhuri Si Lagti Hai.....
Ankhoon Main Rehne Walon ko Yad Nahi Karte.
Dil Main Rehne Walon Ki Baat Nahi Karte.
Humari To Roh Main Bass Ghye Ho Aap.
Tabhi To Aap Se Milne Ki Fariyad Nahi Karte.
Missing You.
Tum na mano magar haqiqat hai
ishq insan ke zarurat hai
kuch to dil mubatala-e-vahashat hai
kuch teri yaad bhi qayamat hai
mere mahbub mujh se jhooth na bol
jhooth surat-e-gar sadaqat hai
jee raha hun is aitamad ke sath
zindagi ko meri zarurat hai
husn hi husn jalve hi jalve
sirf ehasas ke zarurat hai
us ke wade pe naz the kya kya
ab dar-o-bam se nadamat hai
us ke mahafil mein baith kar dekho
zindagi kitni khubsurat hai
rasta kat hi jayega ‘qabil’
shauq-e-manzil agar salamat hai
Aaj sham chalte hue jab phoolon ko bhikhrtey
dekha to na jane kyu kadam ruk se gye…
Kuch yaad a gya shayad….
Kisi ne kha tha teri mohhabat phool jaisi hai, ise
bahut sambal kr rakhna chahta hu,
darta hu koi kuchal na de….
Par aaj unhi phoolon ko unhi ke kadmo talle
kuchalte dekha aur unke mathe par ek shikan na
thi…ii
Sub Se Chupaa Kar Dard Jo Wo Muskura Diya,
Uski Hansi Ne To Aaj Mujh Ko Rulaa Diya,
Lahjen Se Utth Rahi Thi Her Ek Dard Ki Dastaan,
Chehra Bata Raha Tha Ke Sab Kuch Ganwaa Diya ..!!
Anjane rasto pe manjil dhundte rahe
nadi ke kinarose sahil dhundte rahe
hame to na mila sachha pyar kabhi
phirbhi andhere galiyome roshni dhundte rahe...